“dekhiye, pehli baat to yeh hai ke aik bohat hi well-known hadith hai, is mein bataya gaya hai ke Islam ke there are five pillars of Islam, jis ko hum kehte hain arkan e khamsa.”
“hadees mein aata hai ke Al Hajj Arafah. yaani Arafat ke maidan mein agar tum pahunch gae. wahan par ja kar tum ne zikr o ibaadat kiya. to yahi hajj tumhara hajj ho gaya.”
“mukalama hua Jibrael se Hazrat Ibrahim ka. to aap ne Hazrat Ibrahim ne farmaya ke 'arafta 'arafta. mein ne pehchan liya pehchan liya. matlab yeh wahi jagah hai.”
“ke yeh mushrikeen ki buniyad par khada hua hai to aap is ko kyun nahi bana dete dobara. yaani hazrat ibrahim wali buniyad par. yeh us waqt ki baat hai jab makka fateh ho chuka hai.”