Does Islam Permit Rejoicing at Someone's Death?
“On Bal Thackeray's death I saw rejoicing and celebration in the Muslim community, and one Muslim was congratulating another. On Facebook too, Muslims have written extensively against Bal Thackeray. Does Islam permit Muslims to rejoice at someone's death?”Asked by Shah Imran Hasan, Delhi
He answers at 1:05:33 in Age of Peace · 2 min 42 sec
1:05:33maulana, agla sawal dilli se hai. shah imran hasan sahab ne kiya hai, unhone likha hai: "bal thakre ke nindhan par maine muslim samudaye mein harsh o ullas dekha". kaha: "tatha ek muslim doosre muslim ko badhai de raha hai". facebook par bhi musalmanon ne jam kar bal thakre ke khilaf likha hai. mera sawal yeh hai ke kya islam dharm musalmanon ko is ki anumati deta hai ke kisi ke nindhan par khushi manayein? kripa kar ke aap islam ka dashtri kaun batayein? yeh jo musalmanon ne kiya hai, yeh bilkul haram hai. islam mein haram, is se kam lafz mein nahi bolunga.
1:06:16dekhein, sahi tareeqa kya hai? sahi tareeqa yeh hai ke jab ek insan marta hai to aap yaad karein ke is insan tak farz tha ke main Allah ka paigham pahunchaun, woh na pahuncha saka. to Khuda agar mujh se pooche ke yeh banda mar gaya, tum ne kyun nahi pahunchaya us ko mera kalam? to main kya jawab dunga? main kya jawab dunga? aur jab aap yeh sochenge to aap aap kya sochenge ke jo log ab tak zinda hain, kam az kam un par pahunchaun? main yeh sahi reaction hai.
1:06:55yeh to bilkul jahalat hai, haram hai aur gunah hai islam mein jo kar rahe hain musalman. aap dekhein, apni zimmedari, apni responsibilities ko yaad karna islam ka tareeqa hai. doosron ke aakhirat ka anjam kya hoga? aap ke aap ke domain mein nahi hai, woh aap ke domain se bahar ki baat hai. marne wale ke sath aakhirat mein kya anjam hoga, woh aap ke domain ki baat hi nahi hai. is par kyun bolte hain? aap aap ke domain ki baat jo hai, woh yeh hai ke aap yeh sochein ke ek insaan duniya mein jeeta tha, 86 years tak aaj duniya mein raha, 86 years, aur main us ko Allah ka kalam na pohncha saka.
1:07:39to Allah agar mujh se pooche ke tum ne kyun nahi pohnchaya ? 86 years tak tha, woh kyun nahi pohnchaya tum ne? to main kya jawab doon ga? aur phir aap yeh sochein ke chalo, ab jo log zinda hain, un ko main pohncha doon. yeh hai sahi reaction. baqi jo reaction musalman dikha rahe hain, woh to apne domain ke bahar ja ke kar rahe hain. woh bilashuba gunah hai aur musalman hi pakre jayenge sab se pehle. to tum ko kya haq tha ke Allah ke domain mein dakhil ho kar ke is tarah ki baatein karo?
1:08:15maulana, agla sawal dilli se hai. miss naghma siddiqui ne kiya hai, unhone likha hai: "da age of peace has come, but when we talk to people about peace, they say yes,