59:47molana, yeh sawal kiya hai miss nuzhat bano ne, mau, madhya pradesh se. likha hai ke hadith mein zikr hai ke do kalme Allah ko bohat mehboob hain, woh zaban par halke hain aur wazan mein bhari. molana, woh chahti hain ke is ke bare mein aap detail se explain karein. haan, bukhari ki riwayat hai yeh ke kalmatan khafeefatan hain. nahi, kalmatan hain, woh habibatan. kalmatan habibatan hain. kya hai?
1:00:26kalmatan habibatan lir rehman kalmatan habibatan ur rehman. khafeefatan alal lisan alal lisan. thaqilatan fil mizan thaqilatan fil mizan subhan Allah wa bihamdihi, subhan Allah al azeem. to yeh yeh kalma ki baat nahi hai, kalma jo baat hai, woh asal cheez hai. subhan Allah wa bihamdihi, subhan Allah al azeem yani is mein Allah ki azmat hai, Allah ki glory hai,
1:01:08woh bayan ki gayi hai. to matlab halka is sirmay ke is mein ne talwar chalani hai, na gun chalani hai, na suicide bombing karni hai, na jaan deni hai, na apne ko qurban karna hai, yeh sab kuch bhi nahi hai. lekin is ka matlab yeh nahi ke yeh bas zaban se bol do aur woh mizan par thaqeel mizan mein bhari ho jaye. aap bohat bara darja mil jaye
1:01:43, aisa nahi hai. matlab is ka hai, is ke peeche ek bohat bari ek aur qurbani darkar hai, woh intellectual qurbani. yani yeh yeh ek qurbani kam nahi hai. ek hai physical qurbani, ek hai intellectual qurbani. yani Khuda ki daryaft, Khuda ki azmaton ki daryaft, Khuda ki glory ki daryaft. to jab aap is mein kya karna parta hai, tamam cheezon ko door karna parta hai, har distraction se bachana parta hai, apne aap ko har doosre concern ko dimagh se nikalna parta hai, apne aap ko dedicate karna parta hai Allah ke mission mein. yeh ek bohat bara, yani mein ek bohat bari qurbani, is se bhi bari qurbani deni parti hai.
1:02:42yani aap maidan e jang mein talwar chali aur aap gardan kat gayi, ek minute mein khatma ho gaya. yahan to barson barson apne aap ko isi mein dena parta hai. chunanche dekhiye, phir zibah azeem ka lafz aya hai Hazrat Ismail ke liye. zibah azeem, agar aap is mani mein lein to zibah azeem kahan thi? woh gardan to katti nahi hai un ki, lekin woh sehra mein rehna, woh woh gardan katne se bhi zyada sakht is mein mamla tha.
1:03:15woh is se zyada, yani qurbani is mein deni deni thi. to ek insan jo Allah ki azmaton par ghaur kare, us ke liye apne aap ko dedicate kare, ek sui hasil kare, apni zarooraton mein kami kare. zarooraton mein kami karni parti hai, khane mein, peene mein, tafreeh mein kami karni parti hai. apne ko distraction se bachaye, soche, soche, soche, Allah ko yaad kare, Allah ki duaen kare, tab ja kar hi woh daryaft hota hai. yaani Allah ki azmaten ko woh daryaft ke darje mein pata hai, tab woh nikal padta hai is zaban se yeh alfaaz:
1:04:07Subhan Allah wa bihamdihi, Subhan Allah al-Azeem. yeh kalma ki baat nahi, yeh ek daryaft ki baat hai. ek daryaft ki baat hai, jaise Yunan ka jo falsafi tha, Archimedes, jo use kaha tha: Eureka, Eureka. to kehne ke liye woh do lafz tha sirf, lekin us ke peeche us ki poori zindagi thi. poori zindagi us ki thi. to yeh jo kalma hai, yeh ek ek azeem daryaft ke baad nikla hua qaul hai, bahut bada qaul.
1:04:52jaise ek lady aai Europe se pehli baar Taj Mahal ko dekhne ke liye, jab wahan pahunchi woh to us ki zaban se ek hi lafz nikla: Wonder, Wonder. to wonder jo tha, bajaye to ek lafz tha, woh nahi. us ke us ke andar us ka ek bhonchal chupa hua tha. Taj Mahal ko dekh kar us ke andar ek bhonchal aaya, ek bhonchal. woh bhonchal ek lafz mein dhal gaya. to is tareeqe se jo aadmi tafakkur kare, tazakkur kare, tasawwum kare, tadabbur kare, to hote hote hote woh woh is waqt is baat ko daryaft karta hai jo us jo us lafz mein kahi gayi hai.
1:05:45woh ek haqeeqat hai jo is lafz mein kahi gayi hai: Subhan Allah wa bihamdihi, Subhan Allah al-Azeem. yeh ek ek haqeeqat ka bayan hai. to jab is haqeeqat ko daryaft karta hai to in alfaaz mein us ko ada karta hai, kyunke alfaaz ke siwa hamare paas us ko ada karne ke liye koi aur shakal nahi hai. to bilashuba woh bahut badi cheez hai, Allah taala ka uska bahut darja hai. is is ka to khulasa yeh hai ke yeh do kalma ki baat nahi hai.
1:06:17yeh azeez daryaft ke baad jo bhonchal aata hai, is bhonchal ke tehat zaban se jo ada hota hai, woh woh cheez hai. yeh Maulana, agla sawal kya hai? Ms. Sati Mitra ne Delhi se, unhone poocha hai ke What can we do to bring back Ijtihad in Islam?