49:46maulana, agla sawal doctor safina tabassum ne kiya hai ajmer se, aur unhon ne likha hai ke maulana sahab, kya kisi tarah hum yeh jaan sakte hain ke khuda ki nusraten hamein hasil hain ya nahi? is ke baray mein batayen. is ka bohat hi khuli hui pehchan yeh hai ke aap jo kaam kar rahe hain, woh kaam
50:08jari hai, koi rukawat nahi hai. to yeh nasrat hi to hai, nasrat hi to hai. yeh Allah ke fazl se yeh kaam jo hai, har din is mein naye yani darwazay khultay hain, naye yani kamyabiyan samnay aa rahi hain.
50:29aap bhi jahan kaam kartay hon gay, wahan bhi aisa hi hoga. to jab tak hum tashaddud na karein, siyasi hungama na karein, kisi se takrain nahi, aur kaam jari hai, jari hai, to isi ka naam nasrat hai. isi ka naam nasrat hai.
50:51to Allah ke fazl se mujhe pakka yaqeen hai ke is mission par Allah ki nasrat aa rahi hai, aur barabar aa rahi hai, aur kaam barabar aagay barh raha hai. Maulana, in ka aik aur sawal hai. unhon ne likha hai ke main yeh bhi poochna chahti hoon ke kya dawat ke kaam ke liye
51:13hamara lalchi hona sahi hai? is ke baray mein batayein. ab lalchi to aik manfi istilaah hai. aap lalchi ko boltay hain, aap lalchi ko mat boliye. aap kahiye ke hamein Allah ki raza chahiye, hamein jannat chahiye, Allah ki maghfirat chahiye, yeh boliye.
51:34aur is ke liye hum apnay aap ko poori tarah se waqf karein. bajaye lalchi kehne ke, aap kahiye ke waqf. waqf ka lafz boliye. waqf to waqf zaroori hai, baghair waqf ke koi kaam nahi ho sakta.
51:56to lalchi sahi lafz nahi hai, lekin main yeh kahunga ke har aadmi ko apnay ko waqf karna hai, poori tarah shamil karna hai. yeh sahi lafz hai mere nazdeek. Maulana, agla sawal Kashmir se kiya hai Gohar Qadir Wani sahib ne, aur unhon ne likha hai ke