Maulana Wahiduddin Khan

Team relationships: da'wah only or mutual care?

“Should team members' relationship be based only on da'wah work, or should they also help each other in times of sorrow and pain?”

He answers at 1:16:25 in The Importance of Team Work · 4 min 25 sec

His answer, in his own words
1:16:25
maulana, un ka ek aur sawal hai. unhon ne likha hai: "team ke logon ka aapsi taluq sirf da'wa work ki base par hona chahiye ya team ke members ko chahiye ke woh aapas mein ek doosre ke dukh dard mein bhi kaam aayein?" bhai, da'wa ka matlab hai Allah ke liye. aap jo jo Allah ne hukum diya, woh sab kijiye. quran o hadith mein jo ahkam diye gaye hain, un ko padhiye. aur jahan aap ko mehsoos ho ke yeh hukum hai, to us par amal kijiye. yeh aap ke upar hai. is mein koi alag se koi hukum nama jari nahi kar sakta.
1:17:17
tamil nadu se maulana israr ul hasan umri ne sawal kiya hai. unhon ne likha hai ke "team work ke leader ki zimmedari kya hai? is ke bare mein batayein." main samajhta hoon ke team work mein jo leading role jis ka hoga, us ki zimmedari ek to yeh hai ke woh bohat zyada
1:17:45
is ke andar ma'khaz ka jazba ho. hamesha sochta rahe ke main jo lead de raha hoon, woh sahi hai ya galat. yani Allah ne jo hukum diya hai quran o hadith mein, us ke mutabiq hai ke nahi. to apna muhasba bohat zyada karna chahiye us ko. yani us ko super muhasba karna chahiye. main samajhta hoon ke jo leading role jis ko mila hua hai, us ke zaroori ko apna super muhasba kare. aur doosri taraf jo jo log supportive role kar rahe hain, un ke liye bohat zyada khair khwahi is ke andar ho. bohat zyada khair khwahi. Allah ki nisbat se bohat zyada muhasba, team ki nisbat se bohat zyada khair khwahi
1:18:33
. yeh sifat honi chahiye is insaan mein jo leading role kar raha ho. kyun ke woh do ke beech mein hota hai. ek taraf Allah ka mamla, doosri taraf team ke members ka mamla. to Allah ki nisbat se us ko bohat zyada darna chahiye ke kahin Allah ka pakad na ho jaye us ki. to us ko super muhasba karte rehna chahiye. aur sathiyon ki nisbat se us ko bohat hi zyada khair khwah hona chahiye. un ki riayat kare, un ke liye duaein kare. lekin isi us ke sath mein yeh bhi keh doon ke ideal, yani ideal can not be achieved.
1:19:21
aap agar ideal se naapein to koi bhi aap ko us par utrega nahi. to yeh to jo leading role kar raha hai, is ki maine zimmedari batai. lekin is ka matlab yeh nahi ke aap aik aik aik ya district le lein, is ko napte rahein aur phir is ko is ke khan gaam karein. jaise Usman zamane mein hua. Hazrat Usman zamane mein yeh hua ke logon ne khud sakhta tor par aik ya district bana liya, aik mayar. aur is se napa to laga ke Usman is par nahi utar rahe hain, unhein qatal kar dala. yeh bhi galat hai.
1:19:59
yani is aadmi ki zimmedari wahi hai jo maine batai. lekin logon ki zimmedari yeh nahi ke woh aik ya ya district le kar is ko lage, is ke khilaf gaam kar rahe hain, yahan tak ke qatal kar dale is ko. to yeh yeh bhi galat ho jayega. yeh ghulu ho jayega. ghulu aur ghulu Islam mein nahi hai. la ghulu fil Islam yani mera matlab hai ke ittehad ko barqarar rakhne ke liye sab kuch kiya jana chahiye. team ka ittehad baqi rakhne ke liye har qurbani dena chahiye. aur is ki shakal yeh hai ke aadmi Allah ke hawale karta rahe. jo shikayatein hain, Allah ke hawale, Allah ke hawale. warna team ban nahi payegi aur na team apna role bhi nikal sakegi.
1:20:50
Maulana, agla sawal Miss Safia Khan ka hai Pakistan se
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.