“What is the difference between the Christian belief of atonement and the Muslim belief of intercession? They seem the same; what is the difference? Please clarify.”Asked by Inayatullah Umri, Bangalore
maulana agla sawal bangalore se hai maulana inayatullah umri sahib ka unhon ne poocha hai aap se ke christians mein kaffara ka aqeedah aur musalmanon mein shafaat ka aqeedah dono mein kya farq hai is ke bare mein batayein ek dam ek hi hai farq kya hai usi ki wazahat hai shafaat ka aqeedah kaffara ka jis ko kehte hain atonement usi ki wazahat hai ek sahib ne mujhe ek qissa bataya hamare ek saathi hain ke kuch christians se mulaqat un ki hui to unhon ne kaha bhai mujhe to aakhirat ka bohat dar lagta hai kyunke aakhirat ke sath accountability juri hui hai accountability muno ka shafqat halq yeh sab juda hua hai to unhon ne kaha ke mujhe to akhirat
ko soch kar bohat yani mein darta hoon to is christian sahib ne kaha ke mujhe to koi dar nahi mujhe to koi dar nahi kyunke jesus christ jo hai wo apne ko crucify kar ke mera kaffara ban chuke hain wo ab mujhe darna kis baat ka to isaiyon ne ye nazariya banaya tha ke ke hazrat masih jo hain halanke wo ye galat hai ke wo wo sui par un ki maut hui thi galat quran kehta hai galat hai ye qatalu sarbu lekin baharhal unhon ne aisa aqeedah bana rakha hai
to un ke aqeedah ke mutabiq hazrat masih jo the yani un ka aqeedah ye hai ke had adam se jab gunah hua to wo gunah yani wirasati ban gaya hereditary wo un ka jo gunah ka taaluq hereditary hai un in hum hum inherit karte hain apne baap dada ke gunah ko ke bilkul main is ko galat manta hoon is ko un ka aqeedah aisa hi hai to hazrat adam ke ka gunah mein hone se sare sare insani gunah gunahgar ban gaye sare insan gunahgar ban gaye to allah taala ne apne bete ko bheja ja ke saleeb pe charhaye aur wo saleeb charh kar ke sab ke gunahon ka kaffara ban jaye to ab ab aqeedah ye isaiyon ka ye hai ke hum agar yani hazrat masih par aqeedah rakhein to phir hamara yani hamari taraf se wo wahi guarantee salvation ka nazariya ke haan hamara yani kaffara ho gaya wo jannat pakki ho gayi yahi musalmanon ne shafaat ke naam se kar rakha hai apni terminology mein yani guaranteed salvation ka aqeedah haqeeqatan pehle paida hua isaiyon mein wahi guaranteed salvation ka nazariya phir aa gaya hai musalmanon mein un ka is ka naam hai atonement yahan is ka naam hai sab shafaat mein un ko farq nahi hai maulana agla sawal lete hain jo delhi se hai mr polash mondal sahib ka unhon ne likha hai ke main sache ishwar ko pana chahta hoon is ke liye mujhe kya karna hai
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.