Need for predecessors' sayings in dawah
“How correct is this point of view? That for self-purification and dawah, neither the sayings of the predecessors nor any specific methodology is needed.”Asked by ابو ذکرہ عمری, حیدرآباد
He answers at 1:32:08 in Divine Law of Success 14th Slow · 1 min 35 sec
1:32:08maulana, agla sawal aaya hai abu zikra umri sahab ka hyderabad se. unhone likha hai: maulana, yeh point of view kahan tak sahi hai? tazkiya aur dawat ke liye na aqwal e salaf ki zaroorat hai, na kisi khaas minhaj ki. ehtesab, a akhirat ka dar ho, quran aur hadith ka gehra mutala aur dua kafi hai.
1:32:29kya yeh sahi hai? usooli taur par toh yeh baat sahi hai. usooli taur par aap is par amal kar ke dekhiye. agar nateeja musbat nikal raha ho to is ki tasdeeq ho jayegi. yeh sahih hai.
1:32:50baqaida usooli tor par mein is ko durust samajhta hoon ke tazkiya hota hai Allah ki ki rehmat se. hum jitna zyada Allah se taalluq qaim karenge, jitna duaen karenge, jitna zyada Allah ki ibadat karenge, to Allah ki taraf se tazkiya aata hai. kisi buzurg ki taraf se nahi aata, kisi ke daaman thaamne se nahi aata, kisi ke haath par
1:33:11baiat karne se nahi aata. tazkiya yeh sab tasawwurat jo hain, yeh bilkul yani mazahab ke taur par aaye hain doosre mazahib se ke Hazrat ne aap ko nigah daal di aap ke upar to bas ab tazkiya ho gaya. yeh bilkul be haqeeqat baaten hain.
1:33:32tazkiya Allah taala ki karamat hai aur woh is bande ko pahunchti hai jo dua aur zikr ke zariye Allah se taalluq qaim kare. Maulana, agla sawal Rai Pur se aaya hai Mr. Idrees sahib ka.