Hazrat Ali's incident with polytheist
“Maulana, I read an incident about Hazrat Ali. In a battle, when Hazrat Ali overpowered a polytheist, the polytheist spat on Ali's face. Then Hazrat Ali said something and let him go instead of killing him. When asked, he said that if I killed him after he spat...”Asked by عبدالباسط, دوحہ، قطر
He answers at 1:24:50 in Art of Crisis Management I 3 October, 2010 · 3 min 32 sec
1:24:50Maulana, yeh sawal kiya hai Maulana Abdul Basit ne Doha, Qatar se. Unhon ne likha hai: "Maulana Hazrat Ali ka ek waqia maine padha tha ke kisi jang mein jab Hazrat Ali ne ek mushrik par qaboo paaya toh us ne Ali ke munh par thook diya. Toh Hazrat Ali ne aise mauqe par ek baat kahi aur use qatl karne ki bajaye chhod diya. Poocha gaya toh bataya ke main agar us ke thookne ke baad qatl karta toh woh Khuda ki raah mein na hota, balke mera jazbati amal hota." Maulana, is mein jazbaat ko aur imaan ko alag kiya gaya hai, magar aaj jazbaat hi ko Islam ki nishani samjha ja raha hai.
1:25:40Aisa kyun hai? Bhai, aisa kyun hai? Yeh dekhein, Musalman daur-e-zawaal mein hain, degeneration un ka ho chuka hai. Yeh toh Quran Hadees se saabit hai ke Musalmanon ka ek zamana aayega ke jab koi degeneration ho jayega. "Lam yabqa al-Islam fi al-ard illa ismuhu". Islam ka sirf naam baqi reh jayega,
1:26:07yahan tak ke masjidon mein namazi honge lekin hidayat nahi hogi. Un mein "masajid aamirah". Yeh masjidain namaz se bhari hongi lekin hidayat se khali hongi. Yeh toh, yeh toh hone wala tha, aur yeh toh law of degeneration jo hai, sab ke liye hota hai, koi is Musalmanon ke liye nahi. Ibn Khaldun ne likha hai ke "lil-quwam a'maar kama lil-afraad a'maar". Jis tarah se afraad jo hain jawan hote hain, phir boodhe ho jaate hain, aisi quwamein bhi jawan hoti hain, boodhi hoti hain. Matlab un ka degeneration hota hai.
1:26:45Toh Musalman aaj kal degenerated lot hain. Main toh in ko maanta hoon, main in ko degeneration ke aakhri hadd par samajhta hoon. In logon ko Quran o Hadees in ka ek business hai, bas us ki spirit kahin maujood nahi hai. Jis maamle mein dekhiye, jis maamle mein dekhiye, woh Quran o Hadees hate hue hain. Woh toh daur-e-zawaal mein hain, yeh aur aur zawaal toh har qaum ko aata hai. Zawaal, daur-e-zawaal jo hai, aisa nahi ke Musalman exception hain.
1:27:19Yeh Isaaiyon ko zawaal aaya, mazhabi mazhabi zawaal, yehudiyon ko mazhabi zawaal aaya, toh Musalmanon ko mazhabi zawaal aayega. Toh ab hamein jo karna hai, woh hai ke phir se, phir se logon ko samjhayein, phir se logon ke zehni taameer karein. Jis ko main kehta hoon "re-engineering of mind".
1:27:49Jo existing situation hai Musalmanon ki, woh toh yahi hai. Lekin hamesha aisa hota hai ke aap un ko samjha bujha kar ke ek naya insaan bana sakte hain. Jaise maine bataya ke aaj mere paas jo telephone aaya ke woh aadmi ne kaha ke main sab se nafrat karta tha, meri kitabein padhte padhte ab sab ka woh khairkhwah ban gaya, sab ko insaan samajhne laga. Toh logon ke zehan ko badliye, logon ke soch ko badliye. Yahan se yeh hai "the starting point". Maulana, yeh sawal kiya hai Mr. Khwaja Kaleemuddin ne Pennsylvania, USA se. Unhon ne likha hai: "Maulana sahib, I would like to share with you a similar ennui attitude of Muslims here in the USA.