Why are we living in falsehood?
“Maulana, your thought-provoking speeches inspire us. Why is it that we are living in falsehood? Is it because that we have forgotten the...”Asked by خلیل الرحمن, چنئی
He answers at 1:05:45 in Living In Falsehood I · 2 min 46 sec
1:05:45maulana, agla sawal chennai se hai khaleel ur rehman sahab ka, unhon ne likha hai: "maulana, your thought provoking speeches inspire us. Why is it that we are living in falsehood? Is it because that we have forgotten the holy quran?" what is your comment? nahin, dekhen yeh sahi nahin hai.
1:06:07forget kahan kiya? quran to har ghar mein hai, har aadmi quran ki tilawat kar raha hai aur quran ki dhoom machi hui hai har jagah. yeh zawal ka phenomena hai. yeh cheez jo hai, woh har ummat par zawal aata hai aur yeh zawal ka phenomena hai.
1:06:27dekhen, woh jo hadithain hain, jo hain is mafhoom ki ke: "latatba'un suar man kana qablakum". tum pichli ummaton ko follow karoge, is ko bhi hamare ulma samajh nahin paye. is ka matlab hai ke jis tarah pichli ummaton par zawal aaya, tumhare upar zawal ayega. that is law of nature.
1:06:50to jab zawal ayega to yeh sab siftain paida hongi. musalman yeh samajhte hain, yaani hamare ulma ne yeh in ko samjha rakha hai ke tum khair ummat ho, tum khair ummat ho, tum khair ummat ho. yeh bohat zyada is cheez ne logon ko mislead kiya hai, bohat zyada mislead kiya hai,
1:07:14kyun ke is ki wajah se yeh bhool gaye hain musalman ke hum par zawal ayega. yeh jo woh ummat laqab jis ka khair ul umoom tha, yeh jo zehan hai ke hum khair ummat hain, is ne musalmanon ko is reality se bekhabar kar diya ke zawal har ummat par aata hai aur musalmanon pe bhi ayega.
1:07:40to aaj musalman apne daur zawal mein hain, sirf quran ki tilawat karne se masla hal nahin hoga, قرآن کا ترجمہ پڑھنے سے مسئلہ حل نہیں ہوگا، بلکہ ان کی de-creation، ان کی de-carnation کرنی پڑے gi. un ko, un ko, un ko ek ek cheez ko analysis kar ke batana parega ke yahan
1:08:04ghalti, yahan ghalti, yahan ghalti. is ko point out karna paray ga. sirf yeh hai ke tarjuma parha dein, aap yeh kafi nahi hai. isi liye main quran ke sath supporting literature ki shart lagata hoon.
1:08:20aap quran ka tarjuma phailaein logon ko, that is not enough. supporting literature bhi dena hai aap ko, tab ja kar ke woh faida hasil hoga. maulana, in ka aik aur sawal hai, unhon ne likha hai: "maulana, is it not a fact that