Maulana Wahiduddin Khan

Meaning and observance of Shab-e-Miraj

“What is Shab-e-Miraj? What should one do on this occasion?”

He answers at 1:42:25 in Divine Ideology of Life I · 9 min 55 sec

His answer, in his own words
1:42:25
maulana, un ka ek aur sawal hai. unhon ne poocha hai ke "What is Shab-e-Mairaj? What should one do on this occasion?" kuch nahin, aaj kal jo musalman karte hain woh sab riwaj hai un ka. is ka mazhab Islam se koi ta'alluq nahin. Shab-e-Mairaj yeh bhi pata nahin kis kis din hui thi. koi sabit thodi hai is ka tareekh. koi date koi sabit nahin hai. yeh to musalman ne bana rakha hai ek falan date. beh-haal yeh sab baatein jo hain yeh superstitions hain. superstitions. is ka Islam se koi ta'alluq nahin hai. to us din agar ibadat kar lo to phir jannat mil jayegi?
1:43:07
aisa kuch bhi nahin hai. Shab-e-Mairaj ke bare mein aap ne ek hi kaam karna hai ke woh aap woh hadith padhein jis mein koi aap ne apne tajrubaat bataye hain. ke aap ne jahannum ko dekha to wahan yeh anjaam ho raha tha. bure karne walon ka. jannat ko dekha to wahan un ko yeh inaam mil raha tha. is ko padhein, is se sabak lein. to Mairaj ka mauqa sabak lene ke liye, day manane ke liye nahin hai. Mairaj day manana yeh koi Islam nahin hai. yeh Shab-e-Mairaj jo hoti nahin hai to Mairaj day manate hain. to Mairaj day Islam mein har giz nahin hai. sabak leejiyey, is hadith ko padhiye jis mein Rasool Allah (SAW) ne apne tajrubaat bataye hain. to sabak lena asal hai na ke Mairaj day manana.
1:43:49
Sajid Ahmed Lucknow se pooch rahe hain Maulana ke "While reading Quran, is it necessary to recite Arabic script or only the translation will be enough?" sajid ahmed lucknow se pooch rahe hain maulana ke "While reading Quran, is it necessary to recite Arabic script or only the translation will be enough?" nahi to yeh to apne halaat par hai. Agar kisi ke paas itna kam time hai to tarjuma padhe. Nahi to arabi padhe, woh arabi padh kar ke is par zyada ghor o fikr kare, zyada soch sakta hai woh. Arabi janne wala zyada soch sakta hai, zyada samajh sakta hai. Lekin is ka matlab nahi ke arabi padhna farz hai kisi ke upar. Jo is ke bas mein jitna hai utna woh karna chah
1:44:30
iye. Ittaqullah musta'an. Maulana, yeh sawal kiya hai Mr Arshad Jamal ne New Delhi se. . Unhone likha hai ke "What is the meaning of verse number 6, chapter number 49 of Quran which says, 'Believers, if an evil doer brings you news, assert the correctness of the report fully, lest you unwittingly harm others and then regret what you have done'?" Haan yeh bohat ahem ayat hai
1:45:07
ke aadmi jo hai yani misunderstanding ki wajah se rai qaim kar le to yeh Islam mein bohat bara is ko bohat mana kiya gaya hai. Jab tak aap ko pakki knowledge na ho aap ko rai nahi banana chahiye aap ko. Pakki knowledge hona chahiye aap ko tab rai banaiye. To pakki knowledge kaise hogi aap ko tehqeeq karenge, sochenge, mamle ko jajchenge. Lekin is mein ek aur baat mein kahun ke yeh baat itni sada nahi hai. Yeh baat itni sada nahi hai. Jis aadmi se aap jayenge puchne ke liye woh kaise is par bhi depend karta hai.
1:45:45
Maslan mein bataun aap ko ek sahab ne mere bare mein ek statement diya paper mein ke mein BJP ka aadmi hoon. Yeh lafz likh ke mein BJP ka aadmi hoon. Mein ne is se telephone kiya , mein ne kaha aap ne keh diya ke BJP ka aadmi hain aap. Kahan aap ke paas kaun sa proof hai? Kaha agar aap jate hain un ke jalse mein. Koi jalse mein jane ka matlab BJP kahan hai? Hum to jate hain message, hum to hamara ek mission hai message pahunchane ke liye jate hain. Meri tauqeer sun lijiye aap jo is stage bolta hoon mein. To kya kehte hain woh?
1:46:23
Mana nahi unhone tehqeeq ke baad bhi. Lekin bohat khatarnak baat hai yeh. Yeh do tarafah do dhari talwar hai yeh. Is zamane mein log sach nahi bolte. Pehle zamane mein sach bolte the. Pehle zamane mein aasan tha tehqeeq karna. Ab tehqeeq karna aasan nahi hai. Ab kya aadmi safai pesh karta hai, ghuma phira ke baat karta hai, idhar udhar ki baat karta hai. To unhone kya aap jante hain kya diya unhone? Ek hadith pesh kar di.
1:46:54
Ittqoo wa qe'oo al-tuhm. Tohmat ki jagahon se bacho. Matlab wahan jo hai woh ek tohmat ki jagah hai log badnaam jagah wahan kyun jate hain aap? Ab ek naya shosha nikal liya unhone. Yeh bohat bari musibat hai is zamane mein jeena hai yaad rakhiye. Har aadmi jo hai apni safai pesh karna chahta hai. Ke mein saaf suthra bana raha hoon. Mere par koi dhabba na lage. Pehle zamane mein aadmi phir maan leta hai jaldi se. Kahan bhai mujh se ghalati hui aur baat aisi thi waisi thi. To sab tehqeeq kar ke jaldi se maloom haqeeqat maloom ho jati thi.
1:47:33
Ab maloom hi nahi thi haqeeqat ab. Kaise aap jane ke firishton ke record to aap ke paas hain nahi. Aap ke paas firishton ke record nahi hain. Jis se aap puche ja rahe hain woh aadmi sahi baat batata nahi. Mein aap ko aise bohat se qisse mere paas hain apni zaati. Ab bataiye ke mein ne jab keh diya use saaf saaf ke mein jata hoon BJP ke jalse mein to jata hoon mein mere saathi hote hain mein speech deta hoon Islam par phir woh Quran bantate hain un logon ko to matlab dawat ke liye jata hoon tab kya kehte hain Ittaqoo wa qe'oo al-tuhm tohmat ki jagahon se bacho matlab woh badnaam party hai to wahan jana hi nahi chahiye aap ko. to kaise aap kaise aap tehqeeq karenge? jab manne wala safai pesh kare ya safai kare jhoote yani jhoote pehlu nikalta rahe shoshe ab kya karenge aap?
1:48:35
yeh aisa bura zamana aa gaya hai bura zamana ke ummat hairaan ho gaya hai hum jeena mushkil ho gaya hai. kaise jaye aadmi? pehle zamane mein log seedhe saadhe hote the. ab seedha koi hai nahin. ab koi seedha hi nahin hai. har aadmi charhaye har aadmi charhaye. aur is zamane mein mein kehta hoon ke saare log taqreeban yeh koshish mein hote hain ke mera mere meri meri shakhsiyat bani rahe. meri shakhsiyat par koi dhabba na lagne paye. to ghuma phira ke apne ko safai pesh karte rehte hain. I was wrong kaun kehta hai mujhe bataiye. tehqeeq karne se baat khatam zaroor ho jati hai.
1:49:16
pehlay zamane mein tha ke I was wrong. I was wrong. ab kaun kehta hai I was wrong. log ghumate phira baat karte hain pech up kar ke baat karte hain apni safai pesh karte hain false justification pesh karte hain baat kisi se reporting nahin karte. to dekhiye do baatein hain yeh single baat nahin hai yeh. ek yeh hai ke aadmi ko chahiye ke sun kar na maan le. hadith mein aata hai ke kafy bilmar'u kadhiban yahdithu bikulli ma sami'a aadmi ke jhoota hone ke liye baat kaafi hai jo sune us ko bayan kar le jo sune us ko bayan kar lega.
1:49:57
is wajah se dekhiye pehle do point hua. ek point yeh hai ke jab aap sunein to us ki tehqeeq karein. jab sunein to tehqeeq karein. relevant logon se tehqeeq kar ke rai banayein. ek baat. doosri baat yeh aap yeh yeh bhi janna hai ke aap ek aise zamane mein hain jahan aap ko yeh musibat hai ke koi aadmi saaf baat karta nahin. saaf baat karta nahin to kaise aap us ko kya k arein? jaise mein ne qissa bataya aap ko ke jab mein ne saaf saaf keh diya ke mein bibi chup jata hoon to mein us se koi ta'alluq nahin koi lena dena nahin hai. mein jata hoon ek message pohanchane ke liye. mere saathi wahan Quran padhte hain. tab kya kehte hain ittaqu wa waqi'u al-tuhum mein ne sar peet liya ke aise logon se Khuda nipt sakta hai aise?
1:50:42
Khuda ke farishtay nipt sakte hain hum to nipt nahin sakte aise logon se. yeh mamlaat bohat hi pecheeda hain. yeh zamana pecheedgi ka zamana hai. har taraf har cheez complex ho gayi hai. jaise technology complex ho gayi hai na aisi soch bhi complex ho gayi hai. bohat hi har har taraf complexities. We are living in the in the midst of complexities to mein to itna zyada pareshan ho gaya yaad rakhiye rozah dua karta hoon Khuda ya mujhe maadoom kar de mera wajood mit jaye. yaqeen kijiye meri sab se mehboob dua yahi hai.
1:51:20
itna zyada mera haal ho raha hai ke mein dua karta hoon Khuda mujhe maadoom kar de mera wajood hi na rahe na is duniya mein rahe na aakhirat mein rahe.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.