Muslims in Pakistan and Allah's Help
“Reference to today's lecture, how Muslims in Pakistan would know where they made mistake and they are not receiving Allah's help? Tell about this.”Asked by عبدالرحمن
He answers at 1:15:10 in Dars-e-Quran, Hadith-e-Jibril · 10 min 1 sec
1:15:10ne wahin isi group mein abdul rehman sahib ne ek sawal bheja hai unhon ne likha hai ke reference to today's lecture how Muslims in Pakistan would know where they made mistake and they are not receiving allah help is ke bare mein bataein aaj mein waqea yeh hai ke isi baat par soch raha tha
1:15:40meri paidaish up mein hui ek gaon mein hamare gaon ke mili hui ek sadak hoti thi jo shahganj se adampur tak jati thi
1:15:55to kai bar maine dekha ke muslim naujawan group bana kar road par chal rahe the un ke hath mein banner hota tha banner aur woh
1:16:11yeh baat kehte the ke yeh waqt ki baat hai jab ke Pakistan ki tehreek chal rahi thi 1947 se pehle ki baat to aap ko pata hoga ke jab Pakistan ki tehreek chal rahi thi to all India tehreek thi woh yani woh tehreek sirf Pakistan mein nahi thi all India thi har jagah to woh naujawan aawaz dete the Pakistan ka matlab kya la ilaha illallah pakistan ka matlab kya la ilaha illallah
1:16:54to aaj mein yahi soch raha tha ke india ke musalmanon ne khas taur par pakistan ke musalmanon ne in alfaaz ke sath goya allah se wada kiya tha ke khuda ya tu hamein pakistan de aur hum la ilaha illallah ko sare dunya mein phaila dein allah ne hamein aur aap ko is tarah
1:17:20hamein yahi sare wasail ko istemal kar ke allah ke kalam ko quran ko har zaban mein tarjuma kar ke phaila dein yahi keh rahe the goya kyunke la ilaha illallah to kalma quran hai lekin
1:17:37aap dekhiye Pakistan banne ke baad kya hua log aapas mein ladne lage aapas mein ladne lage jaise ke kisi ne hijack kar liya cricket cricket mein aik term hai sledging ap mujh se zyada jante hain ke jab do team khel rahi ho aur ek team acchi performance dikha rahi ho
1:18:12to doosri team is ko kuch aisi baat kahe gi ke wo is ka tempo khatm ho jaye ek bari zabardast tempo ke sath wo khel rahe hain wo jeetne wale hain to haarne wali team kuch aisi baat kahe gi provoke karne wali un ko
1:18:35ke un ka tempo khatm ho jaye wo haar jayen is ko kehte hain sledging to pakistan ke baad yahi hua kuch aur taqaten
1:18:49ubhren jinho ne is tempo ko highjack kar liya jo tempo ubhra tha pakistan ka matlab ke la ilaha illallah ek tempo to kuch taqaton ne is ko highjack is tarah kiya ke shikayat ki baaten bohat zyada phaila deen hum mazloom hain bohat zyada phaila diya bas ladaai bhadaai shuru ho gayi jis ko dekhiye bas hum
1:19:13mazloom hain hamare sath bura sulook hua hai hamare sath haq talfi hui hai is tarah se kuch taqaton ne ek political sledging ki aur is tempo ko high jack kar liya aur pakistan ke log is ka shikar ho gaye
1:19:39is unho ne hijackers ke fareb mein aa gaye yani pakistan ke tempo ko unho ne highjack kiya aur khud pakistan ke log is ka shikar ho gaye lage hue hain koi is kaam karne ka
1:19:56mujhe ek waqia yaad ata hai ek banda mein gaya tha iraq to iraq mein ek pakistani shia aaye the ziyarat ke liye wo senior the wo pakistani shia to un se mein ne poocha acha woh dilli se gaye thay pakistan dilli se
1:20:22migrate kar ke pakistan banne ke baad to mein ne un se poocha ke aap ne pakistan banne se pehle bhi dekha hai aur pakistan banne ke baad bhi dekha hai is mulk ko aap ka kya
1:20:38tajurba hai to woh rone lage woh buzurg jo thay rone lage ro kar unhon ne kaha ab tak mujhe yaad hai ke haal kya pehle hum log hindu musalman ka naam pe ladte thay ab hum ladte hain shia
1:21:00sunni shia ke naam par pehlay hindu muslim jhagray thay ab shia sunni jhagray hain woh mujhe yaad aya to ek waqia hai ke 1947 se pehle pure muslim mein ek tempo aaya tha tempo pakistan ka matlab kya la ilaha illallah to la ilaha illallah ek paigham hai ek kalma toheed ka is naam par logon ka to ek tempo paida hua tha ke hamein la ilaha ko sari dunya mein phailana hai aisa lagta tha ke wo waqia ho jayega ke
1:21:42wallah laib laghnad ar rab ma balagh laib an nahar laib laib laghnad ar rab ma balagh laib an nahar to lagta tha ke yeh tempo la ilah ke naam par aya hai jo rasool Allah ne wahan par rasool Allah ne ka tareeqa tha makkah mein
1:22:06qoolo la ilah ill Allah taflou aap wahan par majmay majamay mein jatay thay aur kehtay thay ayaha nas qoolo la ilah ill Allah taflou to aisa lagta tha ke woh kaam to hua tha makkah mein ab jo ummat muslema ke andar tempo paida hua hai la ilah ka to sari
1:22:28duniya mein woh phail jayen ge aur kahain ge duniya se aye logon toheed ka rasta pakro aye logon quran ko parho lekin aisa lagta hai ke koi shaitan kood pada aur us ne hijack kar liya is tempe ko
1:22:50aur woh tempo an awail reh gaya woh jo tempo tha woh in awail reh gaya to meri dua hai ke Allah taala al Pakistan ko
1:23:05samajh de aur dobara is tempo ko revive kare woh dobara is tempo ko revive kare aur Rasool Allah ki jo sunnat dawat thi aap kehte the logon ke paas ja ja kar ke qolo la ilaha illallah aihya nas qolo la ilaha illallah taflon
1:23:26to ahl e Pakistan dunya ke samne khare ho kar kahein aey logon Quran ko parho a logon hum tumhari apni qabil understandable zuban mein quran tumhare paas laye hain ahl e pakistan is waqt Allah ne phaila bhi diya in ko dunya mein taqreeban 200 mulk hain lekin ek martaba mein ne parhi thi report to taqreeban sare hi mulk mein ahl e pakistan phailay hue hain to woh woh tempo revive revive ho aur ahl e pakistan ja ja kar har jagah kahen un ki apni zuban mein keh lo ke hum quran ko tumhari understandable language mein le kar aaye hain parho is ko yeh tumhare tumhare rab ka kalam hai to is tempo ko revive karna hai
1:24:27here we miss the train here we missed the train is train ko pakro pakriye is tempo ko revive kijiye aur sari dunya ke samne Allah ne aap ko pohncha diya hai aap pohnche hain aap dollar kamane ke liye ab khade ho jaiye quran ko le kar aur kahiye ke a logon tumhari apni understandable language mein hum laye hain Khuda ka kalam lo us ko parh wohi meri dua hai wohi mein Allah taala se dua karta hoon molana agla sawal bheja hai srinagar kashmir se aamir mori sahib ne inhone poocha hai ke molana kindly guide how can we identify our weaknesses and then overcome them how can a person come to know that he or she need