Difference between tawakkul and wise planning
“What is the difference between tawakkul and planning based on wisdom? Please explain.”Asked by Maulana Iqbal Umari, Chennai
He answers at 1:00:11 in Living In Falsehood I · 3 min 23 sec
1:00:11maulana, agla sawal maulana iqbal umri ne kiya hai chennai se. unhone likha hai: "tawakkul aur wisdom pe base ki hui planning mein kya farq hai?" is ke baare mein bataein. kya kiya hai? tawakkul aur wisdom pe based ki hui planning dono mein kya farq hai? bhai, yeh
1:00:33to hadith mein is ka jawab maujood hai. ek shakhs ne rasool ALLAH sal ALLAHU ALAIHI WASALLAM se poocha ke main apne mere paas oont jo hai, is oont ko main baat ka tawakkul karoon ya chhod kar tawakkul karoon? aap ne farmaya ke "iqlaaf tawakkal".
1:00:53is ko pehle baandho phir tawakkul karo. to tawakkul ka matlab yeh jo liya liya gaya hai, bas ALLAH par daalna, yeh tawakkul nahi hai. yeh to yeh to be danisti ki baat hai, is ka islam se koi talluq nahi hai. dekhen, tawakkul ka matlab kya hai? main jo samjhaun woh yeh hai ke jitni aap ke bas mein
1:01:19hai, aap apni aql ko istemal karen, apni soch ko istemal karen, apni resources ko istemal karen aur bahut hi realistic way mein planning karen aap. lekin dekhen, insan ki limitations hoti hain, kahin na kahin insan ki had aa jati hai. to agar aap ne apne aap ko poori tarah exact kiya hai to jo aap ki kami hai,
1:01:45woh Allah poori kar de ga. to tawakkul ka matlab yeh hai: "man yatawakkal alal lahi fahazbuhi". matlab apna sab kuch kar ke aap yeh kahen: "khuda ya, yahan to meri had aa gayi, ab aage to meri madad farma".
1:02:01to wahan par aap ki madad ho jayegi, hogi. yeh matlab hai tawakkul ka. yani aap yun kahen ke 50 percent aap ka hissa hai. jab hissa aap ada karte hain to baqi 50 percent Allah ki taraf poora kar diya jata hai.
1:02:20jaise ek ayat hai ke: "woh hai ilahi yasadu al kalamu al tayyibu wal amalu al salihu arfuhu". ilahi yasadu al kalamu al tayyibu wal amalu al salihu arfuhu. yani ek hai kalam tayyib, ek hai amal salih. to kalam tayyib aap ko pesh karna hai, yani kalam ke matlab la ilaha nahi yahan par hai,
1:02:40koi bhi positive baat. to aap positive baat jo aap ke paas hai, koi positive planning, koi positive maqsad, koi positive target jaiz qism ka, is mein bharpoor tor par aap ke paas jo kuch hai, woh laga den aap. to is ke baad baqi jo hai, Allah ki taraf poora kiya jayega.
1:03:04yeh matlab hai, yani: "man yatawakkal alal lahi fahazbuhi". aur hadith mein khud is ka jawab hai ke aap ne farmaya ke oont ko bandho par tawakkul karo, yeh nahi ke chhod do phir tawakkul, yani Allah par tawakkul karte hue chhod do is ko. yeh yeh nahi farmaya aap ne.
1:03:25to hadith ka yeh jo hadith hai, bohat wazeh tor par batati hai ke ke tawakkul ka concept islam mein kya hai. maulana, agla sawal doha qatar se hai.