Ideology's Power in the Nuclear Age
“In the age of nuclear weapons, how can the power of ideology be greater? Since Israel and America have nuclear weapons, Muslims also want to compete. In such a situation, how can we prove the power of ideology?”Asked by Maulana Naseerullah, Bangalore
He answers at 1:24:08 in Age of Peace · 4 min 22 sec
1:24:08maulana, agla sawal bangalor se hai. maulana naseerullah sahib ka, unhon ne likha hai: "maulana sahib! nuclear hathiyar ke zamane mein ideology ka power kaise zyada ho sakta hai? kyunke israel aur amrika ke pas nuclear weapons hain, tu musalman bhi muqable ke liye ana chahte hain. aisi halat mein ideology ke power, ideology ki power kaise sabit karen?" dekhiye, misal se dekhiye. amrika ke pas atom bomb tha. second world war mein us ne do atom bomb giraye japan par aur hiroshima, nagasaki ko tabah kar diya. tu us ke baad kia hua?
1:25:00us ke baad kia hua? kia amrika jeet gaya? amrika har gaya? yani japan ne yeh kiya ke us ne war ko chhod kar peace ka tareeqa ikhtiyar kiya. us ke baad education, industry, scientific training, yeh sab kiya us ne. aur 30 sal ke andar, 30 sal ke andar woh economic power ban gaya. economic power. mein abhi amreeka gaya tha to raat ke waqt sarkon par mein chal raha tha, to wahan roshan advertisement hotay hain. to mein sarkon par bhara hua tha, ab japan ke car waghera ke advertisement
1:25:41amreeka ki sarkon par. amreeka ki sarkon par japan ki industry jo hai, woh yaani dominate kar rahi hai. to mujhe bataiye ke amreeka ne atom bomb gira kar ke japan ko jeeta hai ke woh khud hi haar gaya? woh jeeta to japan ke woh economic superpower ban kar ubhra aaya. to yeh bilkul jhooti tasweer hai ke atom bomb banao. atom bomb bana kar ke kya karoge? dekhiye, jo log atom bomb banane ki baatein karte hain, woh bilkul yaani mere nazdeek bilkul hi mad hain.
1:26:18mad kyun? atom bomb agar aap istemal karein to woh boom rang khel hota hai. boom rang yaani khud bhi tabah ho jao, kyunke woh us ko kehte hain weapons of mass destruction ka sab se bara. woh jab atom bomb giraya jaye ga to charon taraf nuqsan pounchaye ga, woh sab ko pounchaye ga, sab ko tabah kare ga. misalan farz kiye ke pakistan agar india par bomb giraye to pakistan bhi tabah ho jaye ga. yeh thori ke pakistan bacha rahe ga. to jo log yeh kehte hain atom bomb banao, woh mere kehte hain mad hain. mad log hain, yeh aql se khali hain. yaani wisdom ka, yaani idea bhi un ka andar nahi hai.
1:27:03balakhir kya karoge? atom bomb ko to istemal kiya amreeka ne, lekin kya amreeka jeet gaya? aaj amreeka jo hai, khud hara hua mulk ban gaya hai. aap jante hain ke amreeka ka dollar itna kamzor ho gaya ke europe ne apni currency alag kar li. pehle europe mein bhi dollar chalta tha, europe mein bhi. ab unhon ne euro alag kar liya, rozoon alag kar liya. yaani amreeka ki dollar ki jo supremacy thi, woh khatam ho gayi. to kahan atom? atom bomb ne kya kiya? kya karname atom bomb ka hai? yeh sab jhoote, jhooti soch hai aur yeh be-aqli ki soch hai.
1:27:44jinke paas wisdom nahi hai, wahi yeh sab banda sochte hain. cheezon ko dekhiye, mein aik usool batata hoon aap ko: you have to think, you have to think in terms of result. yaani natije ko le kar sochiye, aik hypothetical sense mein mat so- chiye. log hypothetical sense mein sochne lagte hain. result ko le kar sochiye to sab se zyada be-aqli ka kaam ban gaya atom bomb banana. atom bomb banao, apni economy ko tabah karo, aakhir mein kuch bhi nahi hath aaye. ab jo taqat hai, woh education mein hai, daao work mein hai, peace mein hai.
1:28:24yeh bilkul madness hai ke musalman agar sochein ke un ke paas atom bomb ho. maulana, agla sawal dilli se hai muhammad ans sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana, mein aik musalman sahib se dawat ke baray mein baat kar raha tha.