1:34yeh pehla sawal hai. chahe aadmi consciously yeh sawal apne zehn mein qaim na kare, tab bhi yeh sawal har ek ka sab se zyada aham sawal hai. main bhi is sawal se dochar raha hoon, aur Allah ke fazl se maine is sawal ka jawab paya apni zindagi mein, aur ab main isi par qaim hoon. to pehla sawal yeh hai ke hum aap kaise ban gaye? yeh duniya kaise bani? to is par mujhe
2:19aik waqia ka zikr karna hai. dekhiye, aik British philosopher tha, uska naam hai John Stuart Mill. woh 1873 mein faut ho gaye, uski us waqt uski umar sirf 67 saal thi. zamnan aik baat mein yeh kahoon ke jab bhi mein kisi ki maut ko sunta hoon to mujhe aik waqia yaad aata hai. aik baar mein aik majlis mein tha to wahan aik qawwal aa gaye, jo naat parhte thay, naat-e-Rasool.
3:09to logon ne farmaish ki ke aap koi naat parhiye. to unhon ne aik naat parhi. to uska aik shair yeh tha: "Log mehshar mein hairaan reh jayenge, Khuda kaun hai, Mustafa kaun hai?" yeh shair yaqeenan bilashubah bilkul batil hai, be-sanad hai, uski koi haqeeqat nahi. lekin is shair ko jab maine suna to aik aur baat mere zehen mein aa gayi, thode se tabdeeli ke sath. woh jab koi maut kisi ki hoti hai to phir yeh shair yaad aata hai mujhe. woh yeh tha ke "Log mehshar mein hairaan reh jayenge, ke thi baat kya, hum ne samjha tha kya?" yaani duniya mein hum kya soch kar jiye?
4:11lekin marne ke baad achanak maloom hoga ke mamla to kuch aur tha. ab wapsi bhi nahi ho sakti, to aadmi hamesha hasrat mein rahega. to khair, John Stuart Mill ne likha hai apni autobiography mein. yeh autobiography 1873 mein pehli baar chhapi thi. usi saal uski fawafat bhi hui. is mein woh likhta hai ke mere baap, uske baap ka naam tha James Mill. uske baap ne kaha ke, yeh kaha jata hai ke insaan ko Khuda ne banaya.
4:59to usne kaha ke magar baatein yahin khatam nahi hotin. sawal yeh hai ke If God made man, who made God ? agar Khuda ne banaya insaan ko to Khuda ko kis ne banaya? dekhiye, yeh sawal aik sirf aik lafzi, jis ko kehte hain takbandi, uski koi logic nahi hai. is liye ke masla yeh hai ke hum aik kainat ko paate hain apne charon taraf. isko hum dekhte hain, isko hum daryaft karte hain, is se hum jeete hain. to yeh sawal hai ke aakhir yeh kainat, yeh kainat kaise?
5:55to main yeh kahoon ga ke is mamle mein hamare jo option hain woh kainat with God aur kainat without God ka nahi hai. option jin do tanasub ke beech mein hai woh yeh nahi hai ke kainat with God, kainat without God. nahi. jin do ke beech mein option hai woh woh yeh hai ke kainat with God aur no kainat bilkul nahi.
6:43yaani agar aap yeh kahein ke Khuda nahi hai to yeh sawal phir baqi rehta hai ke phir yeh kainat kaise bani? kaise chal rahi hai? kaun iska khaliq hai? kaun iska sustainer hai? to option yeh nahi hai ke kainat with God, kainat without God. yeh option hi nahi hai. jo haqeeqi option hai jin do ke beech mein woh yeh hai ke kainat with God aur no kainat bilkul nahi.
7:21to haqeeqat yeh hai ke kainat maujood hai, woh bohat hi maani khez hai. hum is ko apnay mushahiday mein, tajribay mein, har aitbar se is ke wajood ko hum daryaft karte hain. to aakhir yeh kaise hai? aur bohat hi ziyada maani khaiz, bohat hi well designed, well planned. to kaise aisa hai?
8:01jaise abhi, yaani beshumar cheezain science ne daryaft ki hain. jaise aik, aik abhi aik aayi hai, aik tehqeeq, bohat hi ajeeb. woh yeh hai ke hamari jo kahkashan, hamara jo shamsi nizaam hai, jis mein hamari zameen hai, woh aik kahkashan mein hai, jis ko hum doodhiya kehte hain. to yeh jo kahkashan hai, is mein billion sitaray hain, aur bohat hi baray baray, suraj se baray baray. to woh itna ziyada garam hai ke agar hamara shamsi nizaam is ke beech mein hota to hum log janam bhar kar khatam ho jatay. to hamara shamsi nizaam, hamari jo kahkashan hai, doodhiya, is ke beech mein nahi hai, is ke kinare hai. jahan hararat bohat kam hai.
8:57yeh kaise aisa hua? yeh kis ne is tarah design kiya kahkashan ko aur shamsi nizaam ko? jis ko pata tha ke agar beech mein rahega shamsi nizaam to insaan janam bhar kar khatam ho jaye ga. is tarah ki billion trillion cheezain hain. abhi haal hi mein aik cheez aayi hai ke hamari kahkashan, jo bohat hi bari hai, bohat hi bari hai, is mein aik dark sitara hai. dark sitara is ko kehte hain jo bohat hi taqatwar hota hai. itna taqatwar ke apni roshni ko bhi nikalnay nahi deta.
9:36to chounke hum jab tak hamaray aur object ke beech mein roshni na ho, hum dekh nahi saktay. to hamaray dekhnay ki nisbat se woh dark hai. warna woh roshan sitara hai. to hamari kahkashan, jo hai, jis mein hamara shamsi nizaam hai aur zameen hai, is mein haal mein aik dark sitara daryaft hua hai. woh bohat hi taqatwar hai. to pehle se insaan janta tha ke oopar se, yaani hamaray shamsi nizaam ke bahir se, charon taraf se, har waqt, har second,
10:20beshumar sitaray aa rahay hain. sitaray kehte hain pathar ko. woh chotay, baray, har kisi ke pathar hotay hain. million, billion pathar har waqt aa rahay hain charon taraf se. to yeh bohat ajeeb sawal tha ke pathar jo aa rahay hain to kaise zameen par hum hifazat se reh rahay hain? yahan to patharon ki barish hona chahiye. to aik nazriya banaya gaya tha ke pathar jo atay hain, jab woh zameen ki fiza mein dakhil karte hain to jal kar woh reza reza ho jatay hain.
10:58lekin yeh jo tausee thi, yeh poori tarah is ko kafi nahi tha is ko batany ke liye. ab jo hai, daryaft hua ke yeh jo dark sitara ya dark matter hai, woh saray is ko hal karta rehta hai. is ki yeh tasweer hai. kaisi ajeeb baat hai. hum zameen par itnay itminan se reh rahay hain, bohat hi sukoon ke sath, bohat hi sukoon ke sath, sari sargharmiyan karte hain, sari mansooba bandi karte hain.
11:37yeh kaise mumkin hota hai ke sayarchon ka jo toofan har waqt aa raha hai, woh sab hal karta kar leta hai? woh hamare upar, hum tak nahi pahanchta. warna pathron ki barish hoti hai aur hum mein se koi phir zinda na rehta. kaisi ajib baat hai. kaisi ajib baat hai. yeh uski tasweer chhapi hai akhbar mein. yeh abhi ek haftay ki baat hai.
12:12to aisi ek do nahi, aisi bohat si baatein hain jo maine, jin mein se kuch maine likha hai apni kitab "mazhab aur jadeed challenge" mein, jo chhapi hai angrezi mein "God Rises" ke naam se. aur arabi mein, arabi mein "al-islam atadah" ke naam se. aisi bohat si cheezein maine is mein di hain. woh bhi misaal hain. woh sari baatein to itni zyada hain ke woh abhi tak insan daryaft kar raha hai aur uska anjam nahi aaya. to ab sawal yeh hai ke itni well designed, itni well planned, itni maani khez duniya kaise ban gayi?
12:56agar iska koi banane wala nahi, koi sustainer nahin. to scientist jo hai, is tarah ki baat philosophers kehte hain. yeh jo start mill tha ya james mill tha, yeh sab philosophers the. scientist kabhi aisi baat nahi kehta. kyunke jo scientists ne dekhi, yeh maana ke koi taqat hai. newton ne maana tha ke koi quwwat hai is duniya ke peeche. sir james jeel ne kaha ke koi riyazi bandhan hai uske peeche.
13:34fred hoyle ne kaha ke koi, koi zehant hai uske peeche. to sab is tareeqe se mante rahe hain, agarche woh Khuda ka naam nahi lete, woh. to behal yeh maanna padega ke ek Khuda hai jo maujood kar raha hai, jo hum janne wala hai, khud maujood hai, jo sustainer hai. agar sab kuch hai.
14:10yani hum dekhiye, ek cheenti bhi nahi bana sakte hum. kehti hai sari kainat bani hui hai hamare liye. to pehli baat yeh hai ke jo usne kaha tha, ek french philosopher ne "I think therefore I am." "I think therefore I am." to main kahunga ke "I am therefore God is." agar soch jo hai mere wajood ka saboot hai to mera wajood Khuda ka saboot hai.
15:01to yeh behal, yani logic ka taqaza, aql ka taqaza, aur har qism ki maqooliyat ka taqaza yeh hai ke hum Khuda ko maanein. to ek to Khuda ka saboot yeh hai jo mushahde par mabni hai, doosra jo hai badihi basirat par mabni hai. badihi basirat , dekhiye, har aadmi jo paida hota hai, baghair kisi istisana ke, uske andar ek ek sense of awe hota hai, kisi ko maanne ka jazba, koi apne se bara. usko aadmi wabasta kar leta hai kisi ke saath, kisi group ke saath, kisi shakhsiyat ke saath. pehle log suraj chand ke saath kar lete the.
15:52to hamesha insan jo hai, kisi ko maanta raha hai apne se bara. to ek hai tauheed, ek hai shirk. tauheed yeh hai ke Khuda ko Khuda maana jaye, Khuda ko Khuda maana jaye. shirk yeh hai ke Khuda ke siwa kisi ko woh darja de diya jaye jo ke Khuda ka darja hai. poori tareekh mein yahi raha hai. kabhi aisa nahi hua tareekh mein ke khuda ko na maanne wale duniya mein bhar gaye hon.
16:27aisa kabhi hua nahi. to ek baat yahi hui. yaani khuda ke wajood ko maanna. khuda ke wajood ko maanna. falsafi ki zabaan mein hum kahenge ke "I am therefore God is ". science ki zabaan mein kahenge ke ek ek kainat hai, bohat hi maani khez, bohat hi well designed.
16:54to "Who is the designer?" "Who is the designer?" to hamein maanna padega ke koi koi designer hai. doosri baat yeh hai ke jab aap khuda ko maane to khuda ko maanna koi saada maanna nahi hai. saada maanna nahi hai. khuda ko maanne ke maani hain ke aap ke upar us ke kuch taqaze aa jaate hain. khuda ko maanne ke maani yeh nahi hain ke aap antarctica mein koi ek pathar pada hua hai, aise maan liya aap ne. nahi, khuda ke maani yeh hain ke aisa khuda jis ne aap ko paida kiya.
17:43jo aap ko suraj ke zariye roshni aur hararat bhej raha hai. jo zameen mein ghiza ugata hai. jo pani ka zakhira jis ne ikatha kar diya hai. jo oxygen supply kar raha hai. jo billion nahi, billion cheezein kar raha hai, jaise aap jis ko hum kehte hain life support system. to jab yeh sab koi kar raha hai to hamein koi response dena hai is ka. woh response kya hai? woh shukr hai. yaani khuda giver hai, hum receiver hain. hum khuda se pa rahe hain. to hamein koi response dena hai.
18:25yeh bilkul natural baat hai ke hamari taraf se koi response ho. isi response ka naam hai shukr, acknowledgement, hamd. jab aap acknowledge karte hain khuda ko, itraaf karte hain khuda ka, itraaf. shukr aur itraaf mein koi farq nahi hai. shukr wahi hai jo itraaf hai. itraaf wahi hai jo acknowledge karna hai. to isi ka naam hai shukr. to hum, yaani yeh hamari fitrat ka taqaza hai ke hum khuda ke saari blessing ka, saare jo atiyaat khuda ke hain, is ka itraaf karein.
19:11is ke baghair hum reh nahi sakte. dekhiye, quran mein hai ke khalaqal qalba ma'a fi as-samawati wa ma'a fi al-ardi jamee'an yaani zameen o aasman hain, jo kuch hai, sab ka sab tumhare liye hum ne musakhkhar kar diya, tumhari khidmat mein laga diya hai. yeh saari kainat hamari khidmat mein lagi hui hai. sirf wohi kuch item nahi, jis ko hum kehte hain life support system. is ke saath pata nahi kya kya hain. misaal ke tor par, upar se cosmic rays aa rahi hain.
19:52aap tak insaan daryaft nahi kar saka hai ke ek cosmic rays ka hamari zindagi se kya ta'alluq hai. kya maloom, cosmic rays ka bohat hi gehra ta'alluq ho hamari zindagi se, jis ki daryaft abhi baqi hai. to aaj subah mein yeh soch raha tha ke insaan jo hai, khuda ne bataya, likha hai, quran majeed mein likha hai ke wa laqad karramnaaka wa nayaadaka yaani insaan ko hum ne bohat hi izzat aur sharaf diya. to yeh kya hai? to mein soch raha tha ke insaan to khuda ki duniya mein goya mehman ke tor par hai. mehman us ko kehte hain jis ko free sab cheez supply ki jae e. to sab free supply ho raha hai. hum karte hain, koi hum kuch bhi nahi karte. agar kisan khet mein beej daal deta hai to karna nahi kaha jayega.
20:48yani beej se ukharo akhwan nikla, ukharo se danthal nikla, is se patiyan nikli, is se phool aur phal aaye, is se ghalla nikla. yeh kya kya cheezein hain? yeh kisan karta hai? woh toh ek bas ek beej daal diya. toh kisan ka karna itna kam hai ke one percent mein maine ban kar sakte ho is ko aap. aisi sari cheezein hain. jo oxygen supply ho raha hai, hum ne kya kiya is ke liye darakhton se? suraj se jo aa rahi hai light aur heat, hum ne kya kiya? kuch nahi kiya hum ne. jo cosmic rays aa rahi hain, hum ne kya kiya? hum ne kuch bhi nahi kiya. toh yeh sab jis tarah se ek mehman hota hai, toh us ko sari cheez free di jaati hai.
21:30toh insan goya ke is duniya mein Khuda ka mehman hai. kaisi ajeeb b aat hai. phir maine socha ke dekhiye, ek hota hai mehman. yani aam mehman. ek mehman hota hai. phir ek chief mehman hota hai. phir ek royal mehman hota hai. phir ek imperial mehman hota hai. yani aam mehman, khaas mehman, shahi mehman, shehanshahi mehman. lekin insan jo hai, universal mehman hai. universal mehman hai. yani sari kainat is ki khidmat mein lagi hui hai.
22:12main apne ghar ki chhat par khada hua subah ke waqt. toh suraj nikal raha tha. chaaron taraf darakht thay. fiza mein chidiyan urr rahi theen. aur ek poora ek kainaati manzar tha, kainaati manzar. is mein main khada hua tha. toh mujhe woh ayat yaad aayi jo abhi main ne parhi. ke sab kuch laga diya insan ki khidmat ke liye. toh phir is ko maine personalize kiya. personalize kiya. yani sab kuch apne oopar dhala. toh ek ajeeb ehsaas hua.
22:51ke sari kainat Khuda ne mere liye banai hai. jo Allah ki blessings hain, jo universal atiyaat Khuda ke hain, is ko aap personalize kijiye, personalize. toh ek ajeeb ehsaas hoga. ek sahib se baat ho rahi thi toh unhon ne kaha ke main park mein gaya walk karne ke liye toh wahan phool khile hue thay. is ko main ne kaha main dekhne aaon. toh bohat hi beautiful thay. toh main ne socha ke kitna beautiful art hai yeh. toh main ne kaha theek hai yeh aap ne jo daryaft kiya hai, bohat bari daryaft hai lekin is se aage ek cheez daryaft karna hai aap ko.
23:36agar aap is duniya ko ek achhe art ke roop mein daryaft karen. toh aap ko sirf ek artist ka tasawwur aayega. yani universe is a great art of a great artist yeh aap soch paayenge. universe is a great art of a great artist toh artist ke liye aap ke andar kya hoga?
24:06ek sense of awe aayega. aur ek bara artist hai, us ko maanne lagenge aap. lekin woh jo response dena hai aap ko shukr ka, woh nahi aayega. shukr ka response dene ke liye ke aap us ko Khuda ko benefactor ke roop mein daryaft karen. munim ke roop mein daryaft karen. sirf artist ke taur par nahi. yani agar aap yeh kahein ke universe is a great art and God is a great artist toh aap ne Khuda ko bas ek kharji, ek artist ke taur par daryaft kiya. nahi. aap daryaft karein ke mujhe Khuda de raha hai sab kuch. tab shukr aayega.
24:58tab sh kar aaye ga. phir mein ne un se yahi baat kahi ke aap jo cheezen dunya mein insaan ko mil rahi hain, us ko personalize kijiye. apni zaat ko samjhiye ke mujhe sab mil raha hai. tab bara shukr aaye ga. oshiayank shukr, samandari shukr. to shukr jo hai, bohat hi. yaani alhamdu lillahi rabbil aalameen jo quran majeed mein hai.
25:28to mufassireen ne likha hai ke alhamd jo hai, us ki haqeeqat shukr hai. yaani sab se bara kalma, pehla kalma jo quran mein bataya gaya, woh shukr ka kalma hai. ke shukr ada karo. shukr ada karo. shukr jab kar paayen ge aap, jab aap khuda ki greatness ko, khuda ke yaani is baat ko ke woh blessing aap par barsa raha hai, inaam de raha hai, is sab ko daryaft karen.
26:01jaise quran mein aik aayat hai wa ma qadarullah haqq qadrehi wal arzu jamee'an qabzatuhu was samawaatu matliyaatun bi yameenih is ka matlab hai ke logon ne khuda ko underestimate kiya. haalankeh khuda woh hai ke qayamat ke din poora aasman us ke us ke dayen haath mein lipta hua hoga. poori zameen us ke haath mein hogi. is ka matlab yeh nahi hai ke dekhiye, maslan farz kijiye ke zameen hai ya aasman hai. to khuda bayen haath mein zameen le lega, dayen haath mein aasman le lega.
26:47yeh matlab nahi hai. yeh matlab hai ke khuda ki qudrat ko bataya gaya hai. yaani khuda ka jo takht iqtidaar hai, woh poori kainat ko wasee' hai. is ki jo hukumat hai, woh sab par haavi hai. woh jo control kar raha hai, us se aik zara ya aik galaxy koi cheez bahar nahi hai. yeh sab kuch khuda ke ikhtiyar mein hai. lekin kya hai? aaj hum us ko dekh nahi rahe. aik waqt aaye ga ke woh cheez bilkul saamne dikhai dene lage gi.
27:27ab yeh sab sochen aap to khuda ke saath ajeeb ghareeb ehsaas aap ko paida hoga. mein soch raha tha quran ki aik aayat ko le kar . quran ki aik aayat hai ke qayamat aur aakhirat ke baray mein innahu lahaqqun mithlu ma anlakum tattaqoona woh haq hai.
27:55woh hone wali hai. jis tareeqay se tum bolte ho. to nutq jo hai, bolna, yaani speech ko le kar yeh kaha gaya ke woh haq hai. is ka matlab kya hai? to mein sochta raha, aaj sochta raha, aaj sochta raha. to mein ne socha ke Allah taala ki jitni bhi sifat hain, woh sab sifat is dunya mein hum dekh rahe hain. matlab khuda ka khaliq hona. cheezen maujood hain to us ka khaliq hona hum dekh rahe hain. khuda ke raheem hona.
28:31cheezen mein meaning hai aur blessing hai to hum khuda ki rehmat ko dekh rahe hain. yaani khuda ki jitni sifat hain, woh sab manifest kar rahi hain is dunya mein. jaise unhon ne kaha ke khuda ka art jo hai, ek phool ko dekh kar maine socha ke khuda ka kitna bara art hai yeh. to khuda ki is sari sifat ko aap kainat mein observe kar rahe hain. lekin ek cheez abhi tak samne nahi aai. woh hai nutq, speech, bolna.
29:11nojawani ki umar mein jab mujhe talash ka jazba aaya to main dewana war paharon mein, jangalon mein jata tha. yeh kehta tha, khuda wanda kab aayde mein kab tak tere aane ka intezar karoon? to is ko sochte hue mujhe samajh aaya ke shayad main yeh keh raha tha ke khuda wanda to kab bolay ga? tere bol ke sunne ka main kab tak intezar karoon? kyun ke sari kainat mein khuda ke jalwe hain. lekin khuda ke bol nahi hain.
29:48khuda ke jalwe hain. nannave sifat jo quran majeed mein khuda ki mani jati hain, woh sab khud dekhi ja rahi hain charon taraf. yani khuda ka takhleeq karna, khuda ka parwarish karna, khuda ka rahim hona, khuda ka ek yani bohat hi beauty ko pasand karna, khuda ka aap ke liye rizq razzaq hona, yeh sab cheezein bilkul mubarrehan hain. dikhai de rahi hain. lekin kahin bol nahi. jo kisi ne kaha ke Allah ne sunata, awaz nahi aati. koi pahar bol nahi raha hai ke mujh ko paida karne wala khuda hai. koi samandar bol nahi raha hai. kisi galaxy se awaz nahi aati.
30:39yani ek ek gameh takhleeq hai. lekin ek cheez is mein hazf hai. woh hai speech, woh hai bol. to main ek tajruba mujhe yaad aaya. ek bar main ek conference mein gaya. wahan conference mein kai log thay. is mein ek admi baitha hua tha mez ke kinare. bari zabardast shaksiyat wala admi. yani ek giant shaksiyat, giant. sab se mukhtalif tha. lekin chup chap baitha hua tha.
31:14yeh ek waqia hai. to main sochta tha yeh kya admi, kya cheez hai yeh? yani matlab yeh woh but to nahi hai, koi statue to nahi hai. yeh to kya cheez hai yeh? chup chap baitha hua hai. ek waqt ek waqt aaya ke woh bola. jab woh bola to sare log sunne lage is ke bol ko. ke kaun hai yeh? aisi kainat intezar mein hai ke khuda bolay. jab khuda ki sari sifat zahir ho chuki hain,
31:51ek hi sifat baqi hai. nutq, speech to zaroori hai ke woh bhi zahir ho. to yeh jo ayat hai wa innahu lahaqun mithla ma anlakum tattaqun ka matlab hai ke nannave sifat khuda ki to aap dekh chuke. ek hi to baqi hai. jis din khuda bolay ga, wohi akhirat ka din hoga. kyun ke khuda jab bol de to test khatam. aap ghor kijiye. khuda jab bol de to test kis baat ka? test ko baqi rakhte hue, imtehan ki halat ko baqi rakhne ke liye khuda abhi bol nahi raha hai. jab khuda ke nazdeek count down ho raha hai, jab khuda ke nazdeek waqt aa jayega woh,
32:39to bas achaanak awaz aayegi khuda ki. la ta'tiqoo illa baqtan to woh jo ayat maine parhi hai, is ayat ke silsile mein ek hadith aati hai. yeh jo ayat hai ke wa ma qadarullah haqq qadrihi wal ardu jameean qabzatuhu was samawatu matliyatun biyameen ke sara khuda ke hath mein hoga.
33:12to is mein ek hadith aati hai ke khuda akhirat mein zameen o asman ko apne hath mein lega. aur kahega ya bolega ana al jabbarun ana al mutakabbirun ana muluk al ard kahan hain jabbar, kahan hain mutakabbir? kahan hain woh log bara jo bara bante the? jo khud hi khuda ban kar baith gaye the. mein hoon sab kuch. mein hoon qadir e mutlaq. mein mein hi sultan hoon.
33:50mein hi badshah e kainat hoon. to riwayat mein aata hai ke jab rasool Allah sal Allah alaihi wasallam yeh yeh keh rahe the mimbar par khare ho kar madine mein, to aap ladkhada gaye. sahaba kehte the, kehte hain ke aisa lagta tha ke aap gir padenge. jab aap ne kaha ke khuda qayamat mein apne hath mein le lega zameen o asman ko, bolega ana al jabbarun ana al mutakabbirun ana muluk al ard to aap is tarah ladkhada gaye jaise ke aap gir padein. yeh hai nutq. aap ghor kijiye is ko. ke is kainat mein khuda ki sari sifat ko aap tajruba kar rahe hain.
34:43sari sifat ko tajruba kar rahe hain. misal ke taur par mujhe pyas lagti hai. to khuda ki yeh sifat ke woh pani dene wala hai, pyas bharne wala hai. is ke liye samandar mein pani bhara hua hai, daryaon mein pani beh raha hai, chashmon mein pani rawan hai. is ko le kar mein pi leta hoon. to khuda ka razzaq hona maine dekha. kheton se ghalla ug rahe hain, bedon mein phal latak rahe hain. to khuda ke razzaq hone ko main dekh raha hoon.
35:19bator tajruba. meri aankh hai. aap jante hain ke aankh ho, roshni na ho to aap dekh nahi sakte. kuch bhi nahi dekhenge aap. roshni ko dekhne ke liye aankh ko dekhne ke liye roshni chahiye. ab mein aankh liye baitha hoon, muntazir raha hoon kaise dekhun. to khuda suraj nikal deta hai. khuda is bedr mein roshni de deta hai. jis ko hum bijli kehte hain. to main dekhne lagta hoon. to yahan maine daryaft kiya ke khuda jo hai roshni dene wala hai.
35:55Allah nooru samawati wal ard aise hi mere andar phephda hai, mujhe oxygen ki zaroorat hai. ab main kahan se oxygen laoon? to darakhton se oxygen ki supply shuru ho jati hai. yahan main tajruba karta hoon ke koi hai jo meri zarooraton ko janta hai. meri oxygen supply kar raha hai. aise mein bolta hoon. to agar beech mein hawa na ho to aap meri baat sunenge nahi. ab main sochta hoon ke main bolun to kaise sune doosra aadmi? to khuda hawaein bhej deta hai.
36:33ab maine bola aur aap ne suna. is tarah hum ne tajruba kiya ke Allah jo hai janta hai ke mujhe bolne ke liye, meri bol ko sunne ke liye hawa chahiye. yeh sari Allah ki jo sifat hain, is ka hum tajruba karte hain. yaqeen is se hamein yaqeen paida hota hai. khuda rab hai, khuda razzaq hai, khuda raheem hai, khuda moti hai. in sab ka tajruba hum karte hain. lekin ek cheez ka tajruba hum nahi kar paate. woh hai nutq, khuda ke bol.
37:13wohi wahi cheez jo hai abhi baqi hai. aur woh akhirat mein hogi. jab khuda ke hisab se din yani is dunya ke ka waqt aa jayega, aakhri. is waqt khuda bolegah. aur khuda ke bolte hi imtehan ki halat khatam. is ke baad jannat jahannum shuru. ek naya daur shuru ho jayega.
37:45toh dekhiye ek hai khuda ki daryaft, khuda ke wajood ki daryaft. doosri cheez yeh hai ke aap daryaft karte hain toh aap ko response dena. fitri baat hai ke aap response dein. isi response ka naam hai shukr. shukr. isi response ka naam hai shukr. phir dekhiye. aap jab dunya mein jeete hain, tajruba karte hain toh lagta hai ke mein toh powerless hoon, mein toh helpless hoon. mujhe koi chahiye jo jo meri madad kare. wahan par aap daryaft karte hain dua ki harkat ko.
38:30dua ko bator haqeeqat ka daryaft karte hain. is waqt aap jab ke aap helpless hote hain. jaise quran mein hai ke jab tumhari kashti samandar mein phans jati hai. is waqt tum khuda ko pukarte ho. amma yujeebul mustarri ila dawah wa yakshifus soo'a toh yeh yani woh auqat jab ke aap apne aap ko helpless feel karte hain. is waqt pukarte hain khuda ko. aur khuda aap ki madad karta hai.
39:12khuda aap ki madad karta hai. quran majeed mein ek ayat hai. surah baqarah mein. surah al baqarah. wa idha saalaka ibadi anni fa inni qareebun ujeebu dawatad daa'i idha da'ani fal yastajeebu li wal yu'minu bi la allohum yashhadoon jab mere bande tujh se sawal karein. is ka matlab nahi ke lafzon mein poochein. insaan sartaapa sawal hai. hum har har qadam par apne aap ko helpless feel karte hain. woh jo hum woh jab jab hamein tajruba hota hai toh hum sartaapa sawal ban jate hain. hum pukarne lagte hain. khuda mere helplessness ki talafi farma.
40:04is ka toh is ka compensation ban ja. jab bhi aap ne apne ease ko apne apne helplessness ko daryaft karte hain toh foran aap chahte hain koi ho jo is ko compensate kare. jo is ki talafi kare. isi ka naam hai dua. toh daryaft jab aayegi toh lazman shukr aa yega. jab shukr aayega toh lazman dua bhi aayegi. sab ek doosre se jude hue hain.
40:41ek martaba dule mein ek sahib ka inteqal ho gaya. mere janne wale the woh. toh woh sirf un ki biwi ka pehle inteqal ho chuka tha. ghar mein sirf un ka ek ladka aur ek ladki thi. dono abhi shadi nahi hui thi. dono naujawani ki umar mein the. toh ghar mein biwi pehle ja chuki thi. baap the un ka inteqal ho gaya. ab wohi do bachche ghar mein the. toh main wahan gaya. aur bhi kai log wahan aaye hue the. toh un ke ek sahib jo shayad dost honge aur rishtedar honge.
41:21unhone bachchon ko tasalli dete hue kaha tha. ke ghabrao mat mein dile mein hoon. aur mein mujhe apne baap ki jagah samjho. to woh lafz bolay thay. keh I am just a call away.
41:51I am just a call away . yeh angrezi mein aisa kaha jata hai. matlab aik telephone karo mein maujood hoon. I am just a call away. to wohi to ayat mein hai. ad'ooni astajib lakum pukaro mujhe to apne paas pao gay. WA IDHA SA ALAKA IBADI ANNI FA INNI QARIB UN UJEB DAWAT AD DA'I DHAA DA'N FAL YASTAJEEBOO LI WAL YUBNOO BI LA ALAMOO MIN SHUDOON
42:26to wohi to yeh hai. Khuda keh raha hai keh I am just a call away. mujhe pukaro aur tum mujhe apne paas pao gay. to yeh kitna bara kal aik sahib se bari baat ho rahi thi. unhein kuch problem paish aa raha tha. to mein ne kaha keh Khuda ki madad ko yaqeeni banane ke liye nuskhah kya hai? keh agar aap ne andar woh sifat paida kar lein to yaqeen kar lijiye keh Khuda ki madad lazman aye gi aap ko.
43:14woh kya hai woh madad? Qur'an mein hai keh WAL LAZEENA AMANOO ASHADDU HUBBAL LILLAH jo Allah par iman lanay walay hain woh Allah se shadeed mohabbat karte hain. mohabbat ka kya cheez hai? hub kya cheez hai? hub hai strong affection. hub ke liye behtareen lafz hai strong affection. to Khuda se aap ko strong affection ho jaye.
43:51jab strong affection ke sath aap Khuda se kuch mangen to Khuda par lazim ho jata hai keh woh poora kare is ko. mohabbat karne walay ko koi radd nahi kar sakta. aap apne family mein tajruba kar ke dekh lijiye. jo aadmi aap se mohabbat karta ho, jo bachah aap se mohabbat karta ho, us ke sawal ko aap radd nahi kar paate. radd nahi kar paate aap. to aap agar chahte hain keh aap yaqeeni banayein keh Khuda ki madad lazman aap ko aye gi to woh dua kijiye jo dua ke sath hub shamil ho.
44:36jaise mein ne aik qissah bataya tha is se pehlay aap logon ko keh aik bachah tha us ke baap school master thay. to bachay ko shauq tha bicycle ka. aur baap ki tankhwah kam thi. to bachay ne apne baap se kaha keh mujhe bicycle chahiye. to baap ne us ko nazar andaaz kar diya. taal diya. to bete ne kai bar kaha. to aik bar beta jo hai us ne kaha aur baap ne us ko jharak diya mujh se keh mujh se bicycle ke liye mat kehna.
45:22mere paas itna paisa nahi keh mein tum ko bicycle doon. to bete ne jo mohabbat ke sath bolte hain yani woh mohabbat walay andaaz mein beta apne baap se kaha us ne. aap ne yeh manzar dekha hoga keh aik beta jab mohabbat ke sath apni maan se apne baap se khitab karta hai to kaisa andaaz hota hai us ka. is mohabbat walay andaaz mein bete ne keh diya keh aap hi to hamare baap hain aap se na kahoon to kis se kahoon? aap hi to hamare baap hain aap se na kahein to kis se kahein? ab beta bhi ro pada aur baap bhi ro pada. donon rone lage. to baap ne kaha ke theek hai main tum ko kal tak bicycle ka intezaam kar doonga.
46:15aur kal unhon ne bicycle ka intezaam kar diya. to dekhiye dua jo hai jazb-e-mohabbat ka izhaar hai. yaad rakhiye. dua kya hai? announcement nahin hai ke aap ne loud speaker par cheekh diya aey logon yeh yeh karo. dua jazb-e-mohabbat ka izhaar hai. dua ka matlab yeh hai ke aap ko Khuda se strong affection hai. aap ko yaqeen hai ke Khuda hi meri baaton ko jaanta hai.
46:49aap ko yaqeen hai ke mera meri khwahishon ko poora karne wala sirf Khuda hi hai. aap ko yaqeen hai ke yahi to mera sab kuch hai kisi aur se main kyun jaon kehne ke liye? yaani Khuda hi to mera sab kuch hai to kisi aur se main kehne ke liye kyun jaon? yeh saari jo kaifiyat hain yeh sab jab milti hain aur dhalta hain kuch lafzon mein isi ka naam dua hota hai. yaani pehle aap ne Khuda ko daryaft kiya. sho'oori marifat haasil ki Khuda ki. phir Khuda ki jo boundaries hain is ko jaankar ke aap ko Khuda se bohat ziyada affection paida hua. isi mein jee rahe hain aap.
47:39Khuda ki azmat, Khuda ki glory, Khuda ki rehmat, Khuda ki blessing yeh sab aap ke mind mein chhai hui hai. is tarah ki ek zindagi aap guzaar rahe hain. phir aap ko ek masla pesh aata hai. aur phir aap isi isi saare jazbaat aur mohabbat ke sath pukaar uthte hain. to Khuda insani zabaan mein main kahunga ke Khuda is ka tahammul nahin kar sakta ke aap ki madad na kare.
48:15jaise pichhle Sunday class mein main ne ek qissa bataya tha aap ko Jaipur ke ka tajruba ke hamare kuch saathi wahan gaye the bohat saare bundle le kar. ab ek mauqa par woh woh kitabon ka bundle uth nahin raha tha. to hamare saathi ne ki zabaan se nikla Khudaaya hum tera bojh utha rahe hain to hamara bojh utha le. Khudaaya hum tera bojh utha rahe hain to hamara bojh utha le. yeh tha woh jazba jo bhara hua hai Khuda ke liye aap ke andar woh ubal pada kuch lafzon ki shakal mein.
49:00dua dekhiye yaad rakhiye koi rate hue alfaaz koi repeat karne ka naam nahin hai. kuch kitaab hoti hain main Hajj ke liye gaya to wahan dekha hua hai jitne haji hain sab kitaabein liye hue hain is mein duaon ko rat rat rahe hain. Jihad mein bhi rat rahe hain Makkah mein bhi rat rahe hain. woh samajhte the ke bhai yeh yeh dua likhi ji wahi hai isi ko rat lo munh se bol do to yeh dua hai. That's ridiculous yeh dua nahin hai. dua to ek shakhsiyat ki pukaar hai. ek shakhsiyat jo pehle bana chuke hain aap. ek personality jo pehle aap bana chuke hain aap. ke Khuda ko aap ne sho'oori taur par jaana.
49:49aap ki dil gehraiyon mein Khuda utar aaya. aap ke dil o dimaagh mein Khuda tairne laga. us ki rehmaton us ki blessing mein aap sharabor ho kar jeene lage. jab aap ne paani piya to us waqt aap ek samandar ka shukr aap ke andar aa gaya. waghera waghera yeh sab ehsasat mein ek shakhsiyat bani. ab phir us ko ek sawal ek masla saamne aaya. is waqt woh pukar utha
50:29khudaaya tu hi to mera khuda hai mein tere siwa kis se kahoon apni baat ko. is waqt khuda ki rehmat josh mein aati hai. tu is waqt insani zabaan mein mein kahoon ga ke khuda is ka tahammul nahi kar sakta ke apne bande ki madad na karay. phir in saari cheezon ke milnay ke baad jo cheez banti hai aakhir mein woh hai dawat. daai ek aisi shakhsiyat ka naam hai jis mein yeh sab cheezain jama ho gayee hoon. daai ko alag se koi announcement nahi hai jisay record baja diya aap ne to woh dawat ho gayi.
51:09dawat koi announcement nahi hai. dawat is insaan ka aakhri zahoor hai jis ka aaghaz hua daryaft se phir jo pohancha shukr o hamd tak phir woh duaon mein dhalta raha. phir woh is ne dekha ke insaan itnay saaray hain woh bhatkay hue hain un ki kharkhai ke tehat is ka andar ka jo samandar jazbaat ka samandar tha woh phat pada. that is dawat koi insaan jo is tarah se bana ho woh afford nahi kar sakta ke woh daai na banay. woh dawat ka kaam na karay.
51:57yaani dawat jo hai woh woh woh to phat kar nikalti hai. isi liye mein kaha karta hoon ke aap log khud program banana hai aap ko. aap ne har shakhs ko khud program banana hai. khud sochna hai. khud planning karna hai. kyun? mein woh woh shakhsiyat matloob hai jis ko kuch batane ki zaroorat na ho. jab woh shakhsiyat aap ke andar ban jaye. yaqeen wali shakhsiyat. shukr wali shakhsiyat. dua wali shakhsiyat.
52:34allah ko ki is ki tamam glory ke sath jaan lenay ki shakhsiyat. yeh jab ban jaye to is ke baad to bilkul fitrat ka taqaza hai ke aap daai ban kar insaanon ke darmiyan dorne lagain. to agar aap announcement karnay ko dawat jantay hon to aap ne dawat ko samjha nahi . agar aap yeh samajhtay hon ke koi koi central ek body hai wahan se direction aa rahi hai is ko le kar ke aap idhar udhar dawat pohancha rahay hon woh bhi dawat nahi hai. dawat yeh hai ke aap aap mein se har shakhs jo hai is ke andar ek ek moaj uthay. ek toofan bhar ke is ko woh afford na kar sakay ke woh daai ke liye daai ban kar na khara ho logon ke samnay.
53:35to aisa aadmi ko be intazar nahi rahay ga ke koi is ko program day. koi is ko direction day. woh sochay ga khud sochay ga. khud planning karay ga. khud woh logon mein pohanchay ga. aur saaray sathiyon ko khud ko maani hai nahi ke akeley akeley saaray sathiyon se kahay ga ke chalo chalo yahan hai hamara kaam. yeh hai imaan yeh hai islam. imaan aur islam koi koi rituals ka naam nahi hai.
54:20ek kisi scholar ko mein ne parha tha ek baar ke us ne kaha ke religion begins from from an ideology then after some generation it is reduced to a culture to a community culture to is ka naam islam nahi hai. woh to reduced form hai islam ka. islam to ek zinda ek ek living force ka naam hai. ek zinda shakhsiyat hota hai woh aadmi jis ke andar islam utar aaye.
55:02aik discovery hoti hai aik daryaft hoti hai. jis se aik shakhsiyat banti hai. phir woh shakhsiyat jab ban jaye to us se se shukr ublega dua ublegi. dawat ublegi. yeh dua jo hai dua kya hai is ke baray mein bukhari mein aik riwayat aati hai.
55:34to aam tor par kaha jata hai ke prayer is power logon ko dua is the only solution to bukhari mein aik riwayat aati hai ke teen aadmi pehle zamanay ke jo ummaten theen yani pichlay zamanay ke muslim to teen aadmi safar kar rahay thay jab aaj kal ki tarah sarkain waghera nahi hoti tab ki baat hai yeh to aik jagah raat ke waqt unhon ne aik khop pehle zamanay mein aap jantay hain ke hotel waghera bhi nahi hua karte thay to raat guzarne ke liye woh aik pahar ke khop mein thehray to raat ko kya hua ke landslide ho gaya aik pathar khisak aap jantay hain pathar khisakte rehte hain chatanen paharon par chatanen khisakti rehti hain to khisak ke jab neechay girti hain to usay kehte hain landslide
56:37to aik pathar khisak kar aa kar theek us khop ke us ghar ke munh par aa kar aisi aa gaya ab ghar ka munh is tarah band ho gaya ke woh log nikal nahi sakte thay ab paṛta tha bhari tha ke usay hata bhi nahi sakte thay aik dam bilkul band ho gaye woh aaj kal ki tarah un ke paas mobile nahi tha un ki jeeb mein mobile karein kahin bhai dekho mein farzi jagah phans raha hoon phans gaya hoon daurdo yeh bhi nahi tha is zamanay mein ab to yeh hai ke fefaur aap mobile uthate hain aur usay message dete hain to daur kar aadmi pahunchta hai wahan to behal woh phans gaye is mein to teeno ne socha ke kya karein ab to unhon ne kaha hamare paas ab koi cheez nahi hai siwaye dua ke to unhon ne kaha ke hamein dua karna hai apne kisi amal ke wastay se apne kisi amal ko refer kar ke teeno ne kaha ke apna apna koi amal talash karo jo sirf Allah ke liye tum ne kiya ho usay kar ke dua karo to teeno ne apne apne amal ko dua kiya misal ke tor par aik ne dua ki ke aik mere paas aik mazdoor aaya usay mein ne kaam kiya us ne din bhar mera to sham ka jo us ka wages tha woh liye baghair chala gaya woh us ka jo bhi do char rupay aaj jitna bhi raha ho to un ko us paisay se mein ne koi bheer bakri khareed li ab is mein itni barkat hui itni barkat hui ke mere ghar ke samnay jo maidan hai sab bheer bakri se bhar gaya
58:28bohat dinon ke baad phir woh aadmi aaya ke mein tumhare haan kaam kiya tha aur paisa nahi liya tha to us aadmi ne kaha ke yeh sara bheer bakri tumhare wapas aaya hai us ne mazak samjha ke nahi bhai mein to aik din kaam kiya tha aik din ki mazdoori mujhe de do ke isi tumhare mazdoori se mein ne koi bheer bakri khareedi isi ki barkat se itni sari ho gayi to yeh sara bheer bakri tumhari tumhare paisay se hai ja jaao sab utha le ga usay le kar jo dua kiya tha pathar khisak gaya hum aap ko Allah ko yaqeen ke sath janna hai Allah ka shukr karne wala banna hai dua karne wala banna hai aur dawat mein apne ko jhonk dena hai aqool qawli hadha wa astaghfirullah li wa lakum ajmaeen. aik kuch comment internet team se, daily internet team se, to hum woh parhna chahte hain.
59:49Few days back, we received a mail from YouStream, which is the website that we used to live telecast Maulana's Sunday classes, and the same is saved and uploaded for others to watch later. The mail which YouStream had written us said that we have exhausted the space allocated to us and that the videos would be deleted in the next two weeks. We were also trying for a long time to put Maulana's videos on YouTube as it is watched globally and is more popular and convenient for people. So after receiving the mail from YouStream, the internet team got worried and prayed desperately to God for help.
1:00:42Instantly, we thought to call our internet expert, Mr. Atul Mohan, and he guided us how we can download the videos from YouStream and upload the same on YouTube, which has more universal appeal and would also solve our problems of space forever. So now the process is on and the videos are being uploaded on YouTube, and God has really helped us in giving the solution. Like Maulana says, one should have an intention, and the help of God is ever near. This recent example clearly demonstrated to the CPS team that whenever we rise for the cause of God, He will send His angels to help and ease the task at hand.
1:01:35InshaAllah, we will now spread the videos through YouTube more effectively far and wide. naam parhayen. maulana, yeh daily internet team ne bheja hai. isko naam nahi hai. satti ne bheja hai, maulana. dekhen, yeh abhi jo maine kaha ke dua jo hai woh hamare liye yani problem solver hai. iski ek ek foran aap ke samne ek example aa gaya.
1:02:19khuda is pure kainat ko banane wala hai, isko control kar raha hai, isko manage kar raha hai. insani history ko khuda manage kar raha hai. har lamha. to har lamha hum is position mein is se contact karen. ab bhi khuda ki taraf se wahi awaz aayegi ke I am just a call away ke main ek ek. mere aur tumhare darmiyan phir ek dua ki dori hai bas. dua karo, hum us ko phone pao ge.
1:03:00yeh iski ek misal hai. to hamein dawat ka kaam jo hai is yaqeen ke sath karna hai ke koi bhi rukawat inshallah hamare liye fatal nahi banegi. har rukawat jo hai foran Allah taala farishton ke zariye is ko door kar dega. ghazwa e khandaq mein yeh hua tha ke barah hazar ka lashkar bohat hi tayyari ke sath aaya madine ke bahar aur wahan par woh kheme laga diye unhon ne.
1:03:48aur sahaba ne khandaq ko di trench to trench ke idhar sahaba the madine ki wasti mein idhar barah hazar ka lashkar khemon mein pada hua. do haftay tak ghaliban woh rahe woh log. ab is waqt jo sahaba ki position thi un se na to lad sakte the na un ko bhaga sakte the. sirf dua karte the. sab log bas dua karte the. to dua ka miracle kya hua? ek bohat zabardast ka toofan aaya. aadhi aadhi mein un ke kheme ukhar ukhar gaye.
1:04:31un ke oont bakri idhar udhar bhage. ajib afra tafri paida ho gayi. nateeja kya ke woh chhod kar muhasra chhod kar wapas chale gaye. yeh ek tareekhi waqea hai. main khud ek martaba jab main gaon mein rehta tha to raat mein railway train se utra ek bar hariha station par jis se hamara ghar taqreeban teen mil ke fasle par tha. mujhe paidal jana tha. raat ka waqt tha, andhera.
1:05:10main rawana hua to ek jagah khet the, yeh bhutte ke khet. woh door tak wahi the, bare bare hote hain, aap ne dekha hoga. isi mein gum ho gaya main. raat ka andhera, idhar jao to rasta nahi, idhar jao to rasta nahi. main socha kya karoon ab? to maine dua kiya. achaanak ek aadmi torch le kar wahan samne aa gaya. yani is raat ko koi ajib o ghareeb tor par ek aadmi aaya, lambi torch us ke hath mein thi. pehle zamanay mein torch hua karti thi, us pe cell lagte the.
1:05:49to us se maine poocha ke maine kaha ke mujhe falan jagah jana hai. to us ka direction bhool gaya hoon main, kidhar jaoon? to us ne torch dikha dikha kar mujhe wahan tak pohanchaya jahan se rasta jo hai saaf ho jata tha. abhi tak mujhe aankhon ke samne woh manzar bilkul hai. to behal dua hamari sab se bari taqat hai. dawat ka kaam hamein dua ke zariye karna hai. koi mukhalifat kare to uska haq feal hai. kisi mukhalifat ke peeche hamein nahi padna hai. Mukhalifat karta hai woh, woh uska haq feal hai woh . Hamein is ke liye bhi dua karna hai. Na to hamein kisi ke liye yani nafrat karna hai kisi se, na kisi se takrana hai.
1:06:40Bas dua karte hue aage badhte rehna hai. To is ki ek misaal hai ke kis tarah se raaste khulte hain dua ke zariye. To Khuda insani tareekh ko manage kar raha hai. To Allah taala ne manage kiya hua hai, aap dekh lijiye is ke. Isi yaqeen ke sath hamein dawat ka kaam karna hai. Maulana, agla sawal aaya hai Karachi Pakistan se Mr Abdul Latif ka.