1:10:01maulana, agla sawal aya hai tamil nadu se maulana iqbal umri sahib ka. unhon ne likha hai: "musalman dawat ka kyun kam tar andaza karte hain? iski kya waja hai?" main to samajhta hoon ke wahi waja hai jo maine kaha, ghussa. is waqt musalman jo hain sab ghusse mein hain. ghussa ka matlab yeh hai ke har ek ko dushman samjhe hue hain. ke israel hamara dushman hai, america hamara dushman hai. woh hamare khilaf sazish kar rahe hain.
1:10:41woh hum ko neecha dikhana chahte hain. yani yeh chhaya hua hai dimaghon par. is ki waja se dawat ka kaam un ko samajh mein nahi ata. aur goli aur bam zyada samajh mein ata hai. to asal raaz jo hai, main samajhta hoon ke kuch waqiaat se ghussa ho kar ke jo musalmanon mein manfi soch aa gayi, woh record ban gayi dawat ki ahmiyat ko samajhne mein. ab main mislan mujhe koi kisi ke paas, main kisi se nafrat nahi karta. mujhe kisi se nafrat nahi hai. na Israel se, na America se, na na na Hindu se, na falan se, na falan se, kisi se.
1:11:31sab ko main insaan samajhta hoon. to main samajhta hoon ke dawat se bada koi kaam nahi hai. to jar mein jo hai, jar mein woh manfi soch hai. manfi soch. ke musalman, musalman is daur mein pichhad gaye to samajhte hain ke doosra un ko pichha kiya hua hai. apni ghalti apne upar nahi dhalte. quran mein to hai ke har aadmi apne kiye ko bhagta hai. apne kiye ko. saaf saaf likha hua hai ke aadmi apne kiye ko bhagta hai. kisi ki saazish se, kisi ki dushmani se koi nuksan nahi hota is ka.
1:12:10lekin musalmanon ne, musalman matlab un ke un ke rehnamaon ne yeh ghalt zehan dala. sab se bura role mere khayal se rehnamaon ka hua hai is zamane mein. jitne rehnama uthe, sab rad-e-amal, rad-e-amal mein uthe. mujhe ek bhi rehnama nahi maloom is daur ka, is do sau saal ke andar, jo rad-e-amal ke mein na utha ho. sab rad-e-amal, rad-e-amal, rad-e-amal. to rad-e-amal se kya hota hai? negative thinking aati hai. phir kya hai? tashaddud aata hai. aur sari cheezein aati rehti hain isi mein.
1:12:44aur phir jab yeh sab hoga to zahir hai ke dawat Allah ki koi ahmiyat nazar nahi aayegi aap ko. mujhe ek waqia yaad aata hai ke main ek martaba Mewat mein tha. to Mewat mein ek ek band ban raha tha. is mein bohat se Mewati bator mazdoor kaam kar rahe the. woh musalman the sab, sab ke sab. to do group the, kisi wajah se jhagda ho gaya. aur jhagda hua to laathiyan uth uth gayeen. to main gaya, ek daadhi wale musalman the, is mein Mewati.
1:13:27un se main ne kaha ke dekhiye sahib, yeh aap yeh bhi musalman, wohi musalman, aap log yani ladna chahte hain aur laathiyan chalana chahte hain, yeh to Islam mein jaiz nahi hai. aapas ki ladai Islam mein jaiz nahi hai. to kuch quran o hadith maine sunaya. to woh daadhi wale kya kehte hain? chalo molvi, is waqt hum ko quran mein sunao. is waqt hum ko inteqaam lena hai. to jab inteqaam ki nafrat, jab nafrat aa jaye, inteqaam aa jaye to quran o hadith ko le ke koi sochta nahi hai. phir phir apne apne is mein sochta hai, apne manfi jazbati is ke liye wahid run ban jaate hain.
1:14:11yeh sab kis ne kiya hai? aam musalmanon ne nahi, yeh rehnamaon ne kiya hai. rehnamaon ne musalmanon ko yeh sab suna suna kar ke, yeh dushman hai, woh dushman hai, woh dushman hai, woh d ushman hai, yeh sab khabrein dein in rehnamaon ne musalmanon ko. to sari zimmedari rehnamaon ki hai. is do sau saal mein jo rehnama uthe, unhone na manfi boli bol bol kar ke musalmanon ko manfi bana diya. is ki wajah se dawat un ke zehan se is ki ahmiyat nikal gayi. Maulana, agla sawal lene se pehle ek comment padhna chahte hain jo aaya hai.