Maulana Wahiduddin Khan

Can we close the door of repentance?

“Can we close the door of repentance for anyone?”Asked by Maulana Israr al-Hasan, Chennai

He answers at 1:13:44 in Don't Be Angry Culture · 1 min 40 sec

His answer, in his own words
1:13:44
maulana, agla sawal lete hain jo aya hai chennai se maulana israr ul hassan sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana, kya tauba ka darwaza kisi ke liye hum band kar sakte hain?" "yeh to sochna bhi kufr hai ke hum band kar sakte hain." yaani khuda ke domain mein dakhil hona hai. yeh kaise koi himmat karta hai yeh kehne ki? tauba ka darwaza kholna aur band karna, dono allah ke ikhtiyar mein hai, hamare ikhtiyar mein nahi hai. aaj kal ke log bohat aasani se dakhil ho jate hain khuda ke domain mein, mislan fatwa dete hain, takfeer ka fatwa. main arzii ke khuda ke domain mein dakhil hona hai.
1:14:30
aap ko haq nahi hai takfeer ka fatwa dene ka. yeh kafir hai, yeh munafiq hai, yeh fasiq hai, yeh dushman hai. aap ko kya haq hai kehne ka? yaad rakhiye, yeh sab khuda ke domain mein dakhil hona hai. aap ke haq, aap ko kya karna hai? daawat, naseehat, talqeen, waaz. bas nahi to dua. yaani daawat aur naseehat ke baad agar aap samajhte hain kuch aur karna to bas dua kijiye. baqi fatwe dena, ladna bhirna aur statement jari karna,
1:15:11
yeh sab khuda ke domain mein dakhil hona hai, jis ki ijazat kisi ko nahi hai. peghambar ko bhi nahi hai ke khuda ke domain mein dakhil ho jaye woh. aur doosre logon ko kaise ho sakti hai? maulana, agla sawal aya hai miss saira latif ka karachi pakistan se. unhon ne likha hai: "aksar muslim khawateen is baat par bohat zyada zor deti hain ke islam mein aurat ko sirf aankhein khuli rakhne ki ijazat hai.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.