maulana, agla sawal bhi chennai se hai, nadeem sahib ne kiya hai, unhon ne likha hai: "maulana, aik sahib ne kaha jo hadith ko nahi mante ke azmat quran aur azmat khuda ki buniyad par hum hadith ko nahi mante hain. maulana, is mein kahan falsehood hai, is ko wazeh karein." mein samajhta hoon ke aap aisa karein
ke hamara jo rasool allah salallahu alaihi wasallam ka tasawwur ka issue hai, woh poora ka poora hadith par hai, is ko un ko parhwaiye. mein samajhta hoon ke hadith ke baray mein logon ko jo ghalat fehmiyan hain, woh sari ki sari is mein aa gayi hain.
to kuch chand jumlon mein jawab nahi hoga, un ke zehan address nahi hoga. aap woh december ka jo risala hai, yani december 2013 ka jo risala hai, is ko parhwaiye. inshallah, mujhe qawi umeed hai ke un ka zehan jo hai, mutmaeen ho jaye ga. okay, we will end the session now.
Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.