1:06:53maulana, agla sawal pakistan se kiya hai aamir aamir bin yusuf sahib ne. unhon ne likha hai: "maulana sahib, jo cps ke members pakistan mein rehte hain, un ke liye pakistan mein rehne ka kya option hai? is ke baray mein batayen." option ka kya matlab bhai? woh yeh mein samajh nahin aaya. is sawal ka matlab hi nahin samajh mein aaya. option ka kya matlab bhai? aap jahan bhi rahen, aap ek hi sab ka woh apne liye marifat, doosre ki dawat hai. ji chahe pakistan mein ho, india mein ho, option ki baat to yeh hai hi nahin. matlab jo zimmedari hai quran sunnat ke aitbar se, woh yeh hai ke mujhe apne liye marifat hasil karna hai.
1:07:43isi marifat se ibadat, akhlaq sab paida hongi aur doosron ke liye dawat daai banna hai, khair khwah bankar ke. yeh yeh two point mission hai. yeh marifat aur dawat, bhai woh bhi karen. baqi wahan jo ladai bhadai ho rahi hai, main usko galat samajhta hoon. aur tarah tarah ki yaani ladaiyan wahan pe chal rahi hain. aur sab se zyada tawakkud to yeh hai ke shatme rasool ka jo qanoon unke haan hai,
1:08:14bas koi rumor kahin hogi ke isne rasool Allah ke shatme kiya hai aur ja ke marte hain, jalate hain, phoonkte hain. yeh to yaani yeh to bas bataoon ke koi iski mere paas alfaaz nahin ke kin alfaaz mein isko kardab karoon. main isko islam ko badnaam karna hai, islam ke naam par islam ko badnaam karna hai. is tarah ke qanoon ko main bilkul galat samajhta hoon. yeh galat qanoon hai. yeh shayad mere rasool ki qatl, shayad iske peeche shah ibn taimiya ho ya koi bhi ho, behraal main isko galat samajhta hoon.
1:08:49main ne kitab likhi hai. maulana, agla sawal ajmer se hai doctor safina tabassum ka.