49:00Maulana, agla sawal Tamil Nadu se hai Maulana Iqbal Umri ka. Unhon ne likha hai: "Tanqeed aur rad-e-amal mein farq kya hai?" Maulana, aap ki ilmi tanqeed ko aur rational tajziye ko ek sahib rad-e-amal ke naam de rahe thay. Maulana, aisa kyun hai? Mukhasif rad-e-amal ka matlab nahi samajhte, yahi hai.
49:22Rad-e-amal ka matlab hai reaction. Reaction kya hai? Yani jaise Rasool Allah ne farmaya ke: "La taghzab", ghussa na karo. To ghussa kya hai? Rad-e-amal hai, reaction hai. Kisi ne aap ko provoke kiya, aap ghussa ho kar aap us ko pathar maarein, that is rad-e-amal.
49:43Hum jo kehte hain woh to analysis hota hai. Yani hamari baat ko aap yeh keh kar agar radd karein to aap ek gunah kar rahe hain kyun ke hum ek daleel de rahe hain, Quran o Hadees se ek daleel de rahe hain. To aap Quran o Hadees hi se us ko radd kijiye.
50:07Agar aap Quran o Hadees daleel na dein, aap kahein ke rad-e-amal hai to yeh to sab o shatm hai, gaali karo jo jo ke haram hai Islam mein, haram hai Islam mein. Misal ke taur par main ek misal deta hoon aap ko ke: "Man hasan Islami al-mar' tarakuhu mala". Yani ek hadees hai: "Man hasan Islami al-mar' tarakuhu mala".
50:33Yani Islam ki ki khoobi yeh hai ke aadmi is cheez ko chhod de jis mein koi faida nahiñ. Islam ki khoobi yeh hai ke aadmi us ki cheez chhod de jis ko koi faida nahiñ. Is ka matlab kya hua? Ke yani mabni bar result aap ka, aap aap ki activity honi chahiye.
50:57یہ ہے یعنی in every situation you have to see result. Result hai to karna hai, nahiñ to nahiñ karna hai. Ab ek hadith maine pesh ki ke is ko le kar ke Musalman jo haiñ Falasteen se le kar Kashmir tak jo ladai kar rahe haiñ, woh result less hai, koi natija nahiñ, mar rahe
51:21haiñ, kat rahe haiñ. Abhi jo Bangladesh ka maine bataya, koi result is ka nahiñ, aapas mein mar rahe haiñ, kat rahe haiñ. Aap aap ek aur ayat pesh kijiye is ke jawab mein ke nahiñ, chahe result ho ya na
51:40ho, hameñ to ladna hai. Ab aap kaheñ ke reaction hai to yeh to aap to aap to gunah ka kaam kar rahe haiñ. Yani hum ek daleel pesh kar rahe haiñ aur aap keh rahe haiñ ke yeh radd radd-e-amal hai.
51:59To aap gaali galoch kar rahe haiñ. Yeh to maine dekha, hadith mein aata hai, dekhiye ke hadith mein aata hai ke: "Man kaana Yu'minu billahi wal yawmi al-aakhiri fal yaqul khayran aw liyasmut". Jo aadmi Allah par aur aakhirat par iman rakhta ho to us ko chahiye ke woh baat kahe
52:21to khair ki baat kahe ya chup rahe. Khair ke ma'ne kya haiñ? Mudallal baat, rational baat, jo Quran o hadith par mabni baat. To aap aap jo keh rahe haiñ radd-e-amal, yeh kaun si ayat par mabni hai? Kis ayat se nikalta hai yeh? Ke koi shayad daleel se guftagu kar raha ho, aap kaheñ radd-e-amal, yeh kaun si
52:47ayat se nikalta hai? Aisa yeh to gaali galoch hai, sab o shat'm hai, gunah hai, haram hai. To unheñ khud apne bare mein, yani apne is ko revise karna chahiye taake mujh se taqaza kareñ ke tum revise karo. maulana, agla sawal dhampur se kya hai mehtab ahmad sahib ne.