Maulana Wahiduddin Khan

Explaining peace to border Pathans

“How can we explain complete peace to border Pathans or people of their temperament, given that the Quran also considers them?”Asked by مسٹر شکیل احمد, دلی

He answers at 1:33:23 in Building A Creative Personality · 6 min 4 sec

His answer, in his own words
1:33:23
gala sawal kya hai? Mr Shakeel Ahmed ne Delhi se, unhon ne likha hai: jaisa ke Islam sab ke liye hai aur is mein sabhi ki riayat ki gayi hai, to hum sarhadi pathan ya un ke mizaj ke logon ko mukammal peace ki baat kaise samjhayein? jabke Quran mein bhi un ki riayat ki gayi hai ke aankh ka badla aankh, hath ka badla hath waghera, lekin zulm na ho aur
1:33:48
maaf kar do to behtar hai agar tum jante ho. kis ke bare mein? pathan? kis ke bare mein? pathan, sarhadi pathan ya un ke jaisay mizaj ke log? dekhen, yeh jo pathan log hain, afghani log hain, yeh asal mein muamla hai ke woh tribal
1:34:09
culture par hain. tribal culture mein sab se bari cheez hoti thi revenge, inteqam. yeh jo in ka aap dekhte hain maar dhaarr, woh is ka talluq Islam se nahi hai. woh jihad ka naam len, tab bhi Islam se nahi hai.
1:34:28
woh hai tribal culture. tribal culture mein kya hota tha? inteqam sab se bari cheez in ke haan hai. mein jab Afghanistan gaya tha to aik naujawan se poocha, maine: "tum kya karte ho?" to us ne kaha ke "meri maa mujh ko school bhejti hai parhne ke liye." phir khud hi kehta hai
1:34:45
ke "mujhe parhna parhna nahi hai. mujhe to aap ne dada ya kaha tha, baap kaha tha, us ka badla lena hai. us ke dada ya baap ko kisi ne maar dala tha." to bas us ke zehan mein sab se badi cheez parhna nahi hai. us ka inteqam jab tak na le, woh us ka yani maamla pakka nahi hoga. to yeh sirf arbon mein yahi tha. yani arbon mein bhi ladai bhidai hoti rehti thi inteqam ki wajah se. to tribal culture mein har jagah, jahan bhi tribal culture hai, wahan par sab se bari cheez hoti hai revenge, inteqam.
1:35:28
is ka talluq Islam se kuch bhi nahi hai. woh jihad ka naam lete hain, tab bhi woh intiqami hai, woh jihad nahi hai. to is ki wajah kya hai? in ka taleem nahi hui. jahan jahan taleem hui hai, mein khud bhi aik afghani hoon, wohin se hamare baap dada aaye the,
1:35:43
lekin taleem ne mere zehn badal diye. asal cheez jo zaroorat hai in in logon mein, woh yeh hai ke khoob taleem phailai jaye, khoob taleem phailai jaye taake qadeem riwayat jo hain, woh khatam ho jayen aur naye tarz par sochna un ko aa jaye.
1:36:02
aur koi hal nahi hai siwaye taleem ke, aur koi hal nahi hai wahan par. Maulana Faizuddin Umri ne Karnataka se likha hai: aap ne farmaya tha ke jo log sachai ko صرف کسی انسان کے بتانے سے مان لیں، وہ سچائی کو underestimate کرتے ہیں۔ سچائی کو sirf is insaan ne jana jis ne use is ko self discovery ke level par daryaft kiya.
1:36:30
is baat ko aap wazeh farmayen. dekhen, yeh aala mayar hai. har cheez mein do meyar hotay hain: aik aala, aik secondary. to aala meyar to yahi hai, lekin har aadmi yeh nahi kar sakta aisa.
1:36:50
is wajah se main manta hoon ke kisi ko, jis koi aalim jis par us ko bharosa ho, us ki baat ko maan le. woh to aik hai, woh iman jo self discovery, self discovery discovery pe khara ho, yani khud daryaft kardah iman. lekin yeh aala meyar hai, sab log yahan tak nahi puhanch sakte.
1:37:14
aam logon ke liye main kehta hoon ke un ke liye taqleed hai, yani kisi aalim ko pakar lein jis par un ko bharosa ho, woh jo kahe, woh karein. bas. Mr. Abdul Rasheed ne dilli se likha hai: maujooda zamanay ke musalmanon ke andar shaoori iman nahi hai. isi tarah hindu bhaiyon ke andar bhi shaoori maujood nahi, shaoor maujood nahi.
1:37:42
aisi halat mein dono qomon ke beech dawat ka mu'assir kaam kaise kiya jaye? aik hi hai, shor paida kijiye. un ke andar bhi, un ke andar bhi. is mein to koi do tareeqa nahi hoga. main jahan tak samjha hai, asal cheez jo baat jananay ki hai, yaad rakhiye, woh hai creation plan of God.
1:38:09
asal cheez yeh hai. aaj hi subah main soch raha tha ke rozana log paida hotay hain, rozana mar jatay hain. to maut ke baad kya pesh aane wala hai, us se bilkul bekhabar. duniya mein samajhte hain jab tak zinda hain, woh ke kamayo, ghar banao, family ko khush karo wagerah. lekin marte hi achanak ek nai soorat-e-haal. is se bilkul bekhabar hain log. aap kahin bhi jaiye, na maut ka charchaa hai, na aakhirat ka charchaa hai, na hashar ka charchaa hai, na Allah ke samne accountability ka charchaa hai. to asal masla yeh hai, cha
1:38:57
chahay hindu ho ya musalman. musalman bhi jo bazahir deendar aap samajhte hain jin ko, woh bhi un ka wahi deendari hai, form ki ho, form wali. dekhiye, deendari woh hai jahan insaan ke andar Allah ki azmat ho, Allah ka khauf ho, Allah se
1:39:15
mohabbat ho, Allah ki pakar ka andesha ho. nahi to koi deendari kuch bhi nahi. deendari kisi waza' qata' ka naam nahi hai, kisi ritual ka naam nahi hai. dindari kisi form ka naam nahi hai. dindari taalluq billah ka naam hai. to woh hindu musalman ke aitbar se na dekhiye, insaan ke aitbar se dekhiye aap ke woh insaan kis kis tarah ki zindagi guzar raha hai. woh insaan ke aitbar se insaanon ko dekhiye, na ke hindu muslim ke aitbar se. molana, agla sawal raipur se aaya hai. mister idrees aur miss shabana ne likha hai ke ulama have closed
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.