Maulana Wahiduddin Khan

Difference Between Tawbah and Istighfar

“What is the difference between tawbah and istighfar?”Asked by Mohammad Matloob, Rampur

He answers at 52:09 in Importance of Patience · 3 min 6 sec

His answer, in his own words
52:09
maulana, agla sawal rampur se hai muhammad matloob sahib ka, aur wo aap se yeh jaanna chahte hain ke "what is the difference between tauba and istighfar?" dekhen, tauba ke lafzi ma'ne hain paltna. tauba ya taubon ke lafzi ma'ne hote hain paltna. yaani ek hum ghalat kaam ho gaya tha hum se to hum palte. that is tauba. to quran mein aata hai ke "sum yatubuna min qareeb" ke jab ghalati ho jaye to foran hi lotna chahiye. dekhiye, is ko yaad rakhiye is baat ko ke islam mein tauba baeed nahi hai, sirf tauba qareeb hai.
52:57
yeh bohat important baat hai. tauba ke baad istighf far aata hai. istighfar ke lafzi ma'ne hain bakhshish chahna. tauba ke lafzi ma'ne hain lotna. jab aap lotenge, yaani abhi ghalati se lotenge, you turn lenge, to is ke baad kya karenge? aap duaein karenge, maghfirat mangenge. ise kehte hain istighfar. to tauba ke baad istighfar aata hai. pehle tauba, is ke baad istigh far. lekin tauba ke bare mein ek bohat aham baat hai ke quran mein hai ke "sum yatubuna min qareeb". phir jald hi wo tauba karte hain, yaani ghalati se palte hain.
53:43
is par maine ghor kiya ke tauba qareeb kyun hai quran majeed mein. is ki wajah dekhen, yeh hai ke nafsiyat ke mutale se yeh baat samajh mein aati hai ke aadmi ke mind mein jab ek baat aati hai ke maine falan kaam ghalat kiya, to pehle din zamir is ko tokta hai. achha, agar aap tauba na karen to dheere dheere dheere usi waqt condition hone lagte hain. condition to dheere dheere is ki is ki burai khatm ho jati hai. kahin memory mein rehta hai, aisa maine kiya tha, lekin is ki burai khatm ho jati hai. to phir tauba ka speed bhi khatm ho jati hai.
54:33
to jaise hi aadmi ko ehsas ho ke mujh se ghalati ho gayi, to jaldi se is ko tauba karna chahiye. yaani tauba ka ma'na wapas hona chahiye. wapas hone ka ma'na hai ke ghalati ki islaah karni chahiye. aur istighfar yaani allah se dua karna chahiye. apni taraf se aadmi jo tauba karta hai, us mein allah ki madad chahiye is ki. to goya ke istighfar ka matlab hota hai ke aadmi tauba ke baad jo nayi zindagi bana raha hai, us mein allah ki madad ka talib hona. yeh matlab hai is ka.
55:15
maulana, agla sawal kya hai? chennai se maulana iqbal umri ne, aur unhon ne likha hai: "maulana, aaj hi maloom hua ke zulm khuda ki dictionary mein nahi hai.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.