Explanation of Quran 41:30
“In chapter 41, verse number 30 of Quran, it is mentioned as for those who affirm: 'Our Lord is God' and then remain steadfast.”Asked by Ramesh Siddiqui, Delhi
He answers at 1:31:56 in Wisdom of Hadith · 3 min 54 sec
1:31:56Maulana, agla sawal Ramish Siddiqui sahib ka hai Dilli se. انہوں نے لکھا ہے: "In chapter 41, verse number 30 of Quran, it is mentioned as for those who affirm: 'Our Lord is God' and then remain steadfast. The angels will descend on them, saying: 'Have no fear and do not grieve'.
1:32:19Maulana, please explain fear and grief in this verse. Hmm, yeh Quran mein ayat hai ke: "Innal lazina qalu Rabbun Allah tummastakhifuna tatanaazalu alam malaikatu Allah takhaf wala tahzan". to is par ghor karte hue yeh baat samajh aati hai ke iman laane ke baad jab aadmi
1:32:40isko mission banata hai, ek hai ke aap iman laayein aur namaz padhein to khauf is mein khauf ki koi baat hi nahin hogi. yeh farishtay aa kar kehte hain ke: "Daro mat, hum tumhare saath hain". to kab kahenge? Agar aap iman laaye aur namaz padh rahe hain aur apne kaam mein lage
1:33:04hue hain to is mein khauf ki baat to koi hai nahin. khauf ki baat yeh hai ke jab aap iman ko Islam ka mission banayein to log jaana padta hai aap ko doosron ke darmiyan. wahan koi police khadi hui hai, wahan koi mukhalif khada hua hai, wahan koi tarah tarah ke is
1:33:27mein masail paida hote hain. koi kehta hai ke: "Hum yeh karenge, koi kehta hai woh karenge". woh woh hai khauf ke mawaqe. to wahan par farishtay aap ka saath dete hain.
1:33:41aur hamare jo log distribution kar rahe hain, un se poochhiye aap ke kis tarah se ghareeb tor par un ke kaam bante rehte hain. misal ke taur par ek ek bahut bada function tha, main sathiyon ne bataya ke wahan wo gaye, wahan police bahut thi aur aur wahan par yeh qanoon tha ke koi yahan distribute nahi kar sakta.
1:34:07to aapas mein unhon ne mashwara kiya ke: "phir yahan to yeh qanoon hai ke distribute nahi kar sakte, police wale pakad lenge hum ko". to unhon ne kaha: "khush rahen, dua karo, dua karo, ghus jao". aur waqea to aise hi hua, dua kiya aur ghus gaye to wahan par police wale ne poocha
1:34:31bhi nahi aur khoob distribute karte rahe wo. to wahi to hai ke jab aap apne iman ko mission banayenge, tab logon ke darmiyan dakhil hona padega aap ko. jab jab dakhil honge logon ke darmiyan to tarah tarah ki mukhalifaten hongi, tarah tarah ke
1:34:52masail paida honge. wahan par agar aap sach sachay, aap ka iman sacha iman hai, aap ka Allah par bharosa hai, aap dua kar rahe hain, Allah ko yaad kar rahe hain to farishte utrenge aur aap ke masle ko hal kar denge.
1:35:12to main samajhta hoon ke yeh ayat jo hai bahut badi ayat hai in in logon ke liye jo ba taur mission ke Islam ko ikhtiyar karte hain ke ke baghair yani yani koi khauf karne ki zarurat nahi hai. har mauqe par jao aur peaceful raho, tum khud peaceful raho, apni taraf se koi muqawamat
1:35:37do, bas tum khud peaceful raho to sare kaam wahan par aa kar eagle kar denge. yeh is ayat bhi ek bahut badi good tiling hai, bahut badi basharat hai. maulana, agla sawal Delhi se kiya hai doctor zaheer abbas mir sahib ne.