1:45:38ji, Maulana, agla sawal kiya hai? Maulana Amanullah ne Delhi se. unhon ne likha hai ke Maulana, istikhara kiya hai? is ka tareeqa kar kiya hai? kiya is ki koi sharait bhi hain? dekhein, Sahabi kehte hain ke "yul number al istikhara kama yul number al Quran" ke Rasool Allah hum ko istikhara sikhate thay, jis tarah Quran sikhate thay.
1:46:03is tarah aap ahmiyat samajh sakte hain is ki ke istikhara koi wahmi cheez nahi hai, koi awami cheez nahi, yeh bilkul sunnat hai. aur rasoolullah sallallahu alaihi wasallam logon ko batate the istikhara. to istikhara ke lafzi maani dekhiye hain: talab khair, khair chahna. lafzi maani is ke hain istikhara. to istikhara to musalman karta hi hai. ab jab dua karte hain, woh bhi istikhara hota hai. ab jo dua karte hain ke "khuda mujhe aisa mere haq mein kar, aisa haq mein kar" to woh istikhara hi hota hai. woh is ki ek formal shakal bhi hai istikhare ki. woh yeh hai ke aap isha ki namaz ke baad sone se pehle do rakat namaz padhein. agar aap ko yaad ho to is pehli rakat mein surah al-zuha, doosri rakat mein al-nasrah padhein, aur us ke baad dua karein. ek dua hadith ki kitab mein aati hai: "Allah astakhiruka bi ilmika" waghera. yeh zaroori nahi parhna, apni zuban mein aap dua kar sakte hain.
1:47:12woh jo dua aati hai, usi ko dohrana zaroori nahi hai. to ke "Allah inni astakhiruka bi ilmika wa astaghfiruka bi qudratika" wasta'aluka in is tarah ke alfaaz hain. to woh yaad kar lein aur dua karein. isi se yeh koi zaroori nahi hai.
1:47:29jo bhi aap , jo bhi aap ka masla hai, jo aap ki zuban hai, us zuban mein is masle ko bayan karein. to is tarah se do rakat namaz parh ke so jayein. to raat ko do shakalain hongi: ya to aap ke dil mein koi khayal aa jaye ga,
1:47:46ya aap khwab koi dekhein ge. to ulama ne yeh likha hai ke is tarah se se saat din tak karna chahiye. pehlay din agar wazeh jawab na aaye to saat din tak karta rahe aadmi. mera tajruba yeh hai ke zar
1:48:03jawab aata hai. mein baaz auqat mein ne istikhara kiya hai to jawab aata hai. yaani kabhi dil mein ek jo kehte hain inshirah, dil khul jata hai. kabhi khwab aata hai. to istikhara bohat hi sahi kaam hai. hadith se sabit hai, har aadmi ko chahiye ke istikhara kare, aur us ko yeh samajhna ke istikhara koi wahmi cheez hai, bilkul ghalat hai. Maulana, agla sawal Mr. Abdullah ne kiya hai Delhi se.