Meaning of verse on greed
“Quran chapter 64, verse 16 says: 'Whoever is saved from greed, he has succeeded.' What does it mean? Please explain.”Asked by Amir bin Yusuf, Pakistan
He answers at 57:34 in Importance of Patience · 5 min
57:34maulana, agla sawal kya hai? aamir bin yusuf sahib ne pakistan se, aur unhon ne likha hai ke quran ke chapter 64, verse number 16 mein aaya hai: "jo hirs se bacha liya gaya, woh kamyab ho gaya." maulana sahib, mein yeh janna chahta hoon ke is ka matlab kya hai? is ke baray mein hamein batayein. aap meri tafsir parhiye: "tazkir ul quran". is ke baad sawal kijiye. meri tafsir urdu mein, angrezi mein, arabi mein, teen zabanon mein hai. is ko parhiye aur phir sawal kijiye. kya ho sakta hai ke is mein aap ke sawal ka jawab mil jaye? aap ko
58:26maulana, inhi ka ek aur s wal hai. woh aap se yeh janna chahte hain ke muslims mein tribal age ki beginning kab se hui? is ke baray mein batayein. yeh beginning ki baat nahi hai. jo log islam mein dakhil hue, woh tribal culture mein jeete thay. us waqt woh condition ho chuke thay. us waqt condition ho chuke thay. woh to beginning ki baat nahi hai. woh to tribal culture hi ko le kar aaye islam mein.
59:00to us zamane mein, yaani jo tarbiyat aur taleem darkar thi, woh nahi ho saki. quran mein jo ek usool bataya gaya tha ke "ma kaana mumin kaffah fal yafur min kull firqatin minhum", yaani sari ki sari qoum nahi aa sakti. to yaani ek group ki shakal mein log aaye madina aur un ki taleem tarbiyat ho. lekin yeh amalana yeh yeh nizam bana nahi wahan par, kyunke ladai chhid gayi. ladai chhid gayi. ladai chhid gayi.
59:42to ab bhi musalman, yaani abhi bhi woh kaam nahi kar rahe hain talib tarbiyat ka. to abhi tak woh sara masla, abhi tak is ka asar hai. abhi jo jangain dekh rahe hain aap, woh sab abhi bhi tribal culture ka woh nishan hai. isi ka trace hai. tribal culture se abhi musalman bahar nahi aaye hain. isi isi aapas ki ladai hai, inteqam aur nafrat, woh sab tribal culture hi kitne din hain. to
1:00:18is ka is ka tor sirf education ho sakta tha, lekin education musalman mein hui nahin. jo madrase ka education bilkul nakafi hai. jo madrase mein education hoti hai, woh nakafi hai is ke liye. balkeh jo log jatay hain secular education mein, woh kisi had tak behtar ho jatay hain. un ki de-conditioning ho jati hai. madrase walon ko nahin hoti. to tribal culture ko le kar hi aaye log Islam, aur woh continue raha, kyunke taleem ka jo nizam mutlub tha, woh nahin ho saka.
1:00:55jo khud Quran mein bataya gaya tha, woh nizam nahin ban saka. is ayat ko aap parhiye: "ma kaana al-mu'minu li yanfirro kaffah, falaw lafara min kulli firqatin minhum taa'ifatun". yeh mashhoor ayat hai. is ko aap parhiye aur is ki tafseer. yeh bataya gaya tha ke ek nizam-e-taleem qaim karo, lekin woh nizam-e-taleem jahan tak mein janta hoon, kabhi bhi tareekh mein qaim nahin ho saka. un ki de-conditioning ka yeh ayat ka matlab tha ke logon ki conditioning ko todo,
1:01:31yani sabaq mind set ko le kar ke jo Islam mein dakhil ho gaye hain, is ko khatam karo, aur agar naya zehn banao, naya mind banao, nayi soch banao, to musalman pehle bhi ladaai phadaai mein mashghool rahe, aaj bhi ladaai phadaai mein mashghool hain, aur sahih maanon mein woh taaleemi nizam nahin ban saka jo mutlub tha. dekhiye, yeh hai Surah At-Tawbah ayat number 122. bohat zabardast is mein taleem thi ke jo log pichlay mind set ko le kar ke dakhil ho gaye hain Islam mein, kalma parh kar ke, un ki de-conditioning zaroori hai, aur woh de-conditioning hogi taleem, tarbiyat, tarbiyat, tarbiyat ke zariye.
1:02:16yeh kaam bohat hi juzwi tor par hua, baqaida nahin hua, ab bhi nahin ho raha hai. to aaj hamein yeh kaam karna hai ke hum apni taleem ke nizam ko is nahaj par qaim karein ke logon ki de-conditioning karne ke nahaj par. tab ja kar yeh cheez khatam hogi. Maulana, agla sawal kya hai? Ajmer se Dr. Safeena Tabassum ne, aur unhone aap se poocha hai ke "how to identify a sincerity in a person"