57:13maulana, agla sawal kolkatta se hai doctor roshan kumar jha sahib ka. unhon ne aap se poocha hai ke "What is the importance of reading Quran in Arabic without understanding it?" dekhiye, har cheez mein ek aala darja hota hai, ek sakardi darja hota hai. to aala darja to yeh hai ke aadmi samajh kar parhe. arabi janta hai to arabi arabi seekhe, arabi nahi janta to arabi seekhe, aur arabi zabanein padh kar samjhe, nahi to tarjuma padhe. yeh aala darja hai, lekin secondary darje mein yeh bhi ek ek tareeqa hai ke aap samajhte na hon, phir bhi padh rahe hain ke yeh Allah ka kalam hai.
58:02to is ko mein be faida nahi kahunga, lekin woh secondary mein kahunga ke woh secondary baat hai. aala baat yeh hai ke aap samjhein ya to arabi zuban mein ya tarjume ke zariye se. doosri baat yeh hai ke agar aap arabi nahi jante ya tarjuma nahi padh sakte, tab bhi koi is mein yani hرج ki baat nahi, kyunke is paas mein aise log hote hain, aap ke masjid ke imam hain ya is paas ka koi baat aadmi hai jo padha likha hai, us se aap poochhiye, poochh ke janiye, ek mutual learning kijiye. to mein samajhta hoon ke yeh koi rukawat nahi hai ke aadmi zuban na janta ho, doosron se baat kar ke, poochh kar ke woh baaton ko samajh sakta hai.
58:55maulana, agla sawal raichur se hai zaheeruddin sahib ka. unhon ne likha hai: "tazkiya ke liye jo sohbat darkar hai, woh kya online bhi hasil ho sakti hai ya personally hi hasil hogi?"