Maulana Wahiduddin Khan

Meaning of 'imāmā' for home guardian in Quran

“In this prayer of the Quran (Rabbanā hab lanā min azwājinā wa dhurriyyātinā qurrata a'yunin waj'alnā lil-muttaqīna imāmā), what role does 'imāmā' indicate of the guardian of a home?”Asked by ساجد انور, روڑکی

He answers at 1:31:23 in Present Day Muslims · 2 min 29 sec

His answer, in his own words
1:31:23
maulana, agla sawal roorkee se hai, sajid anwar sahib ka. unhon ne ek quran ki ayat ka reference diya hai jo is tarah hai: rabbana hablana min azwajina wa zurriyatina qurrata ayunin waj alna lilmuttaqina imama. maulana, woh yeh likh rahe hain ke in this prayer of the quran, what role the muttaqina imama indicates of the guardian of a home? is ke bare mein bataein. dekhiye, is mein yeh hai ke dua ke jo alfaaz hain waj alna lilmuttaqina imama
1:32:02
. yani apni family ko yahan par diya gaya reference. to hum ko apni family ke logon ka, yani koi muttaqi family ho, hum us ke leader hon, imam hon. to is ka yeh matlab nahi ke ke allah taala farmaye ke tumhari family ko muttaqi family hona chahiye. yeh matlab nahi hai. yeh jo khandan ka jo sarparast hai, us ke us ke dil ki yeh tamanna honi chahiye ke mere ghar wale allah se darne wale hon, allah se ta'alluq rakhne wale hon, deeni mizaj un ke andar ho. to yeh yani yeh baat family wise nahi hai balke sarparast wise hai. ek sarparast ka jazba kya hona chahiye?
1:32:52
aaj kal kya hai, un ka jazba kya hota hai ke main apne bachon ko khoob paisa doon, khoob building doon, khoob car doon? yeh nahi hona chahiye aap ka jazba. aap ka jazba yeh hona chahiye ke aap ke aankhein is par khush hon ke aap ke ghar ke log allah wale ban jaein. yani aankh ki thandak yeh ho aap ki. nahi, yeh thandak nahi ho ke aap woh shandar maadi zindagi kyun ban rahi hai in ki. social status acha ban raha hai in ka. to sarparast ki aankhon ki thandak is mein honi chahiye ke woh logon ko muttaqi dekhna chahe. yeh matlab hai is ka.
1:33:34
kyun ke woh to bas mein nahi hai. aap kaise badal dalen kisi ko? apne ko badal sakte hain aap. to yeh is mein jo baat kahi gayi, woh family wise nahi hai balke sarparast wise hai. sarparast ka matlab hai guardian wise hai. maulana, agla sawal aligarh se hai, doctor qamar ahmad khan sahib ka.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.