Why only CPS team does dawah among non-Muslims?
“Nowadays, in the whole world, the work of dawah and tabligh among non-Muslims is not seen anywhere except the CPS team. What is the reason for this?”Asked by مس سائرہ, کراچی
He answers at 1:09:32 in Building A Creative Personality · 3 min 10 sec
1:09:32maulana, agla sawal aaya hai miss saira ka karachi pakistan se. unhon ne likha hai: "aaj kal poori dunya mein ghair muslimon mein da wat o tablighi ka kaam CPS team ke ilawa kahin bhi nazar nahi aata. is ki kya wajah hai?" baat yeh hai ke musalmano par is daur mein, yeh jo daur aaya hai, is mein musalmano par mukhtalif asbab se yeh chha gaya ke hum hum hamare khilaaf saazish ki ja rahi hai.
1:10:18sab log dushman hain, hamare sab islam ke khilaaf sargarmian kar rahe hain log. to musalmanon ke andar mizaj aa gaya takrao ka, ladaai bhadaai ka. wohi kar rahe hain is musalman ya to nafrat karte hain ya tashaddud karte hain ya baqaida takrao karte hain. to yeh jo mizaj aaya hai, yeh sau do sau saal ke andar aaya hai. jabke magh
1:10:43rabi qoumein ubhren aur europe se aur har jagah in ko dabdaba mila, to musalmanon mein reaction ke taur par yeh mizaj paida hua. is waqt saare musalman reaction ki nafsiyat mein jeete hain. to aap ki koshish honi chahiye ke logon ko reaction se nikalen.
1:11:03isi liye mein zor deta hoon bohat zyada positive thinking par. jab tak aap musalmanon ko reaction ki nafsiyat se azaad nahi karenge, woh is baat ko samajh nahi paayenge. kyun ke reaction ki nafsiyat ka kya nateeja hua hai ke doosri qoumein aap ko lagti hain dushman, saazishi.
1:11:21to un ko dawat kya den ge aap? dawat ke liye zaroori hai ke aap doosron qomon ko ke khair khwah hon, nasir hon. to khair khwahi to hai nahi. jab khair khwahi nahi hai to wohi hai jo is waqt ho raha hoga.
1:11:39to pehla kaam jo hai yeh hai ke doosri qomon ko hum batayen, musalmanon ko ke woh madu hain, woh aap ke dushman nahi hain. har haal mein woh mad'u hain, ba-farz woh aap ke khilaf koi dushmani wali baat kar rahe hon, tab bhi woh aap ke mad'u hain, tab bhi aap ko dawat dena hai. to chunke saara literature jo aap dekhiye, jitna literature zaban mein tayyar hua hai, chahe woh Urdu mein ho, Persian mein ho, Arabic mein ho, English mein ho, woh sab negative nafsiyat ke sath tayyar hua hai. sab ko dikhaya gaya hai ke sab dushman hain, saazishi hain, hamare khilaaf sargami kar rahe hain. to is literature se zehn bana musalmanon ka aur aur media yeh karta hai.
1:12:25to yeh aik bohat hi gehra muamla hai aur jab tak aap musalmanon ke zehan na badlen, aap dawati kaam nahi ho sakta. to pehla kaam hai musalmanon ki soch ko badalna, phir is ke baad dawati kaam hoga. Maulana, agla sawal aaya hai Mr Fazal Amin ka Karachi Pakistan se. unhon ne likha hai ke main ek dukandar hoon, baaz karobari masail ki wajah se mujhe tension rehta hai. is ki is is ki kya wajah hai? dekhiye, mera jo tajurba hai, woh karobar ki wajah se tension nahi hota. tension hota hai more aur more ka jo juz hai, jis ko ke