Maulana Wahiduddin Khan

Significance of honorifics for prophets and companions

“What is the religious significance of using honorifics like 'alayhi al-salam' and 'radi Allahu anhu' for prophets and companions? Many people object that you don't use them.”Asked by یونس الدین, بدر کرناٹکا

He answers at 1:08:57 in Age Of Consumerism I · 3 min 8 sec

His answer, in his own words
1:08:57
Maulana, agla sawal bidar karnataka se hai, yunusuddin sahib ka. unhone likha hai: "Maulana, aksar log aap ki tehreer par yeh aitraaz karte hain ke aap anbiya aur sahaba par alaihis salam ya rzi Allahu anhu nahi lagate.". Maulana, mera sawal yeh hai ke un ki deeni aitbaar se kya ahmiyat hai ya nahi hai? kuch bhi nahi hai. aap sahaba ki jo kitabein hain, us ko padhiye. yeh sab jhoote aitraazaat hain, jhoote, jhoote se kam bewafz nahi hai. sahaba ke bare mein bahut si kitabein maujood hain, un ko padhiye.
1:09:43
aap is qism ka aaj kal masnooi culture bana hua hai, aaj kal masnooi culture, banawati culture. aage peeche lagayenge alqab, woh aisa nahi kehte the. misalan, mein aap ko ek waqia bataoon: rasool Allah salallahu alaihi wasallam ki wafat hui, yaani poora mission poora kar ke aap ki wafat hui, aap ki madine mein. to uss waqt wahan par kai log aise the jin ko ke bahut pareshani hui ke rasool Allah nahi rahe dunya mein, ab kya hoga? bahut pareshan the. to jo sab se zyada senior, most aadmi the, woh the abubakar siddiq. woh aaye, woh uss waqt madine se bahar the.
1:10:27
jab khabar suni to aaye to rasool Allah ki jo yaani jism tha, jo body tha aap ka, us par chadar logon ne phaila diya tha. to unhone chadar uthai, aap ke chehre ko dekha aur kaha: "man kaan ya Muhammad faan Muhammad qadmat, wa man kaana ya abdullah fa inna allah hayy la yubd" ye nahi ke muhammad ke saath aage peeche bohat se lafz lagaye, woh bas saada tor par kaha unho ne: "man kaana ya muhammad fa inna muhammad qadamat".
1:11:06
wahan aate the log, ya muhammad, ye sab bolte the. dekhiye, islam jo hai, nature par base karta hai. ye banawati culture jo bataiye, zawal ke daur, ye ye musalman is zamane mein zawal ke daur mein hai, zawal girawat ke daur mein hai. tab ye sab banawati baatein bohat badh gayi hain. jab ummat zinda thi, tab ye sab culture hi chalta tha, banawati culture. toh main ye kahunga ke aaj kal ki jo zawal yafata log hain, unko le kar mat rai qaim kijiye, aap sahaba ko le kar rai qaim kijiye.
1:11:42
sahaba ki zuban kya hoti thi? aap sahaba ke bare mein kitabein padhiye, is mein aap khud hi jawab pa lenge ke wahan ye sab banawati zuban chalti nahi thi. wahan par toh main toh sahaba ke ke ko model samajhta hoon, aaj kal logon ko model nahi samajhta. main aaj kal ke log kya karte hain, woh mere model nahi hain. mere liye sahaba mere model hain. toh aap pehle sahaba wali kitabein padhiye, phir ye sawal kijiye. ah, maulana, agla sawal tamil nadu se hai, maulana iqbal umri ka.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.