Marriage conduct without wasteful rituals
“The wedding rituals that are wasteful, a waste of time and money. Even after forbidding, people still do them and involve us, and if we don't get involved, they feel bad. How should the marriage of a boy and girl be conducted? Please include this in your talk and advise on it.”
He answers at 1:09:27 in Living in a World of Competition · 4 min 25 sec
1:09:27yeh hi is ki ahmiyat hai. yani fazilat ki bajaye aap ahmiyat galat boliye to zyada sahi hoga mere nazdeek. Maulana, in ka ek sawal aur hai, unho ne likha hai ke shadi ki rasoomat jo fazool hoti hain, waqt aur paise ki barbadi hoti hai. mana karne ke baad bhi log unhein karte hain aur hamein involve karte hain, na involve hone par bura mante hain. larka aur larki ki shadi kis tarah honi chahiye? please aap apni hikmat se zaroor apni talk mein is isay shamil kar lijye aur is par kuch bataen. bhai, is par to bohat likha hai hum ne. jo log hamara magazine risala parhte hain, woh jante hain ke jo shadiyon mein jo kuch kiya jata hai, woh mere nazdeek theek isi ayat ka, yani woh ayat apply hoti hai un ke upar
1:10:24ke "in al-mubadhireen kanoo ikhwan al-shayateen". yeh tabzeer hai. tabzeer ka matlab chheentna, aap ka paisa aur chheentein idhar udhar, woh tabzeer hai. to yeh paise ko chheentna hai. shadiyon mein jo kharch kiya jata hai, sab ka sab yaqeen kijiye ke bidat hai, khurafat hai. islam se koi talluq is ka nahi hai. naam rakh rakha hai islam ka, yani kahin waleema is ka naam rakh rakha hai, kahin is tarah ka naam wahan se le le ke rakh rakhe hain. ya yeh aur, yani yeh goya ke ghalati par sarkashi ka izafa hai. yeh ghalati par sarkashi ka izafa hai.
1:11:06mein aik martaba aik aik maghribi mulk mein tha to mujhe wahan par aik aik aik aik taqarib mein le jaya gaya tha. bataya gaya ke wahan khutba ceremony hai, woh khutba ceremony. ab wahan gaya to dhoop bachi hui thi, wahan par khane peene ki. to khutba ke mani hote hain paigham mein nikah dena. khutba ke mani hain paigham mein nikah dena. to paigham mein nikah, yeh khutba ka lafz aya hai hadithon mein. to is ka matlab thori hai ke aap wahan aik function ke roop mein karen. is ko wahan par dhoop machi hui thi, khane peene ke baad larka aur larki dono baithe hue the kursiyon par aur aik ajeeb ghareeb aik manzar tha wahan par.
1:11:50to islam ka lafz khutba liya aur sab sara jahiliyat ki rasmein wahan par, sari rasmein jahiliyat ki. to yeh aik to musalman ghalati kar rahe hain aur sarkashi hai ke is ko islam ka naam lete hain. aaj ke jo waleema jo hota hai, is ka islam se koi talluq nahi. jo barat hoti hai, islam se koi talluq nahi. jo khutba ceremony hoti hai, is ka islam se koi talluq nahi. aap ko agar janna ho ke islam ka tareeqa kya hai to aap sahaba ki shadiyon ke halaat parhiye. rasool Allah ki larkiyon ne ki shadiyan kis tarah ki gayeen, woh parhiye. yeh sab likha hua hai kitabon mein ke rasool Allah ne apni larkiyon ki shadi kaise ki, sahaba shadiyan kaise karte the.
1:12:40yani mein aik aik misal arz karon ke aik aik sahabi the madina mein, un ka naam tha abdulrehman ibn auf. to rasool Allah se log, sahaba jo choti si jagah thi, madina, madina to koi bari jagah thi nahi, to log milte julte the aapas mein, masjidon mein milte julte the. to chand din woh milne ke liye nahi aye, chand din hi aye, aik do din. to rasool Allah ne poocha ke kahan the? to unhon ne kaha mein ne shadi kar li hai. ab ghor kijiye ke madina to aaj kal lehaz se woh aik gaon tha, bas chota sa, aik chota sa, bohat hi chota sa town.
1:13:21to wahan par unhon ne rasool Allah ko bulaya, na sahaba ko bulaya, aise hi bas shadi kar li kisi kisi se. wahan na waleema hai, na wahan khutba hai, na wahan par barat hai, na wahan woh dhoom hai jo aaj kal hoti hai, na jahiz hai, kuch bhi nahi. to islam ke jo tareeqa hai shadi ka, woh yeh hai. aaj kal jo musalmanon ka raij hai, woh sartaapa bidat hai, gunah hai, is mein koi shakk hi nahi, is mein koi shakk nahi hai. maulana, agla sawal maulana abdul basit omary ne kiya hai, doha qatar se. unhon ne likha hai: "maulana, shukr ka matlab kya hai?