Maulana Wahiduddin Khan

Can Quran be followed without Hadith?

“Some Muslims say that because the Hadith is very corrupted, therefore we do not accept Hadith, only the Quran which is free from doubt. My question is: Can the Quran be followed without accepting Hadith, and will such Muslims be considered followers of the Quran? Please clarify.”Asked by عبداللطیف, کراچی

He answers at 1:06:30 in Don't Be Angry Culture · 3 min 30 sec

His answer, in his own words
1:06:30
maulana, agla sawal karachi pakistan se aya hai mister abdul latif sahib ka. unhon ne likha hai: "baaz musalman kehte hain ke chounke hadith mein bohat gadbad hui hai, lehaza hum hadith ko nahi mante balke sirf quran ko mante hain jo shakk aur shubah se pak hai." maulana sahib, mera sawal yeh hai ke kya hadith ko na mante hue quran par amal kiya ja sakta hai? aur kya aise musalman quran par amal karne wale qarar payenge? wazahat farmayen. dekhiye, yeh baat galat hai ke hadith mein gadbad hui hai. gadbad to har cheez mein hoti hai lekin ulma is ko chhaadte hain, gadbad ko alag karte hain, sahi baat ko alag karte hain. gadbad kya hai? kuch gadbad nahi hai?
1:07:23
hadith par ulma ne jo kaam kiya hai woh bohat hi zyada aam hai. aur mozu, qisse, kahaniyan to har cheez mein shamil ho jati hain. har cheez mein. dunya ka koi waqea aisa nahi jis mein banawati qisse kahaniyan shamil na ho jayen. to ulma is ko alag karte hain, scholars jo hain is ko alag kar dete hain. jo asal baat hai us ko alag kar dete hain. to hadith par bohat kaam hua hai, bohat kaam hua hai, bohat kaam hua hai. aur muhaddiseen ne aur ulma ne aur aakhri zamane mein allama nasruddin albani ne is ko chhaant kar alag kar diya hai sab. sahi ahadees ko aur aur aur ghair sahi ahadees ko. barah juldon mein kitaben hain unhon ne: silsila al-ahadees al-sahihah, silsila al-ahadees al-daeefah.
1:08:15
to woh to tees saal ki mehnat ke baad unhon ne sara kaam kar diya. yeh baat galat hai ke hadith mein gadbad hui hai. kuch bhi gadbad nahi hui hai. ulma ne is ko chhaant kar alag kar diya baat cheezon ko. yeh sahi nahi hai. aur jo aadmi yeh kahe ke main hadith ko nahi manta, quran ko manta hoon, woh islam se is ka koi talluq nahi. is mein shakk nahi ke woh islam se is ka koi talluq nahi. islam naam hai, quran sunnat dono ka. aap ke do bete hon, aap kahein is bete ko manta hoon, is ko nahi manta. to mera bi
1:08:49
ta nahi to aap ki family mein aap ka hal hoga. to jab khud quran se sabit hai ke momin ko quran ki baat bhi manna hai, rasool Allah ki sunnat bhi manna hai. ati Allah wa ati al-rasool, yeh saaf saaf hai. to kaise aap ek ko man kar ek chhodenge? chhodenge ek ko? quran mein yeh bhi hai ke: "qul in kuntum tuhibbun Allah fa-tabi'uni Allah". yani yani hub e ilahi ka meyar bataiye ke tum rasool Allah ki itaat karo. to is mein koi shakk nahi ke hadith ko bhi manna hai, quran ko bhi manna hai.
1:09:30
aur gadbad ka jo nazariya hai, bilkul galat hai. yeh koi gadbad nahi hai. mujh e to ahadees se itna iman milta hai ke main bayan nahi kar sakta. ahadees ko padhta hoon aur padh padh kar ke ajeeb ek ek inspiration milta hai aur sachai ki daryaft hoti hai. pata nahi woh kaun log hain jo hadith mein gadbad dekhte hain. behal yeh nazariya bilkul batil nazariya hai. main main is ko nahi manta. maulana, agla sawal aya hai tamil nadu se maulana iqbal umri sahib ka. unhon ne likha hai: "musalman dawat ka kyun kam tar andaza karte hain?
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.