Explain hadith about best place mosque
“In today's talk, you narrated the hadith about the best and the worst place on earth. Please explain the second part of the hadith, that is the mosque being the best place on earth.”Asked by Maulana Zakwan Nadwi, Delhi
He answers at 1:29:36 in Age of Consumerism · 2 min 32 sec
1:29:36maulana, agla sawal dilli se hai, maulana zikwan nadvi ka. unhon ne likha hai: "maulana sahib, in today talk, you narrated the hadith about the best and the worst place in earth. please explain the second part of the hadith, that is the masjid being the best place in earth." haan, dekhiye, masjid behtareen jagah ka matlab yeh nahi ke aaj kal jo masjidon ka haal hai, woh woh matlab is hadith ka nahi hai.
1:30:10masjid ka matlab yeh hai ke woh jagah jahan Allah ka zikr ho, Allah ki soch le kar baithe hain log, Allah ko acknowledge karne wale log wahan hon. to wahan jahan taqwa ho. to ek hadith hai ke "al masajid buyoot al muttaqeen" masjidain al taqwa ka markaz hain. jo jab taqwa wahan hoga to woh masjidain hongi. lekin aaj kal taqwa wali masjidain nahi hain. woh to wohi hain jo woh hadith maine sunai aap ko ke "masajid muammarah" masjidon mein bheed khoob dikhai deti hai, lekin hidayat se khali hain woh masjidain.
1:30:50to yahan jis jis cheez ka zikr hai, yani potential sense mein hai, actual sense mein hai, yani haqeeqi masjid agar hai jo buyoot al muttaqeen ke matlab mein jahan hai, jahan Allah se darne wale, Allah se mohabbat karne wale, Allah ko acknowledge karne wale log ikattha hote hain, to waqai behtareen jagah is se behtar to koi jagah nahi hai. to masjid hi ki baat nahi hai, aap kahin bhi ikattha hon, Allah ke haqeeqi matlab mein Allah ki yaad ke liye, to is ka darja wohi ho jayega. kyun ke hadith mein aata hai ke "mere liye sari zameen masjid bana di gayi." Islam mein poori poori zameen hi masjid hai.
1:31:37to asal cheez is mein hai ke woh is part jahan log jama hon, is liye ke woh Allah ka par tadabbur karein, tafakkur karein, Allah ka charcha karein, aur haqeeqi maano mein zikr aur shukr karein. aur jahan taqwa ka mahol ho, woh jo maqam hai, woh bilashuba sab se acha maqam hai. yeh matlab hai is ka. maulana, yeh sawal dilli se hai, shah imran hasan sahib ka. unhon ne likha hai: "ek bade aalim deen ki maine taqreer suni.