How should Muslims react to Rushdie controversy?
“How should a common Muslim react to controversies such as Salman Rushdie's participation in the Jaipur Literature Festival?”Asked by Muhammad Israr, Kashmir
He answers at 1:24:17 in God and Man · 1 min 52 sec
1:24:17jazakumullah. Maulana, agla sawal hai Mr. Muhammad Israr ka Kashmir se. unhon ne likha hai: "How should a common Muslim react to the controversies like of recently Salman Rushdie's participation in Jaipur Literature Festival, etc.?" yeh koi sawal hi nahin hai. seedhi si baat yeh hai ke ya to dawat dijiye, ya chup rahiye. ladna padna, agitation karna, yeh to koi kaam hi nahin. main to is ko haram samajhta hoon. Agitation jo hai, agarche aaj kal ke nare mein jaiz hai, lekin main is ko jaiz nahin samajhta. dawat ki shariyat mein jaiz nahin.
1:25:03is tarah ke mamlaat mein sirf do hi hain aap ke liye. ya to is ke bare mein aap ek kitaab likhiye, is ke statement ke bare mein aap ek statement dijiye. is ko daleel se radd kijiye. nahin kuch kar sakte aap to chup baith kar dua kijiye. yaani ya to daleel se jawab ya dua. bas do hi option hain, teesra koi option nahin. teesra jo option hai, woh mere dekh jaiz hi nahin hai. woh gunah mein izafa karte hain aadmi ke. yaani ya to aadmi ne ek ek bayan diya hai, aap bhi bayan de dijiye.
1:25:40kitaab likhi hai, aap ne bhi ek kitaab likh dijiye. kitaab ka jawab kitaab. alfaaz ka jawab alfaaz. taqreer ka jawab taqreer. lekin daleel ke sath. agar aap ke bas mein nahin hai to ghar mein baith kar dua kijiye. masjid jayen, do rak'at namaz parh kar dua kijiye. bas. aur koi bhi kaam jo kiya jaye ga is silsile mein, woh bilashuba aadmi gunah mein izafa kare ga. is mein koi shaq nahin hai. Maulana, agla sawal hai Mr. Sajid Anwar ka Roorkee se. unhon ne likha hai: "Molana, whenever I have a hesitation to avail a dawah opportunity, a second thought comes to my mind