Most beloved supplication and how to pray
“Mawlana, what kind of supplication (dua) does Allah love the most, and how should one make dua? Please explain something on this.”Asked by سید احمد علی, دلی
He answers at 49:21 in Divine Help · 3 min 34 sec
49:21jazak Allah. masha Allah. Maulana, agla sawal Delhi se bheja hai Syed Ahmed Ali sahib ne. unhon ne aapse poocha hai ke Maulana, kis tarah ki dua Allah taala ko sab se zyada pasand hai aur dua kaise mangi jaye? kuch is par bataein. yeh bara acha sawal hai. pehli baat to yeh samjhiye ke mein is ko dua, jo rate hue alfaaz ko dohrana, is ko dua samajhte hain.
50:03mein hargiz nahin samajhta. koi rate hue alfaaz dua nahin hain. dua mere nazdeek ek discovery ka item hai. discovery ka item hai. jab Allah rabbul alameen mein aap jeene lagte hain to aap us ke har din kuch na kuch nayi baat paate hain. کل یوم هو فی الشان
50:36is ko le kar aap dua nikalti hain aap ki. is ko le kar. to dua ek discovery ka item hai. har din nayi dua, har din nayi dua, har din nayi dua. jaise aaj mujhe discovery hui duaon ke darmiyan ke Quran ko do ayaton ka nazm ke lehaz se sochna yeh bilkul hi absurd baat hai. quran ko universal level par dekhiye. pure quran ko dekhiye. tab haqeeqat maloom hogi. misaal ke taur par main ne arz kiya ke quran mein ek ayat yahan hai, doosri ayat wahan hai. ek ayat yahan hai ke
51:21wa qim min nabiyyin qatal maah rabiyyun kaseerun wa anoo ma ashaab ma ashaab fi sabilillah wa ma dhakoo mustakaan doosri jagah yeh hai ke asmaa wa baraa inni ma'akum asmaa wa baraa aa is ko main ne baad joda ke kahin bhi aap agar Allah ke liye khade hue hain, chahe new zealand mein hon, chahe india mein hon, to wahan Allah aap ke saath khada hua hai. aur keh raha hai ke mere bande, be himmat na ho, main tumhare saath hoon. yeh nazm ne mein is cheez ko mujh se be khabar kar rakha tha. jab nazm toota tab main ne is jaana ke jahan bhi main khada hua hoon, chahe new zealand mein, chahe india mein, chahe america mein, jab main Allah ke liye koi struggle kar raha hoon to wahin mere saath Allah khada hua hai.
52:20Allah ke farishtay khade hue hain. woh keh rahe hain ke aye mere bande, himmat na haar, main tumhare saath hoon. yeh hai har din ek nayi baat daryaft karna. Allah rabbul alameen jitna sochenge aap, utni aap ke discovery ke item badhenge. ma'rifat ek unhunted process hai. ma'rifat koi baddu cheez nahi hai. maulana, agla sawal lene se pehle comment padhna chahenge jo rashid ansari sahab ne bheja hai meerut se. unhon ne likha hai: "yeh sahi baat hai maulana ke communication ka daur poori tarah se hamare saath hai.