Self-accounting clarification from experience
“I want some clarification about self-accounting (self-hammering). Please explain based on your experience.”Asked by Maulana Abdul Basit Umri, Doha, Qatar
He answers at 1:30:59 in Man and the Laws of Nature · 1 min 50 sec
1:30:59maulana, agla sawal doha qatar se hai. maulana abdul basit umri sahib ka. unhon ne likha hai: "maulana, self hammering ke baray mein kuch wazahat chahta hoon. apne tajrube ki roshni mein aap bataen." self hammering ka matlab hai khud apna muhasiba. to muhasiba log aam taur par doosron ko karte hain. doosri ghalti par tokain ge, doosron ki ghalti par un se behas karen ge, doosron ki ghaltiyon ko khoob bayan karen ge. khud apni ghalti dhoondna yeh yeh nahi karen ge.
1:31:37to yeh to bohat hi, yani bohat bari bhool hai. kyunke hadith mein aata hai: "hasib anfusakum qabla an tuhasabu". yahi hai self hammering. "hasib anfusakum qabla an tuhasabu". yani is se pehle ke Allah ke yahan tumhara muhasiba kiya jaye, tum khud apna muhasiba kar lo. "hasib anfusakum qabla an tuhasabu". yahi hai s elf hammering. self hammering koi alag cheez nahi hai. wohi jo hadith mein kaha gaya hai: "zati muhasiba, apni scrutiny".
1:32:17isi ka naam hai self hammering. aur insan, aap jante hain ke aadmi apni kamzoriyon ko khoob khoob janta hai. koi aadmi aisa nahi hai jo apni kamzoriyon ko na jane. to aap tanhai mein baith kar sochen ke mere andar kahan kamzoriyan hain, kaise in ki islaah karoon main, kaise main apne ko aisa banaoon ke Allah ke samne main bari zimmedar ho sakoon. isi ka naam self hammering. self hammering ke mani hain zati muhasiba. bas.
1:32:49maulana, agla sawal mister arif jilani ka hai. kashmir se. unhon ne likha hai: "maulana sahib, haal hi mein doctor tahir ul qadri india mein aaye thay.