1:15:17Thank you, Maulana sahib, for your generous service to the society." Maulana, agla sawal lete hain jo aaya hai Chennai se Maulana Israr ul Hassan sahib ka. unhone likha hai: "Maulana, kya tauba ka darwaza kisi ke liye hum band kar sakte hain?" yeh to sochana bhi kufr hai ke hum band kar sakte hain. y yani khuda ke domain mein dakhil hona hai. yeh kaise koi himmat karta hai yeh kehne ki?
1:15:50tauba ka darwaza kholna aur band karna dono Allah ke ikhtiyar mein hai. hamare ikhtiyar mein nahi hai. aaj kal ke log bohat aasani se dakhil ho jate hain khuda ke domain mein. misalan fatwa dete hain, takfeer ka fatwa. main adiq ke khuda ke domain mein dakhil hona hai. aap ko haq nahi hai takfeer ka fatwa dene ka. yeh kafir hai, yeh munafiq hai, yeh fasiq hai, yeh dushman hai. aap ko kya haq hai kehne ka? yaad rakhiye, yeh sab khuda ke domain mein dakhil hona hai. aap ke haq, aap ko kya karna hai? dawat, naseehat, talqeen, waaz. bas. nahi to dua.
1:16:34yani dawat aur naseehat ke baad agar aap samajhte hain kuch aur karna to woh dua kijiye. baqi fatwe dena, ladna bhidna aur statement jari karna, yeh sab khuda ke domain mein dakhil hona hai. jis ki ijazat kisi ko nahi hai. paighambar ko bhi nahi hai ke khuda ke domain mein dakhil ho jaye woh. aur doosre logon ko kaise ho sakti hai? maulana, agla sawal aya hai miss saira latif ka karachi pakistan se. unhon ne likha hai: "aksar muslim khawateen is baat par bohat ziyada zor deti hain ke islam mein aurat ko sirf aankhein khuli rakhne ki ijazat hai.