57:57Maulana, yeh sawal aaya hai Karachi Pakistan se Abdul Latif sahib ka. Unhon ne likha hai: "Aaj ke insaan ko jab deen ki taraf bulaya jata hai to woh yeh uzr batate hain ke mehangai itni zyada ho gayi hai ke humein waqt hi nahi milta ke hum deen ke bare mein sochein." Maulana sahib, is bare mein aap ki kya rai hai? dekhein, main bhi is dunya mein rehta hoon, isi dunya mein jahan mehangai bohat zyada hai. Main ne dono daur dekha hai, azadi se pehle isi dunya mein mehangai bilkul nahi thi. mujhe ab tak yaad hai ek waqia ke Maulana Mujeeb Ullah Nadvi ghar se yani apne ghar walon ko bataye baghair parhne ke liye Nadvah aa gaye,
58:56ghar wale nadwa ke khilaf thay is zamane mein. to unhon ne bataya ke ab sirf mere paas paanch rupiya tha, us waqt paanch rupiya, aur kahe unhon ne bataya ke ek mahine tak maine is paanch rupay se bohat itminan ke sath
59:16yani khaya, nashta aur khana aur dopehar ka aur sham ka, sab paanch rupay mein ek mahine tak. ab jo hai, har aadmi janta hai ke ab paanch rupay koi value nahi hai. To main bhi is dunya mein hoon. Asal baat dekhein, mehangai nahi hai. asal baat yeh nahi ke mehangai barh gayi hai, asal baat yeh hai ke logon ne apne ikhrajaat barha liye hain. Har aadmi ne kharch barha rakha hai, itna zyada kharch karte hain har mad mein.
59:56bachon ke kapra, bachon ki khwahishein poori karna, bachon ki pampering, shadi byah yani koi mad aisi nahi hai jis mein log bohat zyada kharch na karte hon. mera koi kharch nahi hai, to mujhe koi is qism ki pareshani bhi nahi. main ne koi kharch hi nahi, jo hai wahi kha liya hai, jo hai wahi pi liya. to logon ko chahiye ke is tarah ki shikayatein karne ke baad apne kharch ko ghatayein,
1:00:34jaisa ke main ne ghata rakha hai. Apne kharch ko ghatayein, phir aap ko mehangai ki shikayat nahi hogi. yeh main apne tajrube ki buniyad par poore yaqeen ke sath keh sakta hoon. Maulana, agla ek comment aaya hai aur ek sawal bhi aaya hai Kashmir se Muhammad Saleem Mir sahib ka. Pehle un ka comment padhte hain. Unhon ne likha hai: "In Al-Risala issue March titled Azdawaj-e-Zindagi, you have quoted a verse from Surah Al-Baqarah in light of home partner and life partner. The interpretation in this regard which I was trying to find out in Quranic verses other than Tazkir-ul-Quran was never comprehended by my mind,
1:01:22and it was the first time that I understood the divine plan in terms of home partner and a life partner." Aur Maulana, unhon ne ek sawal kiya hai. un ka sawal yeh hai: "The one who always thinks regarding the accountability of the Day of Judgment is called a God-oriented thinker. My question is how to develop such pattern of thinking among the Muslims who are not even ready to accept the basics of creation plan of God?" Is ke bare mein batayein. dekhiye, is ka koi, is ka koi
1:02:07yani koi tarasumati tareeqa nahi hai. wohi ke jo main ne kiya, Allah ke fazl se matlab Quran ko main ne tilawat nahi ki balkeh study ki. Quran ki main ne sirf tilawat nahi ki balkeh study ki. Aise hi main ne jo sunnat-e-Rasool hai, us ko gehrai ke sath parha aur jo relevant literature hai, sab ko parha. to Allah ke fazl se mere andar yeh cheez develop ho gayi.
1:02:45mujhe is qism ki Allah ke fazl se koi shikayat nahi hai. to koi, koi doosra tareeqa nahi hai. isi Allah ki kitab ko parhna, isi rasool ki sunnat ka mutalea karna aur kainat ko khuli aankhon se dekhna, kainat ko khuli aankhon se dekhna to isi se sab baatein paida hoti hain. ab mein kya, aap ko kal, kal, kal parson ka ek, ek tajruba batata hoon ke mein apne ghar ke samne jo mera jo balcony hai, us par baitha hua tha.
1:03:27subah ka waqt tha aur suraj abhi bhi nikla tha. to ek sahib milne ke liye aa gaye. to meri aadat hai ke mein poochta hoon aadmi se ke aap ke paas koi nai news hai? to mein usay hi poochta hoon ke aap ke paas koi nai news hai? to unhon ne kuch der soch kar kaha ke nahi, koi nai news to nahi hai. to mere dimagh se nikla ke dekhen, suraj nikla hua hai, yeh new nai news nahi hai. raat ki tareeki ke baad suraj nikal aaya aur sara alam jagmaga raha tha ke nai news nahi hai. hawaein chal rahi hain, hawaein rukengi nahi, nai news nahi hai. oxygen ki supply jari hai, band nahi hui. kaha yeh nai news, news nahi hai.
1:04:21zameen apne bohat hi zyada yaani sahi tor par revalu kar rahi hai. kya nai news nahi hai? phir mein ne kaha ke aap ne sham ko khana khaya hoga aur subah ko woh hazam ho gaya. kaha yeh news nahi, nahi, news nahi hai. raat ko aap ki aankh band ho gayi thi, us waqt aankh khuli hai, aap sab dunya ko dekh rahe hain. kya nai news nahi hai? asal cheez yeh hai ke log jo hain jante hain nahi dunya mein kaise rehna hai. ab yeh sab baatein jo mein ne kahin, agar aap yeh sochen to shukr ka samandar aap ke andar aa jayega.
1:05:04shukr ka samandar, marfat ka samandar, rabaniyat ka samandar. to hamari jo kitabein hain, risala jo hai, isi ke liye to hai. is ko parhen, log baqayda bar bar parhen to is se yeh cheez develop hogi. maulana, agla sawal bidar karnataka se hai, yunusuddin sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana, al-risala march 2013 ke title page par quote is tarah hai: