1:32:09dawat aur dua, dawat aur dua, bas yahi hamari zimmedari hai. molana, agla sawal dhampur se hai mehtab ahmad sahib ka. unhone likha hai: "molana sahib! what is the easy formula of doing the dawah work?" dekhiye, formula to ek hi hai: jo ilm aap ke paas Allah ka hai, us ko pahunchayein, chahe bol kar ya kitab ki shakal mein, aur jitna aap ke bas mein ho. atqullaha masta ta'tum yaani itna kaam karo jo tumhare bas mein hai. to bol kar agar hum samajhte hain ke effective tor par bata sakte hain, to bol kar batayein,
1:33:04nahi to aap kitab pahunchayein, quran pahunchayein. to is ka faisla hoga halaat se, yaani hamari kya capacity hai, halaat kya hain, un ke lehaz se jo hamare bas mein effective tareeqa hai, effective, woh hamein karna chahiye. yeh aadmi khud samajh sakta hai ke main kis aitbar se zyada effective ho sakta hoon, zyada moassar ho sakta hoon. to apni samajh se jis cheez ko samjhe ke yeh mere liye effective dawah work hai, woh kare aadmi aur jitna bas mein ho, utna kare. yeh aadmi khud faisla kar sakta hai, yaani dawi khud faisla kar sakta hai. molana, agla sawal lene se pehle ek comment padhna chahenge jo doha, qatar se aaya hai molana abdul basit umri sahib ka