Religious significance of honorifics for prophets and companions
“Many people object that you do not use honorifics for prophets and companions. What is their religious significance? Please clarify.”Asked by یونس الدین, بدر کرناٹکا
He answers at 1:08:03 in Age of Consumerism · 3 min 16 sec
1:08:03maulana, agla sawal bidar karnataka se hai, yunusuddin sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana, aksar log aap ki tehreer par yeh aitraaz karte hain ke aap anbiya aur sahaba par alaihi assalam ya radiallahu anhu nahi lagate." maulana, mera sawal yeh hai ke un ki deeni aitbar se kya ahmiyat hai ya nahi hai? kuch bhi nahi hai. aap sahaba ki jo kitabein hain, us ko padhiye. yeh sab jhoote aitraaz hain, jhoote, jhoote se kam lafz nahi hai. sahaba ke bare mein bohat si kitabein maujood hain, un ko padhiye. aap is qism ka aaj kal masnooi culture bana hua hai, aaj kal masnooi culture, banawati culture, aage peeche lagayenge ilqaab.
1:08:58woh aisa nahi kehte the. misalan, main aap ko ek waqia bataun: rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ki wafat hui, yani poora mission poora kar ke aap ki wafat hui, aap ki madina mein. to us waqt wahan par kai log aise the jin ko ke bohat pareshani hui ke rasool Allah nahi rahe dunya mein, ab kya hoga? bohat pareshan the. to jo sab se zyada senior, most aadmi the, woh the abubakar siddiq. woh aaye,
1:09:31woh us waqt madine se bahar the. jab khabar suni to aaye to rasool Allah ki jo yani jism tha, jo body tha aap ka, us par chadar logon ne phaila diya tha. to unhon ne chadar uthai, aap ke chehre ko dekha aur kaha: "man kan ya Muhammad fa in Muhammad qadamat, wa man kan ya Abdullah fa in Allah hayyullah ya'amud." yeh nahi ke Muhammad ke sath aage peeche bohat se lafz lagayein, woh bas saada taur par kaha unhon ne: "man kan ya Abdullah Muhammad fa in Muhammad qadamat." wahan aate the log, ya Muhammad, yeh sab bolte the. dekhiye, Islam jo hai, nature par base karta hai. yeh banawati culture jo bataiye, zawal ke daur, yeh yeh musalman ke zamane mein zawal ke daur mein hai, zawal girawat ke daur mein. tab yeh sab banawati baatein bohat badh gayi hain. jab ummat zinda thi, tab yeh sab culture hi chalta tha, banawati culture.
1:10:39to main yeh kahunga ke aaj kal ki jo zawal yafata log hain, un ko le kar mat rai qaim kijiye, aap sahaba ko le kar rai qaim kijiye. sahaba ki zuban kya hoti thi? aap sahaba ke bare mein kitabein padhiye, us mein aap khud hi jawab pa lenge ke wahan yeh sab banawati zuban chalti nahi thi. wahan par to main to sahaba ke ke ko model samajhta hoon, aaj kal logon ko model nahi samajhta. main aaj kal ke log kya karte hain, woh mere model nahi hain. mere liye sahaba mere
1:11:13model hain. to aap pehle sahaba wali kitabein padhiye, phir yeh sawal kijiye. ah, maulana, agla sawal tamil nadu se hai, maulana iqbal umri ka. maulana, unhon ne talk sunne ke baad ek high high thinking ki, ah, apne understanding ke hisab se ek definition di hai.