Maulana Wahiduddin Khan

Reality of Baghdadi and ISIS

“What is the reality of Baghdadi and ISIS?”Asked by محمد عارف, دھنچپور، ویسٹ بنگال

He answers at 59:04 in Concept of Jihad in Islam · 5 min 53 sec

His answer, in his own words
59:04
molana, agla sawal aya hai Ah Dhunpur, West Bengal se Muhammad Arif sahib ne kiya hai aur unhon ne likha hai ke Baghdadi aur ISIS ki haqeeqat kya hai? yeh hamara mozu nahi hai. hamara mozu nahi hai. aiesai es.
59:26
aiesai es jo iraq mein hai. woh hamara mozu nahi hai. kyun aap is par bhaje hue hain? mein toh kehta hoon aap log yeh sab haram mein uljhe hue hain. soch bhi haram hoti hai, yaad rakhiye.
59:48
aap sab tak suraj, khinzir haram hai, sharab haram hai. soch bhi haram hoti hai. soch bhi haram hoti hai. kyun aap sochte hain aap log is par? aap ke aas paas itne saare log hain jo mar
1:00:09
rahe hain, jahannum ka khatra le rahe hain, toh aap un ko dawat kyun nahi pohanchate? aap kyun sochte hain is par? quran phailaiye, hamari literature phailaiye, logon ko allah ho jannat ki khabar dijiye. aap is par kyun phanse hue hain? allah ho! yaad rakhiye, sirf yani sharab haram nahi hai, sirf khanzir haram nahi hai, layani soch bhi haram hai.
1:00:33
yeh saare musalman layani soch mein phanse hue hain, layani soch mein. rasool Allah sallallahu alaihi wasallam ke zamane mein makka mein yeh sab waqiyat hote the. makka mein, arab mein yeh saare waqiyat hote the. arab ke aas pas roman empire thi, sasani empire thi, wahan bhi sare waqiat hote the.
1:00:56
aap sab cheezon se bilkul nazar andaaz kar ke bas ayyuhal naasu qoolu la ilaha illafalahu yeh karte the. yeh kijiye aap. aap dunya bhar ke gham kyun liye bethe hain? jannat ka gham, akhirat ka gham lijiye jo rasool
1:01:14
allah ka gham tha. bas yeh aap mujhe hairat hai in musalmanon par ke ke ke kyun nahi quran ko padhte, kyun nahi sirat ko dekhte ke rasool allah ka tareeqa kya tha? is zamane ki dunya mein sab kuch wo ho raha tha jo aaj ho raha hai.
1:01:35
makkah mein, arab mein aur aas pas ki jo saltanaten thin, wahan par hota tha. kuch bhi is ka hawala nahi hai. bas bas quran ko sunana. bas behal yeh sab soch ko mein bilkul bilkul hi islam ke khilaf samajhta hoon.
1:01:53
jisko dilchaspi hai to wo soche, phir allah ke samne jab khada hoga to mein allah pooche ga ke tum ke yahi kaam tha tum ko aur doosra kaam nahi tha? wo hai doosra kaam nahi tha. ek sahab mere paas ek bar aaye to wo kanauj ke the.
1:02:15
to unhon ne bataya ke mera tareeqa kya hai ke baat yahan se shuru hui thi ke pehle to unhon ne kaha ke aap musalmanon hi ko naseehat karte hain aur doosron jo un par zulm kar rahe hain, un ko kuch nahi bolte. to mein ne kaha ke dekhiye, baap do qism ke hote hain.
1:02:39
ek wo ke is ka beta bahar gaya, mila liverd kar ke aaya to danda le ke niklta hai. kaun hai jis ne mere bete ko aisa kiya? to yeh jhootha baap hai, jhootha baap hai yeh. magar sachi baat baap wo hai jo apne hi bete ko kahe ke tum bahar gaye, kyun the?
1:03:04
to papa homework nahi tha, to koi ghar mein koi kaam nahi tha, wahan gaye kyun bure larkon ke paas? to khud wahi kiya kehte hain? phir alhamdulillah, phir alhamdulillah keh rahe hain. alhamdulillah, main aise hi apne bachon ke saath hoon. main apne bachon hi ko naseehat karta hoon, inhi ko rokta hoon.
1:03:28
to unhon ne kaha ke mere teen bachche hain, ek bachcha doctor hai, ek bachcha engineer hai aur chhota bachcha aaya hua tha, ab yeh parh raha hai. to main ne kaha ke dekhiye, aap apne bachon ke liye kuch hain aur ummat ke bachon ke liye kuch hain.
1:03:49
main allah akbar se apne bachon ke liye jaisa hoon, waisa ummat ke bachon ke liye bhi waisa hi hoon. to main hairaan ho gaya ke log kyun aakhir aisa kaam kar rahe hain jis ka koi dunya mein nahi, koi akhirat mein koi faida nahi.
1:04:09
na dunya mein koi faida, na akhirat mein faida. kyun is par uljhe rehte hain? kyun is ka charcha karte hain? kyun is par sochte hain? kyun hain apni duaon ko is par lagate hain? kyun hain? maulana, yeh sawal dhampur se aaya hai mehtab sahib ka aur unhon ne likha hai ke maulana sahib there is a verse in the quran which
1:04:36
says والله يحب المحسنين my question is who are muhsin mentioned here is ke bare mein batayen. bhai, hamari yeh hamari tafseer aap padhiye, tazkir ul quran, is mein is ki wazahat maujood hai. is ko parh kar ke phir bhi jo sawal baqi rehta hai, woh kijiye agle itwar ko. maulana, agla sawal muradabad se aaya hai aur bilal sahib ne kiya hai.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.