Incident of Quran disrespect
“Two days ago, near Ghaziabad, in Mansoori village, at the railway station, disrespect was shown to the Quran, so people went to the police station to file a report.”Asked by محمد انس, دلی
He answers at 1:31:17 in Creative Solution or Ijtihadi Hul 16th Sep '12 SLOW · 4 min 14 sec
1:31:17maulana, agla sawal dilli se hai muhammad ans sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana, do din pehle ghaziabad ke paas mansoori gaon mein railway station par quran ki be adabi ki gayi to log police station report darj karanay ke liye gaye. police ke report darj na karne par musalmanon ne police station mein tod phod kar ke aag laga
1:31:44di aur ab wahan curfew laga hua hai aur kuch log mare bhi gaye hain. maulana, quran ki be adabi honay par wahan par jo log hangama kar rahay hain, is ka islam se koi taluq hai ya nahi? maulana, logon ko kya karna chahiye aur kya nahi, is ke bare mein advice karen." dekhen, yeh is ka islam se koi bhi taluq nahi hai.
1:32:11yeh to ek shaitani feal hai. aur dekhen, ek baat mein arz karoon, aap har case mein ja kar tehqeeq kar lijiyye. بے ادبی نہیں ہوتی، بے ادبی کی افواہ ہوتی ہے، rumour. jisay kehtay hain aap gustakhi, be adabi.
1:32:29woh hargiz na sirf gustakhi hoti hai, na be adabi hoti hai. وہ rumour ہوتی ہے، صرف افواہ ہوتی ہے۔ bas rumor ko suna aur daud pade. aap ja ke wahan dekhen, ek aadmi ne bhi ja kar tehqeeq nahi ki, hua kya? koi bhi
1:32:48be adabi nahi hui thi. bas rumor ud gayi, bas us ke baad bhadak pade ke ladne ke liye khade ho gaye. جتنے بھی واقعات ہیں ادھر کے، سب rumour پر ہوتے ہیں۔ aur quran mein saaf bataya gaya hai ke rumor sun kar ke external ho.
1:33:08quran mein ek ayat hai: "jabakum fasiqun binaba' fatabaiynu." yeh ab ayat utri thi, ek ek waqia pesh aaya tha. ek sahabi ko rasool ALLAH sallallahu alaihi wasallam ne bheja, wahan kaha ke bana kar ke ghaliban yaman ka waqia hai.
1:33:27yeh sab kahan ka waqia hua hai? yaman ka kahan ka? yaman ka. to woh jab wahan pohanchay, ab yani sarhad par, to wahan bohat se log ikatha ho gaye thay ke unhon ne samjha ke woh is ko maarne ke liye aaye hain. to wapas aa gaye, woh yani basti mein gaye nahi, woh.
1:33:50aur aage rasool Allah shikayat ki ke wahan to woh log mujhe maarne pe tal gaye thay. to rasool Allah ne is pe koi iqdam nahi kiya. pata kiya to maloom hua ke woh to receive karne ke liye aaye thay. woh bechare aaye thay ke rasool Allah ka aadmi aaya hua hai, chalo is ko receive karte hain.
1:34:16aur unhon ne samjha ke mujhe maarne ke liye aaye hain. to jab aap tehqeeq karenge to pata chalega ke baat kuch thi, baat kuch bandhi gayi. woh kuch na be adabi hoti hai, na gustakhi hoti hai. ek rumour hoti hai, rumour par daud padte hain.
1:34:37ab kya karein? musalmanon mein Allah ka dar nahi hai. basic baat hai, logon ko Allah ka dar nahi hai. be khauf ho gaye hain, be khauf, bilkul theek ho gaye hain. aur anjam ho chuka hai, azadi hai.
1:34:53to is se is waqt har kidhar hoti hai. agar har dictatorship hoti hai to kuch na hota. jaise saudi arab mein sab nahi karte, log jante hain ke wahan par to mamooli baat pakad ke jail mein band kar denge.
1:35:11wahan yeh sab nahi hota. yeh sab azadi ko bhi use kar rahe hain. musalman yahan par na koi be adabi hui hai, na kuch hua. yeh sab rumour thi jis pe itna bada gaon khada hua hai.
1:35:28aur bilashuba is ka islam se koi talluq nahin. maulana, agla sawal rae pur se aya hai idrees sahab ka.