1:49:04maulana, yeh sawal kiya hai mister muhammad tauqeer alam ne muzaffarpur se. unhon ne poocha hai: "what is the meaning of masjid?" is ke baray mein batayen. dekhen, masjid ke literal meaning to hai sajda karne ki jagah ya ibadat karne ki jagah. jahan namaz parhi jaye, wo masjid hai aur namaz to sari zameen par parhi ja sakti hai. ek lehaz se sari masjid, sari zameen hi masjid hai. aur jo masjid banayi jati hai, us ke baray mein hadith mein aata hai ke "al masajid buyoot al mutaqeen" masjiden muttaqeen ka ghar hain, yaani Allah se darne walon ka ghar hain.
1:49:55"al masajid buyoot al mutaqeen" aaj kal kya hai? aaj kal yeh ho gaya "al masajid buyoot al siyaseen". aaj kal yeh ho gaya har jagah, india mein bhi aur dunya mein bhi, pakistan mein har jagah "al masajid buyoot al siyaseen" yaani siyasat pasand log, siyasi leader logon ka markaz ban gaya hai. wo takheerain karen ge jazbat ke andaaz ke, logon ko bharkayen ge. yeh to is is ka misuse hai, yaani mazhab ko, yeh masjid ka misuse hai. "almasajid buyoot almuttaqeen" yani masjid ke andar kya hai? akhirat ki baat ho, jannat jahannum ki baat ho, accountability ki baat ho aur insaniyat ki baat ho, dawat ki baat ho.
1:50:40baqi yeh jo siyasat ki baatein hoti hain masjidon mein, yeh toh masjid ka misuse hai. maulana, yeh sawal miss mehrin ne kiya hai dilli se. unhone likha hai: "islam chaar paanch firqon mein kaise bat gaya jabke prophet of islam ki wafat ke baad sahaba prophet ke bataye hue raaste par chalte aaye?