Maulana Wahiduddin Khan

Donating to sectarian institutions and support

“Is donating to any sect's mosque or madrasa supporting sectarianism? Please explain.”Asked by عامر بن یوسف

He answers at 1:25:33 in Present Day Muslims · 1 min 20 sec

His answer, in his own words
1:25:33
maulana, agla sawal bhi pakistan se hai, aamir bin yusuf sahib ka. unhon ne likha hai: "kisi bhi firqa ki masjid ya madrasa ko chanda dena firqa wariyat ko support karna hai ya nahi? is ke baray mein bataein." bhai, yeh sab maqami maslay hain, aap wohi janiye jahan aap hain. main yahan se baith kar kuch nahi kar sakta. baqi maine nahi samjha ke masjidon ko itni masjidain ho chuki hain, ab nai masjidain banane ki koi zaroorat nahi hai. masjidon ko chanda dene ke bajaye aap dawat mein paisa kharch kijiye. itni masjidain hain, itni masjidain hain ke mazeed masjidon ki koi zaroorat hi nahi hai. agar aap ka paisa hai to dawat Allah mein kharch kijiye, quran ke tarjume mein kharch kijiye. koi zaroorat nahi hai nai masjidain banane ki. bohat kaafi hai jitne musalman hain, un ko namaz ada karne ke liye.
1:26:27
mazeed yeh ke rasool Allah ne farmaya ke sari zameen bhari masjidain bana di gayeen. to jahan yani aik building ke roop mein, aik aik aik aik building ke roop mein masjid balfarz na kahin ho, tab bhi aap bazaar mein parh li jiye namaz. is mein koi harj o harj nahi hai. yeh sab to bekar baatein hain. maulana, agla sawal kashmir se hai, muhammad saleem mir sahib ka
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.