Principle for determining matters of faith
“How to know whether something is a matter of faith or not? What is the principle?”Asked by Maulana Iqbal Umari, Tamil Nadu
He answers at 1:14:26 in God and Man · 1 min 57 sec
1:14:26Maulana, agla sawal kya hai Tamil Nadu se Maulana Iqbal Umri ne . unhon ne poocha hai: "koi baat aqeeday ki hai ya nahi, is ko janne ka kya usool hai?" is ke baray mein batayein. dekhiye, aqeeday ki tamam baatein Quran mein mojood hain. Quran ke bahar agar koi aqeedah ijad karta hai to woh galat hai. yani koi bhi aisi baat jis ka aqeeday se talluq hai, jis ka talluq general jahannum se hai, woh lazman Quran mein mojood hai. koi agar yeh kahe ke Quran mein mojood nahi hai to woh jhoot bolta hai. to aap Quran parh li jiye. aqeeday ka mamla koi bhi aisa nahi hai jo Quran mein mojood na ho.
1:15:10to agar koi aisi baat bataye aqide ki, farz kijiye koi kahe ke taaj taaj mahal ko dekh lo to jannat pakki ho jayegi. to is se poochhein, quran mein kahan likha hua hai? koi kahe ke kutub minar par charh jao to to jannat ka ticket mil jayega tum ko? to poochhein, quran mein kahan likha hua hai? to koi bhi aisi baat jis ka talluq nijaat se hai, aqide se hai, wo lazman quran mein maujood hai. quran mein hai to theek hai, nahi to nahi.
1:15:46isi ko imam abu hanifa ne kaha tha ke "ituni ash-shay'a min kitabillah 'ataqu" ke quran se lao to mano, agar nahi manta mein. to koi bhi shakhs agar yeh daawa karta hai ke aqide ka mamla quran se bahar bhi kahin maujood hai to wo galat daawa karta hai. quran mein agar aqida hi na ho to phir quran mein hai kya? kya sirf tareekh hai is mein qomon ki? nahi, aqide ka koi bhi mamla aisa nahi hai jo quran mein maujood na ho. aur jo cheez quran mein maujood na ho, wo aqida bhi nahi hai. wo aqida bhi nahi hai.
1:16:23maulana, agla sawal dilli se hai mister hassan sharif ka. unhon ne likha hai: "There is an ayat in Quran, Chapter 16, Verse number 125, where it is said, 'Call to the God with hikmah.'" maulana, May I know the meaning and explanation of the word 'hikmah' h