1:41:19woh fatwa dete hain, lekin manta kon hai in ke fatwe ko? ji, maulana, agla sawal aya hai. maulana inayatullah umri ka bangalore se. unhon ne likha hai ke wala aur bara ke masle ki haqeeqat kya hai? dekhiye, aaj kal kuch aisi kitabein likhi gayi hain arbon, arab duniya mein. is mein woh kehte hain ke wala musalmanon ke liye hai aur bara ghair musalmanon ke liye hai.
1:42:04kyun ke quran mein aisa aya hai, aaye hain references ke tum ko musalmanon se wala maani, yani gehra ta'alluq, mohabbat ka ta'alluq, aur bara maani un se judai, alheydgi. to kaha ghair muslimon se hamein judai, distance banana chahiye, juda hona chahiye, aur sirf musalmanon se hamein ta'alluq rakhna chahiye.
1:42:24to yeh aisi kitabein likhi gayi hain ke mein in kitabon ko bilkul galat samajhta hoon, aur quran ke hawale galat dete hain. yaani jo quran mein yeh aayatein jo hain, woh kisi particular situation ke liye hain, us ko aam karte hain, woh us ko generalize karte hain. woh yaani yeh kaha gaya hai, maslan ke jab musalman kisi doosre groh se etwar hon to wahan par bara hoga. yaani hum se ta'alluq distance banana parega, kyunke razdari bartni parti hai, raaz muntaqil ho jate hain, to hum ko distance maintain karna parega. to woh halat jang ke liye is ko, is ko generalize kar diya unhon ne, aur sari duniya
1:43:09ke jo ghair muslim hain, un se dori banao. yeh bilkul galat thi, yeh islam se koi talluq is ka nahi hai. arbon ka muamla dekhen, ek baat bataon mein aap ko ke sare arbon ka muamla yeh hai ke woh in ka jo islam hai, woh sara ka sara falasteen se bana hai, israel se bana hai, saaf
1:43:29isi se le kar ke in ka mind banaya hai. chunki unhein nafrat hai yahudiyon se, is wajah se woh sare islam ko isi waqt explain karte hain. woh sare arab jo hain, gehrai ke sath yahudi nafrat mein mubtala hain, bas yeh israel se nafrat mein mubtala hain, bohat hi gehrai ke sath.
1:43:50wohi refer karta hai in ke taqreeron mein, in ke mazmoonon mein, in ki kitabon mein. toh arbon ki kitabon ko ka aap zariya na banayen. aap quran o hadith ko direct parhen toh aap islam samajh mein ayega. maulana, agla sawal pennsylvania se aya hai.