Maulana Wahiduddin Khan

Meaning of hadith on poor building big houses

“In a hadith it is mentioned that poor people will start building big houses. What does this mean?”Asked by شاہ عمران حسن صاحب, دلی

He answers at 1:00:46 in Age of Consumerism · 2 min 27 sec

His answer, in his own words
1:00:46
maulana, agla sawal Delhi se hai, Shah Imran Hasan sahib ka. unhon ne aap se poocha hai: "hadith mein aaya hai ke kam paisay walay baray baray makan bananay lagen gay, is ka kya matlab hai?" hadith mein yeh lafz hai ke "ترل اورات الحفات تعول فی البنیان" ke aik zamanay aye ga ke jab yani aurat o huffaat kehtay hain nangay aur yani nangay badan aur nangay paon, bla joote aur bla kapray walay. matlab yeh hai ke ghareeb log baray baray makan banayen gay. yani ghareeb log puray zamanay mein dekhiye, kamanay ka koi zariya nahin hua karta tha.
1:01:42
yeh yeh peshangoi hai ke agriculture ka daur khatam hoga, industry ka daur aye ga. maujooda zamanay ki jo industry hai, woh kya hai? woh decentralization of economy hai. yani pehlay land based economy hua karti thi, jis ke pas zameen hai, usi ke pas paisa hai, baqi log ghareeb hain. ab jo hai, industry ne kya kiya ke har aadmi kuch na kuch kama sakta hai, har aadmi kuch na kuch. yeh dekhen, million billion item naye barh gaye, puray koi item nahin tha. pehlay zamanay mein
1:02:22
koi item nahin hua karta tha. pehlay zamanay mein to yeh yeh industrial growth ka is mein prediction hai ke aik zamanay aye ga ke jab industrial growth hoga, nayi nayi kamai ki sooraten banen gi, aur woh log jo maujooda zamanay mein, is zamanay mein, un ke pas koi source nahin hai, to woh wohi source pa len gay. har aadmi kamaye ga, har aadmi kamaye ga. jin ke baap dada nangay bhookay rehtay thay, woh baray baray ghar banayen gay. woh yeh peshangoi hai baad ke zamanay ke baray mein, aur jo aaj waqia ban chuki hai, is zamanay mein yeh cheez waqia ban chuki hai.
1:03:13
maulana, agla sawal Kolkata se hai, Farooq sahib ka.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.