Maulana Wahiduddin Khan

Responsibility for peaceful conditions in dawah

“Is the responsibility of keeping the situation peaceful on the one being invited (mad'u) or on the one inviting (da'i)?”Asked by عنایت اللہ عمری, بینگلور

He answers at 1:13:10 in Man and the Laws of Nature · 3 min 29 sec

His answer, in his own words
1:13:10
maulana, agla sawal aaya hai bangalore se maulana inayatullah umri sahib ka. unhone aap se poocha hai ke halaat ko puraman rakhne ki zimmedari madu par hai ya daai par? daai par, sirf daai par. madu par jab dawe daalne ke maani hain, kabhi bhi halaat yani muaddal na hon, kyunke yeh to hamara interest hai is mein ke halaat achhe jab banenge, tabhi to hum dawat de sakenge. madu ka kya? madu ka yeh concern nahi hai,
1:13:50
hamara concern hai ke halaat ko normalize karna taake dawat ka kaam jo hai, woh ho sake. is ki behtareen misaal jo hai, khud rasool Allah ki zindagi hai ke aap ne yak tarfa tor par yani adjust kiya taake normal se waqe reh e. misaal ke tor par hudaybiya mein aap ne hudaybiya ka jo agreement tha, us mein aap ne jo other party thi, us ke conditions ko unilaterally maan liya hai, ek ek kar ke maan liya, kyunke is ke manne se peace aata tha. to is mein koi shaq nahi ke madu par zimmedari daalna ke woh peace qaim kare, yeh bilkul in natural aur impossible baat hai. daai ko zimmedari lena chahiye ke jo jo hukum ka jo makkah kaha karta hoon ke "I will do it" apne upar lena chahiye ke mujhe normal, mujhe halaat ko normalize karna hai, mujhe peace qaim karna hai taake dawat ka jo mission mera hai, woh saboot tor par chalta rahe.
1:14:59
to bilashuba halaat ko normalize karna daai ki zimmedari hai, madu ki zimmedari nahi hai. misalan India mein dekhiye, musalman jo aaye din maang le khade hote hain, main is ko bilkul galat samajhta hoon, bahut zyada galat samajhta hoon. maang le le ke uthte hain to kya hota hai? nafratein paida hoti hain, normal halaat baqi nahi rehte, aapas mein dushmani yan hoti hain, kahin kahin takrao ho jata hai, ladai hoti hai. yeh sab mera dekh haram se kam nahi hai. musalmanon ko chahiye ke yak tarfa tor par apni shikayaton ko khatm kar dein, koi shikayat nahi
1:15:35
۔ misaal ke tor par, agar un ko job nahi milta aur na job mile, na mile job, is ko le kar ke juloos nikalna, hungama karna, aur phir is ke baad bloodshed hona, yeh bilkul haram se kam nahi hai. to koi bhi jo maang le kar musalman khade hote hain, is maang ki wajah se jo takrao hota hai, jo nafrat paida hoti hai, woh sab dawat ki shariyat mein haram hai. musalmanon ko chahiye ke yak tarfa tor par unilaterally woh sab ko khatm kar dein taake peace qaim ho, aur peace jab qaim hoga to dua work ho sakega. maulana, agla ek comment aaya hai doha se, ab maulana abdul basit umri sahib ka. unhone likha hai: "maulana, mujhe bahut khushi ho rahi hai ke al risala mission ko join kar ke sahi maano mein zindagi kya hai, us ko thrilling ki satah par jaan raha hoon.
1:16:33
maulana, aap ko kitni bhi duaen doon, kam hain. Allah hi aap ko is ka sahi badla dega. bas apne liye aur sab ke liye yeh dua karta hoon ke Allah mujhe aapse zyada se zyada seekhne aur samajhne ka mauqa de." Maulana, agla sawal hai doctor farida khanam ka delhi se.
All questions he answeredThe whole lecture, from this momentWatch on YouTube

Machine transcription. These are his recorded words, written down by software from the Urdu he speaks — so a line may carry a misheard word. Every timestamp above opens the video at that second: one tap and you can hear him say it. Quote it as speech, and link to the moment.