Is self-accounting peaceful and others' accounting stressful?
“Self-accounting brings peace, and accounting of others causes stress. Is this correct?”Asked by Iqbal Umri, Tamil Nadu
He answers at 1:18:20 in Don't Be Angry Culture · 2 min 52 sec
1:18:20agla sawal kya hai Maulana Iqbal Umri ne Tamil Nadu se unhon ne likha hai: "jati muhasba mein sukoon milta hai aur ghair ke muhasbe se stress paida hota hai. kya yeh sahi hai?" "haan, yeh baat bilkul sahi hai. us ki wajah dekhiye, yeh hai. yeh bohat gehri baat hai. yeh bohat zyada gehri baat hai. lekin aadmi jab muhasba karte hain, introspection ko, introspection, to jab aadmi apna muhasba karta hai to kya hota hai?
1:18:57woh us waqt, us waqt woh farishton ki sohbat mein hota hai. jati muhasba ek bohat hi bara musbat amal hai, ek bohat bara positive kaam hai aur khalis rabbani kaam hai. is mein Allah ka khauf hota hai aur aur akhirat ki pakad hoti hai. yeh sab baatein dil mein aati hain to aap apna muhasba karte hain. to woh sara kaam farishton ki sohbat mein hota hai. jo aadmi sahi maano mein zaat ka muhasba karta hai to farishte jowq dar jowq is ke paas aate hain. zahiri hai ke is mein sukoon to aayega.
1:19:37jab lekin jab doosre ke khilaf aap bolte hain to woh to khalis shaitani kaam hai. aap ghore kijiye, yani quran mein jo iblis ka aur Adam ka qissa bayan kiya hai, is mein itne aspects hain ke main sochta hoon ke shayad saare hi aspects mein shamil hain. saare aspects. sab se pehle kis ne yeh kaam kiya hai? shaitan ne ke Allah ke khilaf naoozubillah bola. woh ke kisi ke khilaf bolna, yani opposition ke boli bolna, yeh to shaitani kaam hai. yani shaitan ne is is yeh jo tradition hai, is ko shaitan ne shuru kiya sab se pehle ke kisi ke khilaf bolna, jhanda le ke khara hona. to shaitan naoozubillah Allah ke khilaf jhanda jhanda le ke khara ho jayega, ho gaya.
1:20:29to jo log opposition ka kaam karte hain, kisi ke khilaf jhanda le ke khare hote hain aur doosre ke khilaf taqreerein karte hain, un ko bohat zyada darna chahiye. yeh to ek shaitani kaam hai aur woh shaitan ki sohbat ki wajah se woh kaifiyat hoti hai jo aap ne farmaya. to jis aadmi ko zaati muhasba ki tofeeq mile, us ko bohat zyada shukr ada karna chahiye. aur jo aadmi doosre ke muhasbe mein pada hua hai, us ko yani panah mangna chahiye Allah taala se ke main shaitan ke chakkar mein pad gaya tha aur khuda ya meri toba qabool kar. Maulana, agla sawal Mr Muhammad Samiullah sahab ka hai