Who Are the Reward Recipients in Quran?
“Who are the people who have been rewarded, as mentioned in the Quran? Please clarify.”Asked by Wisaal Ali Khan, Peshawar
He answers at 1:04:36 in Divine Help · 4 min 38 sec
1:04:36maulana peshawar se wasal ali khan sahib ka sawal hai. unhon ne likha hai ke main pehli dafa Maulana sahib ka talk sun raha hoon aur mera yeh sawal hai ke inaam yafta log kaun hain jis ke baray mein Quran pak mein aaya hai? maulana, is ko wazeh karein. abhi abhi isi ke sawal ka unhon ne jawab diya hai ke cheezon ko right angle se dekhna, jis ko aata hai, woh inaam yafta hai. sare log jo hain, cheezon ko right angle se nahi dekhte.
1:05:18yahi ghalati karte hain. jaise maine aap ko zam zam ki misaal di. jo zam zam ko kya samajhte hain? muqaddas, muqaddas, muqaddas. woh right angle se dekhna hi hai. maine aap ko bataya ke zam zam ko Allah ki help ki taraf dekhiye. Allah ki ke jahan bhi aap hon, yahan tak ke desert mein aap hon, tab bhi Allah ki madad aap ko pohnchegi. to Allah ki help har jagah milegi aap ko. is yaqeen ke saath Allah ke mission ke liye khade ho jaiye. yeh hai zam zam.
1:05:58aur taqaddus kya? musalman bas use muqaddas samajhte hain. to unhon ne zam zam ki jo asal hai, woh is ko jaana hi nahi. zam zam ka asal yeh hai ke Allah ke kaam ke liye jab jahan bhi ho, uth jao, khade ho jao. wohin jahan tum ho, wahin tum ko Allah ki madad mil jayegi. bashart hai ke tum tashaddud na karo. tashaddud haram hai. saare musalman jo hain, ya to tashaddud karte hain ya tashaddud ka sochte hain. nafrat, ya to nafrat ya tashaddud. nafrat ya tashaddud. is ke saath koi zam zam kaam nahi karne ka karega. nafrat aur tashaddud ko khatam karna padega, tab zam zam ka kaam shuru hoga.
1:06:53warna zam zam aap rakh ke rahenge, bohat hi apne bag mein, aur kuch milega nahi zam zam se. zam zam se pehle aap ko apne sine ko nafrat se aur tashaddud se kharch ke nikalna hoga. yeh jaanna hoga ke nafrat haram hai, tashaddud haram hai. tab ja kar ke aap ko zam zam ka faida milega. maulana saif anwar sahib ka sawal hai dilli se. unhon
1:07:35ne likha hai: "quran ka bani israel ke bare mein jo bayan hai, kya woh sirf hazrat musa ke zamane ke yahudiyon ke liye tha ya madine ke yahudiyon ke liye khaas tha? kya baad ke yahudiyon par in ayat ka itlaq nahi ho sakta hai? ji sir, aaj ke daur mein in ayat ki manawiyat kya hai?" jis zamane mein woh aayatein utri hain, us zamane ke yahudiyon ke bare mein hai. agar musa ke bare mein utri hain to musa ke bare mein, rasool Allah ke bare mein utri hain, rasool Allah ke zamane mein. jis zamane mein woh aayatein utri hain, us zamane ke yahudiyon ko is mein padhiye. utri to hain woh yani saatvi sadi mein, aur aap is ko padhein ikkeesvi sadi mein, yeh galat galat hai.
1:08:28aap kuch bhi na quran ko paayenge, na yahud ko samjhenge. aap sochiye, main misaal deta hoon aap ko. misaal deta hoon ke quran mein hai ke oonton par sawar ho kar hajj ke liye aao. to is ko ayat ko lena padega aap ko is is daur se mutalliq jab ke oont par sawari hoti thi. aaj nahi lena padega. warna aaj bhi aap oont pe pat ke j
1:08:58aayenge. aaj kyun aap jaate hain hawajat par? kyunke is ko aap is daur ki cheez samajhte hain jab ke duniya mein oont ki sawari hua karti thi. to is ko padhiye, is ko kyun nahi maante aap? maulana miss shaista ramzan ne pakistan se sawal kiya hai. unhon ne likha hai: "maulana sahib, I want to ask a qu