1:12:07Maulana, agle sawal se pehle aik comment parhna chahein ge jo Mr. Shamsher Vict ne likha hai Australia se. unhon ne likha hai ke "I really enjoyed today's lecture." agla sawal Maulana hai Miss Naghma Siddiqui ka Delhi se . unhon ne poocha hai "How to be in feeling of. shukr on continuous basis? abhi hum is yani shukr kaise nahi karein ge hum har waqt? har waqt hamein mein to sochta hoon ke saans leta hoon aur aur aur oxygen mujhe inhale karta hoon, carbon exhale karta hoon. yani har second yeh waqia hota hai, har second.
1:12:50to kaisi ajeeb baat hai ke mere jism mein jo nizam hai, kharij mein is ke mutabiq nizam hai. yani mere carbon ko darakht le leta hai aur darakht is ke badle mujhe oxygen deta hai. to mein oxygen inhale karta hoon aur carbon exhale karta hoon. aur woh kitna zabardast exchange hota hai ke darakht mere carbon ko le leta hai aur mujhe oxygen supply karta hai. yeh har second aik aik yeh reminder hai, har har second ke liye aik reminder hai. to mein to aik aik aik second bhi aisa nahi hota ke mein shukr ke baghair rahoon. kyun ke har saans mujhe reminder hota hai mere liye, har saans. har saans reminder hota hai ke aye aye insan Khuda ka shukr kar.
1:13:40yani aap ghor kijiye ke agar aisa ho ke mere andar se jo carbon nikla woh darakht na le to har sa'at dunya rehne ke qabil na rahe. dunya mein carbon gas bhar jaye gi aur is dunya mein aap reh nahi paein ge. ya darakht agar oxygen supply na kare to hum kahan tak theli liye phirein ge oxygen ki? to dono halaton mein mar jayein ge. to har second yeh aik reminder hai insan ke liye ke aye insan Khuda ka shukr kar. yeh sirf soch ki baat hai, soch. agar sochein to aap har har second, har lamha, har har moment aap shukr mein jiyen ge.
1:14:26Maulana, agla sawal kya hai Tamil Nadu se Maulana Iqbal Umri ne