Maulana Wahiduddin Khan

Why Muslims underestimate the call to Islam

“Why do Muslims underestimate dawah? What is the reason?”Asked by Maulana Iqbal Umri, Tamil Nadu

He answers at 1:08:22 in Don't Be Angry Culture · 4 min 41 sec

His answer, in his own words
1:08:22
Maulana, agla sawal aaya hai Tamil Nadu se maulana iqbal umri sahib ka. unhon ne likha hai: musalman dawat ka kyun kamtar andaza karte hain? is ki kya wajah hai? main to samajhta hoon ke wahi wajah hai jo main ne kaha, ghussa. is waqt musalman jo hain sab ghusse mein hain. ghusse ka matlab yeh hai ke har ek ko dushman samjhe hue hain ke israel hamara dushman hai, america hamara dushman hai, woh hamare khilaf sazish kar rahe hain, woh hum ko necha dikhana chahte hain.
1:09:05
yani yeh chhaya hua hai dimaghon par. is ki wajah se dawat ka kaam in ko samajh mein nahi aata aur goli aur bam zyada samajh mein aata hai. to asal raaz jo hai, main samajhta hoon ke kuch waqiat se ghussa ho kar ke jo musalmanon mein manfi soch aa gayi, woh record ban gayi dawat ki ahmiyat ko samajhne mein. ab main mislan mujhe koi kisi ke paas, main kisi se nafrat nahi karta, mujhe kisi se nafrat nahi hai, na israel se, na america se, na na na hindu se, na falan se, na falan se, kisi se.
1:09:52
sab ko main insan samajhta hoon. to main samajhta hoon ke dawat se bara koi kaam nahi hai. to jar mein jo hai, jar mein woh manfi soch hai. manfi soch ke musalmanon, musalman is daur mein pichhad gaye to samajhte hain ke doosra un ko pichha kiya hua hai. yani apni ghalti apne upar nahi dalte. quran mein to hai ke har aadmi apne kiye ko bhagta hai. apne kiye ko saaf saaf likha hua hai ke aadmi apne kiye ko bhagta hai. kisi ki sazish se, kisi ki dushmani se koi nuqsan nahi hota is ka. lekin musalmanon ne, musalman matlab un ke un ke rehanmaon ne yeh ghalt zehn dala.
1:10:36
sab se bura role mere rahnamon ka hua hai is zamane mein. jitne rehanma uthe, sab rad-e-amal, rad-e-amal mein uthe. mujhe ek bhi rehanma nahi maloom is daur ka, is do sau saal ke andar jo rad-e-amal ke mein na utha ho. sab rad-e-amal, rad-e-amal, rad-e-amal. mal. to rad-e-amal se kya hota hai? negative thinking aati hai. phir kya hai? tashaddud aata hai. aur sari cheezein aati rehti hain isi mein. aur phir jab yeh sab hoga to zahir hai ke dawat-e-illahi koi ahmiyat nazar nahi aayegi aap ko.
1:11:17
mujhe ek waqia yaad aata hai ke main ek martaba mewat mein tha. to mewat mein ek ek band ban raha tha. is mein bohat se mawati bator mazdoor kaam kar rahe the. woh musalman the sab, sab ke sab. to do group the, kisi wajah se jhagda ho gaya. aur jhagda hua to lathiyan uth uth gayeen. to main gaya, ek dadi wale musalman the, is mein mawati. un se main ne kaha ke dekho sahib, yeh aap yeh bhi musalman, wohi musalman, aap log yani ladna chahte hain aur lathiyan chalana chahte hain, yeh to islam mein jaiz nahi hai.
1:12:02
aapas ki ladai islam mein jaiz nahi hai. to kuch quran o hadith maine sunaya. to woh dadi wale kya kehte hain? chalo molvi, is waqt hum ko quran mat sunao, is waqt hum ko inteqam lena hai. to jab inteqam ki nafrat, jab nafrat aa jaye, inteqam aa jaye to quran o hadith ko le ke koi sochta nahi hai. phir phir apne apne is mein sochta hai, apne manfi jazbat hi us ke liye wahid rehanma ban jate hain. yeh sab kis ne kiya hai? aam musalmanon ne nahi, yeh rehanmaon ne kiya hai. rehanmaon ne musalmanon ko yeh sab suna suna kar ke, yeh dushman hai, woh dushman hai, woh dushman hai, woh dushman hai, yeh sab khabarain dein rehanmaon ne musalmanon ko.
1:12:48
to sari zimmedari rehanmaon ki hai. is do sau saal mein jo rehanma uthe, unhon ne na manfi boli bol bol kar ke musalmanon ko manfi bana diya. is ki wajah se dawat un ke zehn se is ki ahmiyat nikal gayi. maulana, agla sawal lene se pehle ek comment parhna chahte hain jo aya hai. ah, mr. ashique diyani ne likha hai dilli se
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.